1) Jang mein dushman par Darr paida karne ke liye Jhoot bolna Masalan : ye kehna ke hamare Tadaad itni hai ya ye kehna ke hamari Fauj aa rahi hai.
2) Logon mein sulah karwane ke liye Jhoot bolna : Yani do Naraz logon ki sulah karwane ke liye ye kehna ke wo tumhen bahot Accha samajhta hai aur tum se Muafi mang kar tumse sulah karna chahta hai.
3) Khawind ka apni Biwi ko razi karne ke liye Jhoot bolna : Yani Biwi ban’sawar kar khawind se puche ke main kaisi lag rahi hun to chahe wo khawind ko acchi na bhi lag rahi ho lekin wo Jhoot bol de ke tum bahot khoobsurat aur bahot acchi Lag rahi ho.
🔴 Hazrat Asma bint Yazid Radi Allahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya : "Teen Jagahon ke Alawah kahin Jhoot bolna Halal nahi : Khawind apni Biwi ko razi karne ke liye koi baat kahe aur Jang ke mauqe par Jhoot bolna aur Logon ke darmiyan Sulah karwane ke liye Jhoot bolna."
[Tirmizi Hadith #1939]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments