EID MILAD-UN-NABI (ﷺ) MANANE KI SHURUWAAT KAB SE HUI | 12 RABI-UL-AWWAL MANANE KI SHURUWAAT KAB SE HUI

EID MILAD-UN-NABI (ﷺ) KI SHURUWAAT


EID MILAD-UN-NABI (ﷺ) MANANE KI SHURUWAAT KAB SE HUI | 12 RABI-UL-AWWAL MANANE KI SHURUWAAT KAB SE HUI

Eid MILad-un-Nabi (ﷺ) ki Quran aur hadith me Koi Asal Nahi, iski shurwaat chauhti (4th) sadi hijri me hui, sabse pahle Naam nihaad Fatimi shiyon ne Ye jashn Manaya.


“Yani Fatimi Khulafa ke yahan Saal bhar me kayi tarah ke jashn or Mahfilon ka Ine’qad hota tha or wo yeh hai : Saal ke Ekhtetaam ka jashn, Naye Saal ka Jashn, Yaum e Aashoora Ka jashn aur MIlAD-UN-NABI (ﷺ) Ka Jashn”

‏[ ﺍﻟﺨﻄﻂ ﺍﻟﻤﻘﺮﯾﺰﯾۃ : ﺝ 1 ﺹ 495 ‏]

Maulana Syed Sulaiman Nadwi Rahimahullah Likhte hain :
“Milad Ki Majlison Ka Riwaaj Ghaliban Chauhti (4th) Sadi se hua”.

[Seerat-un-Nabi jild no. 3, Safa no. 664]

Hafiz Siyuti Rahmatullah Alaih farmaate hain :

“Yani sabse pahle jisne isey Ijaad kiya wo Arbal ka badshah muzaffar abu saeed tha”.

[Al hawi lil fatawa lil siyuti, jild no. 1, safa no. 189]

In Dalail se ye saaf wazeh ho gya ke murawwaja jashn e eid Milad-Un-Nabi manana Chauhti sadi hijri me shuru hua or ye shia aur Isayion ki Mushabihat me hai balki unhi ka tohfa hai jo aaj ke kuch jahil Musalmano Ne Ikhtiyar Kar liya hai.

Nabi (ﷺ) ki yaum e wiladat (date of birth) ko yaum e Eid (yani eid ka din) Qaraar dena or us din festival ke taur par celebrate karna Isaiyon (christians) ka Amal hai,

Murawwaja Eid e Milad-Un-Nabi (ﷺ) Aise hi hai jaise Isayi (christians) yaum e wiladat yasooh maseeh (yani Isa Alaihis salam ka birthday) manate hain or Na Allah ne Isa (Alaihis salam) ka birthday Manane ka huqm diya hai or Na hi Isa (Alaihis salam) ne , kuffar Ne Ye Riwaj shuru kiya hai ke Nabi ke janm din par Eid manayi jaye or Kuffar ki Mushabihat Ikhtiyar kar ke Shiaon ne ye Milad-Un-Nabi (ﷺ) ke naam se eid aur jashn shuru kiyaa or isi kuffar ki mushabihat Ikhtiyar karte huye humare kam ilm Musalman bhi jashn Manate huye Sadko par nikal Gye, halanki Allah ke Rasool (ﷺ) Ne Farmayaa -

“Jo jis qaum ki mushabihat (kuffar ke jaisa Amal) ikhtiyar karega to woh unhi logon me se hai”.

[Sunan Abu Dawood Hadees Number 4031]

Pata chala ke Murawwaja Eid Milad-Un-Nabi (ﷺ) ke naam par 12 Rabi-ul-awwal ke din aap (ﷺ) ka janm din manana aur eid celebrate karna aisa hi hai jaise Isayi (christians) Isa (Alaihis salam) ka janm din or eid manate hai Aur Kuffar ki Mushabihat ikhtiyar karna Aisa hi hai jaise ke wo unhi me se ho.

Post a Comment

1 Comments