Ramadan Se Mutalliq 50+ Question Answers


 RAMADHAN SE MUTALLIQ 54 QUESTIONS


Allah ta’ala ne farmaya: Ramadaan woh mahina hai jis mein Quraan naazil hua, jo logon ke liye hidayat hai aur jis mein hidayat ke liye aur haqq wa baatil mein farq karne ke liye nishaniyaan hain.

[Surah Al-Baqarah 185]

1. RAMADHAN SE MUTALLLIQ AHKAAM

1) Ramadaan Ke Roze Kyun Farz Kiye Gaye ?

Allah ta’ala ne farmaya:
Aye Emaan waalo, tum par rozey farz kardiye gaye
waise hi, jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye
thhey, taake tum taqwa ki rah ikhtiyaar karo.
[Surah Al-Baqrah 183]

Baizawi farmaatey hain:
Taaki tum gunaahon se bacho, kyun ki roza shahwat
ko todta hai aur shahwat hi se gunaahon ki shuruwaat hoti hai, jaisa ki Allah ke Rasool ne farmaya: Jo nikah na kar sakta ho woh rozey ka ehtemaam karey kyun ki roza us ke liye (shahwaton ko) todne ka zariya hai.
[Tafseer al Baidhawi 1/123]

2) Iman Aur Ehtisaab Ke Saath Roze Aur Qiyam E Ramadhan Ke Kya Ma'na Hain ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم (ne farmaya:
Jis ne emaan aur ehtesab ke saath Ramdan ke rozey rakhe uske saabiqa tamam gunaah muaf kar diye jaate hai.
[BUKAHRI, MUSLIM]

Hafiz ibn Hajar farmaatey hain:
Emaan se muraad rozey par Allah ki taraf se kiye
gaye wade ko sachha maante huwe roza rakhna hai,
aur ihtisaban se muraad us ajr ki talab karte huwe roza rakhna hai na ke riya waghaira ki bunyaad par.
[Fat-hul Baari]

3) Kya Ramadhan Mein Saare Jinn Qaid Kar Diye Jaate Hain ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jab Ramadaan ki pehli raat hoti hai toh jinon mein se
sarkash shayateen ko zanjeeron mein qaid kiya jaata
hai, Jahannam ke darwaaze bannd kiye jaate hain,
(mahine bhar) uska koi darwaaza nahin khulta, aur
Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain (mahine bhar)  uska koi darwaaza bannd nahin kiya jata. Ek nida lagaane waala nida lagaata hai: Aye khair ke talab karne waale aage badh aur aye shar ka iraada karne waale ruk ja! Aur Allah kuchh logon ko Jahannam se aazaad kar deta hai.
[TIRMIZI, IBNE MAJAH, IBNE HIBBAN, HAAKIM, BAIHAQI]

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Aye logon! Mujhe shab e Qadr ki pehchaan karayi gayi thi aur mein tumhein batlaane ke liye aa raha tha. magar do shakhs aaye jo aapas mein lad rahe thhey aur unke saath shaitan bhi tha, lihaza woh mujhe bhula di gayi.
[BUKAHRI]

4) Kya Ramadhan Se Ek Do Din Qabl Nafl Roze Rakh Sakte Hain ?


Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jab nisf Shabaan ho jaaye toh Ramadaan aane tak roza na rakho.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI, IBNE MAJAH]


Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Tum mein se koi shakhs Ramadaan se ek ya do din
qabl roza rakhne ki jaldi na karey, haan wo shakhs
jiska mamool ke mutabiq roza aa jaaye toh woh us din ka roza rakh sakta hai.
[BUKAHRI, MUSLIM]

2. HILAL SE MUTALLIQ AHKAAM

5) Shaban Ki 29 Tareekh Ko Baadal Ki Wajah Se Hilal Na Dikhayi De To Kya Karein ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
(Ramadaan ka) chaand dekh kar rozey rakho aur (Shawwal ka) chaand dekh kar iftar (yani rozey rakhna bannd) karo aur agar matla abar aalood ho (yani aasmaan saaf na ho) toh shabaan ke 30 din poore karlo.
[BUKAHRI, MUSLIM]

6) Hilal Dekh Kar Kya Dua Padhein ?

Talha bin Ubaid ullah (R.A) farmaatey hain:
Nabi (صلى الله عليه وسلم) jab hilaal (mahine ka pehla) chaand dekhte toh ye dua padhte:

"Allahumma Ahlilhu alayna bilyumni walimaani was-salamati"

Aye Allah! Is chaand ko hum par barkat wa Eemaan aur salaamati aur wa islaam ke saath numudaar hone waala bana. Mera Rab aur tera Rab Allah hi hai.
[MUSNAD AHMAD, TIRMIZI, HAAKIM]


7) Ramadaan Ke Hilal Ke Liye Kitne Logon Ki Gawahi Darker hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Chaand dekh kar rozey rakhna shuru karo aur chaand dekh kar hi rozey rakhne se ruk jao; aur apni ibaadaat (hajj waghaira) ke auqaat chaand ki ruiyat se hi muqarrar kar liya karo, agar chaand tumhein nazar na aaye toh 30 din ki ginti poori karlo aur agar do musalmaan gawaahi de dein toh unki gawaahi par rozey rakho aur do musalmaanon ki gawahi par hi
iftaar karlo. (yani rozey rakhna bannd kar do).
[MUSNAD AHMAD, NASAI]


Ibne umar (R.A) farmaatey hain:
Log chaand dekhne ki koshish karne lage. Main ne Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko bataya ki mein ne chaand dekha hai. Is par Aap (صلى الله عليه وسلم) ne roza rakha aur logon ko bhi roza rakhne ka hukm diya.
[ABU DAWOOD ]


8) Jisko Din Ke Kisi Hissey Mein Hilal Ki Khabar Mile Wo Kya Kare ?

Rubayyi' binte Mu'awwwidh (R.A) farmati hain: Nabi (صلى الله عليه وسلم) ne Aashoora ki subah Ansaar ke mahallon mein ye paighaam bheja: Jo rozey se nahin hai woh baqiya din roza rakhe aur jo rozey se hai woh apna roza poora karey. Farmaati hai: lihaaza iske baad hum ye (aashoora ka) roza rakhte aur apne bacchon se bhi roza rakhwaate.
Un ke liye oon ke khilauney banaate. Agar koi bacha rota toh usey woh khilauna thama dete yahaan tak ki iftaar ka waqt ho jaata.
[BUKAHRI, MUSLIM]


9) Kya Door Daraz Ke Ilaqon Mein Roza Aur Laylatul Qadr Mein Farq Ho Sakta Hai ?

Umme Fazl binte Haaris ne mujhe Mu'aawiya (R.A) Ke paas Shaam bheja. Farmaatey hain: mein shaam aaya aur unka diya huwa kaam poora kiya. Abhi mein shaam hi mein tha ki Ramadaan ka chaand nazar aa gaya.
Maine Juma ki raat chaand dekha. Phir mahine ke aakhri dinon mein Madina pahunch gaya.
Abdullah bin Abaas (R.A) ne dauraan e guftagu chaand ka zikr kiya aur mujh se puchha: Tum ne (Shaam mein) chaand kab dekha ?
Maine kaha: hum ne Juma ki raat chaand dekha tha.
Unhon ne puchha: Kya tum ne khud dekha tha ?
Maine kaha: Haan, aur logon ne bhi dekha aur roza rakha, aur Mu'aawiya (r.a) ne bhi roza
rakha. Is par unhon ne kaha: Lekin hum ne toh
Sanichar (hafte) ki raat chaand dekha tha. Lihaza hum baraabar rozey rakhte chaley jaein ge yahaan tak ki 30 ki ginti poori kar lein ya chaand dekh lein.
Maine puchha: Kya aap ke liye Mu'aawiya (r.a) ki ruiyat aur unka roza rakhna kaafi (daleel) nahin hai ?
Aap ne jaawab diya: Nahin, RasoolAllah (ﷺ) ne humein aisa hi hukm diya hai.
[MUSLIM]


10) Rozey Ki Niyat Kab Karna Chahiye ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jis ne fajr ke tuloo hone (yaani subah e sadiq) se pahley rozey ki niyyat nahin ki us ka roza nahin.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI]

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jo raat hi mein rozey ki niyyat na kar le uska roza nahin.
[NASAI]

3. Qiyam E Ramadaan Se Mutalliq Ahkam

11) Qiyam E Ramadhaan Yani Taraweeh Ki Masnoon Rak'aat Kitni Hain ?

Salma bin Abdur Rahman (r.a) farmaatey hain: mein ne Aisha (r.a) se puchha: Ramadaan mein Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ki namaz ki kya kaifiyyat thi ?
Aap ne farmaya: Aap (ﷺ) ramzan aur ghair Ramadaan mein gyarah (11) rakaat se zyada nahin padhte thhey. Aap pahle 4 rakaat padhte, unke husn aur tiwaalat ke mutalliq na
puchho, phir 4 rakaat aur padhte unke bhi husn aur taweel hone ke mutalaq na puchho, phir 3 rakaat padhte,
maine puchha: Aye Allah ke Rasool! Aap witr
padhne se qabl so jaate hain?
Aap (ﷺ) ne jawaab diya: Aye Aisha! Meri aakhein soti hain magar mera dil nahin sota.
[BUKAHRI, MUSLIM]


12) Hazrat 'Umar (r.a) Ne Qiyam E Ramadhan Ki Kitni Rak'aat Ka Hukm Diya Tha ?

Saaib bin Yazeed (r.a) farmaatey hain:
Umar (r.a) ne Ubaee bin Ka’ab (r.a) aur Tameem Daari (r.a) ko hukm diya ki who logon ko 11 rakaatein padhaaein.
Saaib bin Yazeed (r.a) farmaatey hain : ek ek
qaari 100,100, aayatein tilaawat karta tha. Yahaan tak ki hum tool e qiyam ki wajah se laathhiyon ka sahara liya karte thhey aur hamaari namaz fajr ke bilkul qareeb khatm hoti thi.
[MUWATTA]

13) Kya Allah Ke Nabi (ﷺ) Ne Ek Raat Mein Taraweeh Aur Tahajjud Alag Alag Padhi Hai ?

Nu'aim bin Ziyaad Abu Talha Anmari (Rh) farmaatey hain ki unhon ne No'man bin Basheer (r.a) ko Hims ke mimbar par ye kahtey suna: Hum ne Ramadaan ki teeeswein (23) raat Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ke saath raat ke pahle ek tihaaee hisse tak qiyaam kiya. Phir humne pachcheeswein (25) raat Aap (صلى الله عليه وسلم) ke saath Aadhi raat tak qiyaam kiya. Phir hamaare saath Allah ke Rasool (ﷺ) ne sataeeswein (27) raat qiyaam kiya yahaan tak ki hamein gumaan hone laga ki hamein Falaah nahin milegi. Unhon ne kaha: hum Sahri ko Falah kehte
thhey.
[MUSNAD AHMAD, SH NASAI, HAAKIM, IBN KHUZAIMAH]

14) Kya Baa Jamaat Qiyaam E Ramadhaan Biddat Hai ?

Abu Zarr (r.a) farmaatey hain:
Hum ne Allah ke RasoolAllah (ﷺ) ke saath roza rakha. Aapne humein namaz (qiyaam e Ramadaan) nahin padhayi yahaan tak ki Ramadaan ki sirf 7 raatein baaqi rah gayin thhi (22 rozey ho chuke thhey) phir (is 23veen)
raat Aapne humein namaz padhayi aur itni taweel namaz padhayi ke raat ka ek tihaai hissa guzar gaya, phir chhatti raat Aap ne humein namaz nahin padhayi, paanchvi raat aapne hamari imaamat ki aur itni taweel namaz padhayi ki aadhi raat guzar gayi.
Hum ne kaha: Aye Allah ke Rasool! Kyun na baqiya raat mein bhi Aap humein namaz padha dein! Aap ne farmaya: Jo shakhs imaam ke saath ye namaz padhe yahan tak ke imaam namaz poori karle, us ke liye poori raat qiyaam ka sawaab likha jata hai. Phir aap ne hamaari imaamat nahin ki yahan tak ki Ramadaan ki 3 raatein baaqi rah gayin. Phir teesre din ki raat mein aapne humeinnamaz
padhayi jis mein Aaap ne apne ahl aur apni biwiyon ko bhi shaamil kar liya. Aap ne humein itni taweel namaz padhayi ki humein Falah ke faut hone ka dar hone laga.
Zubair bin Nufayr farmaatey hain: Mein ne un se (yane Abu Zarr r.a) se puchha: Ye Falah kya hai?
Unhon ne kaha: Sehri!
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI, IBN E MAJAH]

15) Kya Teen Raaton Se Zyada Taraweeh Biddat Hai?

Hazrat Aisha (r.a) farmaati hai: Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne ek raat masjid mein namaz ada ki toh log bhi Aap (ﷺ) ke saath namaz mein shareek ho gaye. Phir agle din bhi Aap ne namaz padhi toh log mazeed badh gaye. Phir log teesri ya chauthhi raat ko
bhi jama huwe toh Allah ke RasoolAllah (ﷺ) namaz ke liye unki taraf bahar nahin nikle. Jab subah (yaani fajr) huwi toh aap ne farmaya: Tumharey (masjid mein jama ho jaane ke) amal ko main ne dekh liya tha lekin mujhe tumhaari taraf nikalne se bas isi cheez ne rok liya ki mujhe andesha huwa ki kahin ye namaz tum par farz na kar di jaaye. (Sahabi kahte hain) Ye waaqiya Ramadaan mein pesh aaya tha.
[BUKAHRI, MUSLIM]

16) Kya Auratein Aapas Mein Baa Jamaat Taraweeh Padh Sakti Hain ?

Hazrat Aisha (r.a) Ramadaan mein auraton ki
imaamat kiya karti thhin aur saff ke beechvmein khadi hoti thhin.
[Al Athaa lil Imam Muhammad]

17) Kya Teen Din Se Kam Mein Quran Khatm Karna Achchha Hai?

Hazrat Aisha (r.a) se riwaayat hai, farmaati hain: Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) teen din se kam mein Quraan khatm nahin karte they.
[Tabaqaat Ibne Sa'd]

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jo shakhs 3 din se kam mein Quraan padh le wo Quraan ko gehrayi se nahin samajhta.
[ABU DAWOOD, TIRMIZI, IBNE MAJAH]

18) Sujood E Tilawat Mein Kya Padhey ?
Aisha (r.a) farmaati hai : Allah ke Rasool (ﷺ) (raat ki namaz) mein Quraan ke sadjon mein ye dua maanga karte the :

"Sajada Wajhiya Lillazi Khalaqahu Wa Shaqqa Sam'ahu Wa Basarahu BiHawlihi wa Quwwatihi"

Mere chehre ne us (Allah ko) sajda kiya jis ne usey banaya aur us mein apne tasarruf aur quwwat se kaan aur aankhein bana dein.
[ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI]


19) Witr Ki Namaz Ka Kya Tareeqa Hai ?

Nafah Rahimhullah farmaatey hain:
Abdullah bin Umar witr ki 3 rakaat mein 2 rakaton par salaam phertey aur aap (in do rakaton aur ek rakaat ke darmiyaan) kabhi kisi kaam ka hukm bhi diya karte thhey.
[BUKAHRI]

20) Qunoot E Witr Rukoo Se Qabl Hai Ya Baad Mein ?

Ubaee bin Ka'ab (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Rasool (ﷺ) 3 rakaat witr padha karte jis mein pahli rakaat mein

"Surah Aala"

Aur dusri rakaat mein

"Surah Kafiroon"
Aur teesri rakaat mein

"Surah Ikhlas"

padha karte the.

Aap (ﷺ) rukoo se qabl qunoot karte aur jab salaam phairte toh farmaate

“Subhan-al Malikil Quddus”

(Main us baadshah ki paaki bayan karta hoon jo tamam uyoob se paak wa baala hai).

“Subhan-al Malikil Quddus”

Aur teesri martaba kehte huye apni awaaz ko tool dete.
[NASAI]


21) Kya Witr Ke Baad Namaz Padhna Jayz Hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Raat mein apni aakhri namaz witr ko banaa lo.
[BUKAHRI, MUSLIM]


Umm e Salama (r.a) farmaati hain:
Nabi (صلى الله عليه وسلم) witr ke baad baithhey huwe hi 2 halki rakatein padha karte thhey.
[TIRMIZI, IBNE MAJAH]

22) Kya Taraweeh Ke Baad Mazeed Qiyam Ul Layl Ki Gunjaaish Hai ?

Qais bin Talq (r.a) farmaatey hain:
Talq bin Ali Ramadaan mein ek din hamaare pass aaye. Aur hamare hi paas shaam ki aur iftaar ki. Phir usi raat humein namaz padhayi aur witr bhi padhayi. Phir apni masjid mein gaye aur apne saathiyon ko namaz padhayi. Aur jab witr baaqi rah gayee toh ek shakhs ko
aage kar diya aur kaha: apne sathiyon ko witr Padhao,
kyun ki main ne Allah ke RasoolAllah (ﷺ) se suna hai, Aap (ﷺ) farmate thhey: ek raat mein do witr nahin.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI]


4. Mukallafeen Ke Ahkam

23) Kya Bachchon Par Roza Farz Hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Teen logon se qalam utha liya gaya hai. Majnoon se, yahaan tak ki us ka junoon jaata rahey, sone waley se, yahaan tak ki bedaar ho jaaye, aur bacchey se, yahaan tak ki baaligh ho jaaye.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, HAAKIM]

24) Kya Haiz Ki Halat Mein Aurat Roza Rakh Sakti Hai ?

Abu Sayeed (r.a) farmaatey hain:
Nabi (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: kya Aisa nahin hai ki aurat jab haaiza hoti hai toh na namaz padhti hai aur na roza rakhti hai ?
[BUKAHRI, MUSLIM]

25) Musaafir Ke Liye Roza Rakhna Behtar Hai Ya Na Rakhna ?

Allah ta'aala ne farmaya:
Agar tum mein se koi shakhs mareez ho ya safar mein ho toh woh (apne chhoote huwe rozon ki) ginti doosre dinon mein poori karey. [Surah Al Baqarah 184]

Hamza bin 'Amr Aslami (r.a) farmaatey hain:
ki unhon ne kaha: Aye Allah ke Rasool! Main apne andar haalat e safar mein roza rakhne ki quwwat paata hoon, toh (agar mein safar mein roza rakhoon) toh kya mujh par kuchh gunaah hoga? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Ye Allah ki taraf se rukhsat hai, jo isey qabool karey uske liye ye behtar hai aur jo sjakhs roza rakhna chahe toh us par koi gunaah nahin.
[BUKAHRI, MUSLIM]

Bukhari ki riwaayat mein Yoon hai:
Agar tum chaho toh roza rakho aur chaho toh iftar karo (yaani roza na rakho)
[BUKAHRI]

Ek aur riwaayat mein Yoon hai:
Tumhare liye jo bhi aasaan ho karo.
[Tammam fi Fwaaidihi]

26) Kya Musaafir Rawangi Se Pahle Kuch Kha Pi Sakta Hai ?


Mohammed bin Kaa'b (r.a) farmaatey hain:
Mein Anas bin Malik (r.a) ke pass maah e Ramadaan mein aaya, woh safar mein ja rahe thhey. Unki sawaari bhi tayyar thi.
Unhon ne safar ke kapde pehne, khaana
mangwaaya aur khaya. Mein ne pucha: Kya ye sunnat hai? Unhon ne kaha: Haan ye sunnat hai. Phir woh safar ke liye sawaar ho gaye.
[TIRMIZI]

27) Kya Musafir Uzr Ke Sabab Roza Tod Sakta Hai ?

Jabir (r.a) farmaatey hain:
Fateh makka ke saal Allah ke RasoolAllah (ﷺ) Ramzan ke mahine mein Makkah rawana huwe. Jab Aap (صلى الله عليه وسلم) Kura al Ghameem pahunche toh Aap ne roza rakha aur logon ne bhi roza rakha. Phir Aap ko ye baat pahunchi ki roza rakhne se logon ko bahut takleef ho rahi hai toh Aapne asr ke baad ek bartan mein pani mangwa kar sab ke saamne usey piya. Is par baaz logon ne apna
roza tod diya, lekin baaz log ab bhi roza se hi rahe. Jab ye baat Allah ke Nabi (ﷺ) ko pahunchi ki baaz log ab bhi roza se hain to
Aap ne farmaya: yahi log naa farmaan hain.
(Muslim, Tirmizi, Nasaai, Ibne Hibban, Ibne khuzaima, Hakim) Alfaaz Nasaai ke hain.
[MUSLIM, TIRMIZI, NASAI, IBNE HIBBAN, KH HAAKIM]

28) Nihayat Umr Daraz Shakhs Ke Roze Ka Kya Hukm Hai ?

Ata Rahimahullah farmaatey hain:
Mein ne Ibne Abbas (r.a) ko yun padhte Suna:

وعلى الذين يطوقونه فدية طَعام مسكين

(Aur woh log jinhein roza rakhne mein sakht
mashaqqat hoti hai woh ek miskeen ko bataur e fidya khaana khilayein).
Ibne Abaas (r.a) farmaatey hain: Ye aayat mansookh nahin hai, balke us umar rasida mard o aurat ke baare mein hai jo roza rakhne ki istitaa'at nahin rakhtey. Ye donon har din ke badle ek miskeen ko khaana khilaaein.
[BUKHARI HADEES NUMBER 4505]


29) Kya Ek Saath Tamam Rozon Ka Fidya De Sakte Hain ?

Anas bin Malik (r.a) se riwaayat hai ki:
Woh ek saal roza rakhne se maazoor ho gaye toh unhone ek bartan mein sareed banwaya aur tees (30) miskinon ko dawat di aur bhar peit khila diya.
[DAR QUTANI]

30) Mareez Ke Roze Ka Kya Hukm Hai ?

Allah ta’ala ne farmaya: Phir tum mein se koi shakhs mareez ho ya safar par ho toh woh (apne in chhoote huwe rozon ki) ginti
(Ramadaan ke baad) doosre dinon mein puri kar le. Aur jin logon ko is mein (yani rozey mein) shadeed mashaqqat hoti ho un par ek miskeen ka khaana (khilaana) bataur e fidya hai.
[Surah Al-Baqrah 184]

Ibne Abbas (r.a)
Allah ke is farmaan

{وَ عَلَی الَّذِیْنَ یُطِیْقُوْنَہٗ فِدْیَۃٌ طَعَامُ مِسْکِیْنٍ}

Ke mutalliq farmaatey hain:

{یُطِیْقُوْنَہٗ}

se muraad jo is se bahut takleef mehsoos karte hain.

Ek miskeen (ka khana batour e fidya).

{فَمَنْ تَطَوَّعَ خَیْرًا}

Ek se ziyada miskeen ko khilaana.
Yeh mansookh nahin hai
{ فَھُوَ خَیْرٌ لَّہٗ وَأَنْ تَصُومُوا خَيْرٌ لَكُمْ}

(toh ye us ke liye behtar hai,aur tum roza rakho ye tumhare liye zyada achha hai) Is mein rukhsat sirf us ko hai jo roza rakhne ki takleef bardasht nahin kar sakta ya woh mareez jise marz se shifaa ki umeed na ho.
[NASAI HADEES NUMBER 2319]

31) Haamilah Aur Murdi'ah Ke Liye Agar Roze Mein Zarar Ka Andesha Ho To Kya Karein ?


Ibne Abaas (r.a) farmaatey hain:
Agar Ramadaan mein (rozey ki wajah se) haamila ko apne liye aur doodh pilaane waali aurat ko bacchey par khatra mehsoos ho toh woh roza na rakhey aur har din ek miskeen ko khaana khilaye. Mazeed ye ki woh rozey ki qaza bhi na kare.
[Tafseer at-Tabari]


Sa'eed bin Jubair se riwaayat hai ke:
Ibne Abaas ( r.a) ne apni umme walad (baandi jis se aulaad ho) se kaha jo haamila ya مرضعہ (doodh peete bacche waali) thhi: Tum un logon mein se ho jo rozey ki quwwat nahin rakhte.
Tum par rozey ka badla (yani fidya) hai, qaza nahin.
[DAR QUTANI]


32) Kya Rozon Ki Qaza Lagataar Karna Zaroori Hai ?


Allah ta’ala ne farmaya:
Agar tum mein se koi shakhs mareez ho ya safar mein ho toh woh (apne chhootey huwe rozon ki) ginti doosre dinon mein poori karey. [Surah al Baqarah 184]

Ibne Abaas (r.a) farmaatey hain: Allah ke is farmaan

فَعِدَّۃٌ مِّنۡ اَیَّامٍ اُخَرَ

ke mutaabiq rozon ki qaza mutafarriq kare to koi haraj nahin.
[BUKAHRI]

5. SAHRI WA IFTAR SE MUTALLIQ AHKAM

33) Sahri Ka Afzal Waqt Kaun Sa Hai ?

Anas (r.a) farmaatey hain:
Nabi (صلى الله عليه وسلم) aur Zaid bin Sabit (r.a) ne sehri ki aur jab sehri se faarigh huwe toh Nabi (ﷺ) namaz ke liye khade huye aur namaz padhi.
Raawi kehte hai: humne Anas (r.a) se puchha: Un donon ke sehri karne aur namaz padhne ke darmiyaan kitna waqfa tha? Aap (ﷺ) ne farmaya: Itna ki ek aadmi 50 aayatein padh le.
[BUKAHRI]

34) Agar Khate Huye Sahri Ka Waqt Khatm Hone Ka Ilm Ho Jaye To Kya Karey ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jab tum mein se koi azaan sune aur (peene ka) bartan us ke haath mein ho to us bartan ko rakh na de balki usse apni hajat poori kar le.
[MUSNAD AHMAD, HAAKIM, ABU DAWOOD]


35) Iftar Ka Masnoon Waqt Kya Hai ?

Sahl bin Saa'd (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Meri ummat mere tareeqe par baaqi rahegi jab tak woh iftaar ke liye sitaaron ke tulu honey ka intezaar na karne lagey.
Nabi (صلى الله عليه وسلم) jab roza rakhte toh ek shakhs ko teeley par bhej dete.
Jab woh kehta ke suraj ghuroob ho gaya toh Aap (صلى الله عليه وسلم) iftaar kar lete.

[HAAKIM, IBNE HIBBAN, IBNE KHUZAIMAH, TABARANI, ]

36) Kis Cheez Se Sahri Aur Iftar Karna Afzal Hai ?

Anas bin Malik (r.a) farmaatey hain: Nabi (ﷺ) namaz se pehle rutab (geeli khajooron) par iftaar kiya karte the agar rutab khajoor na hoti toh tamr (sookhi khajoron) par iftaar kar lete; agar woh bhi na hotein toh faqat paani ke channd ghont pi lete.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD, TIRMIZI]

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Tamr (sookhi khajoorei) momin ke liye kitni acchhi saheri hai.
[ABU DAWOOD, IBNE HIBBAN]

37) Iftar Ke Waqt Kya Kahna Chahiye ?
Ibne Umar (r.a) farmaatey hain:
Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) jab iftaar karte toh yeh dua padhte:

ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ

"Zahabaz Zamau Wab Tallatil Urooqu Wa Sabatal Ajru Insha Allah"

(Pyaas chali gayi, ragein tar ho gayi aur ajr pakka ho gaya in sha Allah)
[ABU DAWOOD, HAAKIM]

6. ROZE MEIN JAYZ AUR NA JAYZ KAAM

38) Roze Mein Bhool Kar Kha Pi Lene Ka Kya Hukm Hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jis ne bhool kar rozey ki haalat mein kuchh kha pi liya toh woh apna roza pura kare, kyunki usey Allah ne khilaaya pilaaya hai.
[BUKAHRI, MUSLIM]

39) Kya Ramadhan Mein Biwi Se Sohbat JAYZ Hai ?

Allah ta’ala ne farmaya:
Roze ki raat mein apni biwiyon se milna tumhare liye halaal kiya gaya hai.
[Surah Al-baqrah 187]

40) Kya Mahez Jaayqa Chakh Lene Se Roza Toot Jata Hai ?

Ibne Abbas (r.a) farmaatey hain:
Roza daar agar haandi se kuchh chakh le toh koi haraj nahin.
[BUKAHRI]

41) Kya Roze Daar Apna Thook Nigal Sakta Hai ?
Qataada Rahimahullah farmaatey hain:
Agar roza daar apna thook nigle toh koi haraj nahin.
[Musanaf 'AbduRazzaq BUKHARI]

42) Kya Qaye Se Roza Toot'ta Hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Jise qai aaj aye us par qaza nahin, aur jo jaan bujh kar qai kare toh us par qaza hai.
[ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI, IBNE MAJAH]

Ibne Khuzaima ke alfaaz hain:
Agar roza daar khud qai kare toh us ka roza toot gaya aur agar us par qai ghalib aa gayee toh uska roza nahin toota.
[IBN KHUZAIMAH]

43) Kya Roze Ki Halat Mein Miswaak Kar Saktey Hain ?

Ibne Umar (r.a) farmaatey hain:
(Roza daar) din ke awwal aur aakhir hisse mein miswaak kar sakta hai magar woh us ka thook na nigley.
[BUKAHRI]

44) Kya Roze Ki Halat Mein Rahat Ke Liye Naha Saktey Hain ?

Abu Bakr bin Abdur Rahman kisi sahabi se riwaayat
karte hai: unhon ne kaha:
Mein ne Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ko 'Arj ke maqaam par dekha, Aap (ﷺ) apne sar par pyaas ya garmi ki wajah se paani daal rahe they.
[ABU DAWOOD]

45. Kya Roze Dar Tel Aur Surma Laga Sakta Hai ?

Ibne Mas'ood (r.a) farmaatey hain:
Jab tum mein se kisi ka roze ka din ho toh usey chahiye ki subah tel lagaye aur kanghi karey.
[BUKAHRI]

Anas bin malik (r.a) se riwaayat hai ki:
Wo roze ki halat mein surma lagaya karte the.
[ABU DAWOOD]

46) Kya Khoon Dene Se Roza Toot'ta Hai ?

Abu Sa'eed (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne rozedaar ko hijaamah karwaane se rukhsat di.
[DAR QUTANI, TABARANI, BAIHAQI]

47) Kya Junubi Ke Liye Roze Ka Waqt Shuru Hone Se Pahle Ghusl Lazim Hai ?

Nabi (صلى الله عليه وسلم) ki donon biwiyaan Hazrat Aisha aur Umm e Salama (r.a) farmati hain :
Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ehtelaam se nahin balki jimaa' se janaabat ki haalat mein subah karte aur Aap (صلى الله عليه وسلم) roza rakh lete.
[BUKAHRI, MUSLIM]

48) Kya Biwi Ka Bosa Lene Se Roza Toot'ta Hai ?

