Kya Auratein Masjid Mein Namaz Padh Sakti Hain ?


Masjid Mein Auraton Ki Namaz Ke 10 Dalail

Masajid mein mardo ke peeche auraton ki namaz e ba-jamaat ka jawaaz Ahadees e Sahiha aur Aasaar e Salaf e Saleheen se sabit hai,

jis mein se b'az dalail darj zail hain:


Daleel No. 1

Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:


إذا استأذنكم نساؤكم بالليل إلى المسجد فأذنوا لهن


"Agar tumhaari auraten tum se raat ko masjid jaane ki ijazat maangen tou unhen ijazat de do."

[Sahih Bukhari: 865, Sahih Muslim: 442, Tarqeem Darussalam: 988]


Hafiz Ibne Abdul Barr ne farmaaya:


"Is hadees mein yeh fiqh hai ke aurat ke liye raat ko masjid jaana jayiz hai aur is (ke umoom) mein har namaz dakhil hai." alakh...

[at-Tamheed Jild 24 Page 281]


Daleel No. 2

Ummul Momineen Sayyidah Umme Salamah Razi Allahu Anha se riwayat hai ke:


"RasoolAllah ﷺ ke zamaney mein jab auraten farz namaz ka salaam pherten tou uth khadi hoti thi, Rasoolullah ﷺ aur mard (Sahaba) baithe rehte the phir jab RasoolAllah ﷺ khade hotey to mard bhi khade ho jaate the."

[Sahih Bukhari Hadees Number 866]


Daleel No. 3

Ummul Momineen Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha se riwayat hai ke:


"RasoolAllah ﷺ subah ki namaz padhte to auraten apni chadaron mein lipti huyi jaati thi, andhere ki wajah se pehchaani nahi jaati thi."

[Sahih Bukhari: 867, Sahih Muslim: 645, Muwatta Imam Malik: 1/5 Hadees: 3 Riwayat Ibne al-Qasim: 494]


Is hadees se zahir hai ke auraton ka masjid mein namaz ada karna jayz hai.


Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha se doosri riwayat mein aaya hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:


"Auraton ko masjidon se na rako, aur inhen baghair khushboo ke sadah kapdon nikalna chahiye."

Sayyidah Aisah (Razi Allahu Anha) ne farmaaya: "Agar aap aaj kal ki auraton ka haal dekhte to inhen mana' kar dete."

[Musnad Ahmed: 6/69,70, Wa Sanadahu Hasan]


Sayyidah Aisah Razi Allahu Anha se ek aur riwayat mein aaya hai ke:


"Agar Rasool-Allah ﷺ wo kaam dekhte jo auraton ne nikaal liye hain to inhen mana' kar dete, jis tarha Bani Israeel ki auraton ko mana' kar diya gaya tha."

[Sahih Bukhari Hadees Number 869, Sahih Muslim Hadees Number 445]


Is hadees se maloom hua ke auraton ko masjid mein namaz padhne se mana' wala hukm (jo ke sabiqah shari'aton mein tha) mansookh hai, ab Bani Israeel ki mansookh shari'at par amal nahi balke qayaamat tak Nabi e Kareem Khataman Nabiyeen ﷺ ki shari'at par amal hoga.

Daleel No. 4

Sayyiduna Abu Qatadah al-Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaaya:

"Main namaz ke liye khada hota hon aur lambi namaz padhna chahata hon phir bachche ke rone ki aawaz sun kar namaz mukhtasar kar deta hun taake us ki maa ko takleef na ho."

[Sahih Bukhari Hadees Number 868]


Daleel No. 5

Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:

"Main namaz mein dakhil hota hjn aur lambi namaz padhne ka irada karta hun phir kisi bachche ke rone ki aawaaz sunta hun to apni namaz mukhtasar kar deta hun, kyunki main jaanta hun ke uske rone ki wajah se us ki maa ko takleef hogi."

[Sahih Bukhari Hadees Number 709, Sahih Muslim Hadees Number 470]


Daleel No. 6

Sayyidah Zainab as-Saqafiyah Razi Allahu Anha (Sayyiduna Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu ki biwi) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaaya:

"Agar tum auraton mein se koi aurat 'Isha ki namaz ke liye masjid mein hazir ho to khushboo na lagaye."

[Sahih Muslim Hadees Number 443]


Daleel No. 7

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:

"Auraton ko masjidon se mana' na karo aur unhen baghair khushboo ke saada kapdon mein jaana chahiye."

[Musnad Ahmed 2/438 Hadees 9645 Wa Sanadahu Hasan Wal Lafzu Lah, Sunan Abi Dawood: 565, Wa Sahhahahu Ibne Khuzaima: 1697, Wa Ibne Hibbaan: 2214]


Daleel No. 8


Sayyiduna Abu Sa'yeed al-Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaaya:

"Aye Auraton! jab mard sajdah karen to tum apni nazron ki hifazat karo."

[Sahih Ibne Khuzaima: 1694, Wa Sanadahu Sahih, Sahih Ibne Hibbaan: 402 Wa Sahhahahu al-Haakim 'Ala Shartil Shaykhain 1/191, Wa Wafaqahu az-Zehbi]


Yani mardo ke tang tehbando ki wajah se kahin tumhaari nazren unku sharamgha par na pad jaayen.


Daleel No. 9

Sayyiduna Sehal bin S'ad Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke:

RasoolAllah ﷺ ke zamane mein aurtaon ko hukm diya jaata tha ke mardo se pehle (sajdey, ruku' se) sar na utthayen." elakh..

[Sahih Ibne Khuzaima: 1695, Sahih Ibne Hibbaan: 2216, Wa Sanadahu Sahih]


Neez dekhey Sahih Bukhari (362, 814, 1215) aur Sahih Muslim (441)


Daleel No. 10

Sayyiduna Zaid bin Khalid al-Juhani Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaaya:

"Allah ki bandiyon (aurtaon) ko Allah ki masjidon se mana' na karo, aur unhen baghair khushboo ke sadah libaas mein nikalna chahiye."

[Sahih Ibne Hibbaan: 2208 Wa Sanadahu Hasan, Doosra Nuskha: 2211 Wa Hasnahu al-Haishimi Fee Majmu' az-Zawaaid: 2/33]


In Ahadees mazkoorah aur digar Ahadees ka khulasah yeh hai ke aurtaon ke liye masjid mein namaz padhna jayz hai bashartke kisi fitne ka andesha na ho aur behtar yeh hai ke auraten apne gharo mein hi namaz padhen kyunki un par namaz ba-jamaat farz nahi hai.


Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ki biwi 'Isha ki namaz masjid mein padhne ke liye jaati thi aur Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu unhen mana' nahi karte the.

[Sahih Bukhari Hadees Number 900]


Sayyiduna Ibne Umar Razi Allahu Anhu to is masley mein itni sakhti karte the ke jab un ke ek bete ne kaha:

"hum to auraton ko (masjid se) mana' karenge." to unhon ne apne bete ko shadeed alfaaz ke sath daanta aur us ki pitaayi kar di.

[Sahih Muslim Hadees Number 442]


Ek aurat ne nazr mani ke agar uska shauhar jail se bahar aagaya to wo basra ki har masjid mein do rakaten padhegi, us ke barey mein Hasan Basri (Rahimahullah) ne farmaaya:

"usey apni qaum ki masjid mein namaz padhni chahiye" elakh...

[Musannaf Ibne Abi Shaiba 2/484 Hadees 7617 Wa Sanadahu Sahih]


Yani usey tamaam masjidon mein nahi balke sirf apni (mohalle ki) masjid mein namaz padh kar ye nazar poori kar leni chahiye.


Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anha ne farmaaya:

"Auraton ki behtareen saf aakhri saf hai aur sab se buri saf pehli saf hai."

[Musannaf Ibne Abi Shaiba 2/385 Hadees 7623 Wa Sanadahu Hasan]


Urwah bin Zubair Rahimahullah ne farmaaya:

"Yeh kaha jaata tha ke aurtaon ki behtareen saf aakhri saf hai aur sab se buri saf pehli saf hai."

[Musannaf Ibne Abi Shaiba: 2/385 Hadees 7624 Wa Sanadahu Sahih]


Imam Abu Bakr Muhammad bin Ibrahim bin al-Munzir al-Nishabori Rahimahullah ne farmaaya:

"Ahle ilm ka is par Ijmaa' hai ke aurtaon par Jummah (zaroori) nahi hai aur is par bhi Ijmaa' hai ke agar wo hazir ho kar Imam ke sath namaz padh ley tou yeh un ki taraf se kafi (yane jayiz) hai."

[Al-Awsat Jild 4 Page 16, 492, 493]


🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments