Aap Un Logon Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabron Mein Hai


Aap Un Logon Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabron Mein Hai


👉 Aur zinda aur murdey barabar nhi ho saktey, Allah ta'ala jisko chahta hai sunaa detaa hai, or aap un logon ko nhi suna saktey jo qabron mein hain. 

[Surah Fatir 35, Ayat Number 22]


👉 Nabi (ﷺ) Farmatey Hain:- Tahqeeq Allah (ﷻ) Ne Kuch Farishtein Muqarrar Kar Rakhein Hain Jo Zameen Mein Har Waqt Chaltey Phirteu Rahtein Hain.

Woh Mujhe Meri Ummat Ki Taraf Se Salaam Pahunchatey Hain.

[Sunan Nisai Hadees Number 1283]


Is Hadees Se Pata Chalta Hai Kay Hamare Salaam Ko Nabi (ﷺ) Tak Pahunchaney Kay Liye Tak Allah (ﷻ) Ne Farishton Ko Muqarrar Kar Rakha Hai Agar Nabi (ﷺ) Wafaat Kay Baad Sun Saktey To Allah (ﷻ) Farishton Ko Muqarrar Kyun Karta. 


Itni Wazeh Dalail Hone Kay Bawajood Aaj kay Musalmaan Allah (ﷻ) Ki Sifat Ambiya Aur Auliya Ko De Kar Shirk Karti Hai.



🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐



Post a Comment

0 Comments