Abdullah bin Umar o bin Aas (r.a) farmaatey hain:
Hum Allah ke Nabi (صلى الله عليه وسلم) ki khidmat mein hazir thhey ki ek naujawaan aaya aur kaha: Aye Allah ke Rasool, kya
mein roze ki halat mein (biwi ka) bosa le sakta hoon?
Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: nahin. Itne mein ek umar daraaz sahib aaye aur unhon ne puchha: Aaye Allah ke Rasool, kya mein rozey ki halat mein (biwi ka) bosa le sakta hoon ? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Haan! Is par hum ek doosre ki taraf (ta’ajjub se) dekhney lage. Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Mujhe maloom hai tum ek dusre ko kyun dekh rahe ho. Baat ye hai ki buzurg shakhs apne upar zyada qaabu rakhte hain.
[MUSNAD AHMAD, ABU DAWOOD]

7. AAKHRI ASHRAH
WA ETIKAAF SE MUTALLIQ AHKAM

49) Laylatul Qadr Mein Kya Dua Karna Chahiye ?

Aisha (r.a) farmati hain:
Main ne puchha: Aye Allah ke Rasool, agar mujhe ye maloom ho jaye ki kaun si raat laylatul Qadr hai toh mein us raat mein kya kahun ?
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Yun kaho:

اللْهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُعَنِّي

"Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee"

Aye Allah, tu bada muaaf karne wala hai, muaaf karne ko pasand karta hai, bas mujhe muaaf kar de.
[TIRMIZI, IBNE MAJAH, HAAKIM]

50) Kitne Dinon Ka Etikaf Sunnat Hai ?

Abdullah bin Umar (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) Ramadaan ke aakhri ashrah ka i’tikaaf kiya karte they.
[BUKAHRI, MUSLIM]

Abu huraira (r.a) se riwaayat hai
ki Allah ke Nabi (صلى الله عليه وسلم) har Ramadaan mein dus (10) din i’tikaaf kiya karte thhey. Lekin jis saal Aap (ﷺ) ki wafaat huwi us saal Aap ne bees (20) din ka itikaaf kiya.
[BUKAHRI]


Hazrat Anas (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Nabi (صلى الله عليه وسلم) jab muqeem hote Ramadaan ke aakhri dus (10) dino ka i’tikaaf karte aur agar aap (Ramadaan mein) safar karte (aur i’tikaaf na kar paatey) toh agley saal bees (20) din ka i’tikaaf karte.
[MUSNAD AHMAD]

8. SADAQATUL FITR SE MUTALIQ AHKAM

51) Zakatul Fitr KIS Par Farz Hai ?

Abdullah bin Umar (r.a) farmaatey hain:
Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne Ramadaan mein zakaat ul fitr ko
har musalmaan chahe woh aazaad ho ya ghulaam, mard ho ya aurat, chhota ho ya badaa sab par farz kiya hai.
[BUKAHRI, MUSLIM]

52) Zakatul Fitr Kab Dena Chahiye ?

Abdullah bin Umar (r.a) farmaatey hain:
Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) ne logon ko (Eid ki) namaz ke liye jaane se qabl zakaat ul fitr dene ka hukm diya.
[BUKAHRI, MUSLIM]

Naafi' se riwaayat hai
Ibne Umar (r.a) zakaat ul fitr us shakhs ko dete jo usey qubool karta tha; aur log zakaat ul fitr ek ya do din pahle hi de diya karte they.
[BUKAHRI]


53) Sadaqatul Fitr Mein Anaaj Dena Chahiye Ya Raqam ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Ta'aam (yani anaaj) se ek Saa' sadqatul fitr diya karo.
[Hilyatul Auliya, Baihaqi]

54)  Kya Namaz E Eid Ke Baad Sadaqatul Fitr Dene Se Wo Ada Ho Jata Hai ?

Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya:
Zakaat ul fitr roze daar ko laghw (be faida) aur
behayaee (ke gunaah) se paak karne aur miskinon ka pait bharne ke liye muqarrar kiya gaya hai. Jis ne usey namaz se pahle ada kiya toh woh maqbool sadqa hai aur jis ne usey namaz ke baad ada kiya toh wo ek aam
sadaqah hai.
[DAR QUTANI, BAIHAQI]


🌷 Jazakallahu Khairan For Reading 🌷

Post a Comment

0 Comments