Kya Islam 1400 Saal Pahle Aaya Hua Dharm Hai


Kya Islam 1400 Saal Pahle Aaya ?

Kuch logo ke mann me bada ajeeb sa sawal uthta hai ki kya islam sirf 1400 saal purana dharm (religion) hai ???


Kya Isse Pahle Koi Allah Nahi Tha ?

Jaisa ki hum sabko pata hai ki Musalman, Nirakar (Jiska Koi Rang Roop Aakar Nahi) Aur Ek Ishwar (Allah) Ki Pooja (Ibadat) Karte Hai..


👉 Jo koi Allah ke Hukm manta hain aur Allah ke bataye raaste par chalta hai wo muslim hai Islam Ko manne wale Ko muslim kehte hai...


Kyunki Musalman Aur Islam To Abhi 1400 Saal Pahle Hi Aaya Hai Aur Duniya To Laakho Years Purani Hai.


🔴 Apne is Sawal se kuch log Islam ko kamzor samajhne lagte hai jabki unko iske bare me koi Knowledge nahi hota hai.


Islam Ki Shuruaat To Hazrat Adam Alaihissalam Se Hoti Hai Jinka Zikr Quran Me Bhi Milta Hai Ki Allah Ne Sabse Pahle Adam Aur Unki Biwi Hawwa Ki Bana Kar Is Duniya Me Bheja Taki Wo Is Duniya Ko Aabad Kar Sake.

Adam Sirf Ek Insan Hi Nahi Balki Wo Is Duniya Mein Nabi Bana Kar Bheje Gaye The Aur Is Tarah Eo Musalmano Ke Pahle Nabi Huye.

Nabi Allah Ka Wo Pasandida Banda Hota Hai Jo Logo Ki Rahnumayi Karta Hai.


Adam Ke Baad Duniya Mein Aur Bhi Nabi Aate Rahe.

Duniya Mein Approx 1 Lach 24 Thousand Nabi Aaye Jinme Se Akhiri Nabi Hazrat Muhammad (ﷺ) Bhi Shamil Hai.


Hazrat Muhammad (ﷺ) Se Pahle Isa Alaihissalam The Aur Unse Pahle Hazrat Yahya Alaihissalam, Zakriya Alaihissalam, Uzair Alaihissalam, Daniyal Alaihissalam Se Hote Huye Ye Silsila Musa Alaihissalam Tak Gaya Aur Uske Baad Ye Ibrahim Alaihissalam Tak Gaya Aur Isi Tarah Nooh Alaihissalam Se Adam Alaihissalam Tak....


Darasal Aisa Hota Aya Hai Ki Jab Bhi Ek Nabi Ke Baad Dusra Nabi Ya Paighambar Aata To Pichle Nabi Ki Qaum Unko Manne Se Inkar Kar Deti Aur Is Tarah Wo Unse Alag Ho Jati Aur Apna Ek Alag Dharm (Religion) Bana Leti Thi.


Jaise Musa Alaihissalam Ki Qaum Ne Isa Alaihissalam Ka Inkaar Kiya Aur Yahudi Ban Gayi Fir Isa Alaihissalam Ki Qaum Ne Hazrat Muhammad (ﷺ) Ko Paighambar Maanne Se Inkar Kiya To Isayi Ban Gayi.


Shayad Ab Aapki Islam Ki History Ka Andaza Lag Gaya Hoga Aur Ab Aapke Mann Se Ye Sawal Khatm Ho Gaya Hoga Ki Islam Ya Allah 1400 Saal Pahle Aye Usse Pahle Nahi The.


Islam humesha se hain, Koi 1400 saal pehle aaya hua naya Religion (Dharm) nahi, jo log aisa mante hai ki islam naya religion hai

Aur is Religion ko banane wale Muhammad (ﷺ) hai to unko sahi knowledge nahi hain, 

Actually 1400 saal pehle Akhari Nabi Muhammad (ﷺ) aaye the Aur 1400 Saal Pahle Quran Nazil Hua Thi Isliye logo ko ye Galatfahmi hai ki Islam 1400 saal pehle aaya.


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

0 Comments