ROZA RAKHNE KI AHMIYAT AUR SAWAB


ROZA RAKHNE KI AHMIYAT AUR SAWAB


1) Jisne Ramzan Ke Roze Imaan Ke Sath Aur Sawab Ki Niyat Se Rakha Uske Pichle Gunah Maaf Kar Diye Jayenge.


👉 Aap (ﷺ) ne farmaya ke, "Jisne Ramazan ke Roze imaan ke sath aur sawab ki niyat se rakhe uske pichle tamam gunah maaf kar diye jayenge."

[Sahih Bukhari Hadees Number #38]


2) Jo Roze Ki Halat Mein Jhoot Bolna Aur Daga-bazi Karna Na Chhode To Allah Ko Aise Roze Ki Koi Zaroorat Nahi.


👉 RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Agar koi shakhs jhoot bolna aur dagha baazi karna (roza rakh kar bhi) nahi chhore to Allah taala ko iski koi zaroorat nahi ke woh apna khana peena chodh de.

[Sahih Bukhari Hadees Number #1903]


3) Rozedar Ke Liye Jannat Mein 1 Alag Darwaza Hai Jisse Sirf Rozedar Dakhil Honge.


👉 RasoolAllah ﷺ ne farmaya Jannat ka 1 darwaza hai jisko "Rayyan" kehte hai qayamat ke din us darwaze se sirf rozedar hi dakhil honge or unke dakhil hone ke bad ye darwaza band ho jayega.

[Sahih Bukhari Hadees Number #1896]


4) Jab Tum Roze Se Ho Aur Koi Ladna Chahe Ya Gali De To Jawab Mein Keh Do Ki Main Roze Se Hun.


👉 Nabi kareem ﷺ ne farmaya, Allah pak farmata hai ke insan ka har nek amaal khud usi ke liye hai magar Roza ke woh khaas mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur roza gunaaho ki ek dhaal hai, agar koi Roze se ho to usay fehesh goi nah karni chahiye aur nah shor machaye, agar koi shakhs esko gaali de ya larna chahe to iska jawab sirf yeh ho ke main ek roza daar aadmi hun, uss zaat ki qasam jiske haath mein Mohammad ﷺ ki jaan hai! Roze daar ke muh ki boo Allah taala ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi ziyada pasandeedah hai, Roze daar ko do khusihyan haasil hongi (ek to jab) woh iftaar karta hai to khush hota hai aur (dusra) jab woh apne rab se mulaqaat karega to apne Roze ka sawab pakar khush hoga.

[Sahih Bukhari Hadees Number #1904]


5) Ramazan Mein Umrah Karna RasoolAllah (ﷺ) Ke Saath Hajj Karne Ke Barabar Hai 


👉 RasoolAllah ﷺ jab Hajjatulvida se wapas huye to Aap ﷺ ne Ummesinan (r.a.) ansariya aurat se farmaya ki tum Hajj karne (kyun) nahi gayi?

usne kaha ki falaah ke walid yani mere khawind (husband) ke pass do oont (camel) pani pilane ke liye they ek par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai

is par Aap ﷺ ne farmaya ki Ramzan mein Umrah kar lena kyunki ye mere saath hajj karne ke barabar hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number #1863]


6) Ek Roza Momin Ko Jahannum Se "70 Saal" Ki Doori Par Kar Deta Hai.


RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

👉 "Jisne Allah taala ke raaste me (Allah ki khushi ke liye) ek din bhi roza rakha Allah taala use Jahannam se 70 saal ki masafat ki duri tak dur kar dega."

[Sahih Bukhari Hadees Number #2840]

Post a Comment

0 Comments