Dosti Aur Aitmaad (Bharose) Ke Qabil
RasoolAllah (Muhammad ﷺ) ne Irshad Farmaya : “Logon ki Misaal Oonton ki si Hai Jin Mein se Ek Oont bhi Tum Sawari ke Qabil Na Pao.”
[Sahih Bukhari :: Hadith 6498]
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ لوگوں کی مثال اونٹوں کی سی ہے قریب ہے کہ تو ان میں سے ایک کو بھی سواری کے قابل نہ پائے۔
Sahih Bukhari #6498
Status : Sahih
● Sawari ke Qabil Wahi Oont hota hai Jis mein Narm Mizaji ho, Jo Aasani se Sir Jhuka leta ho, Jahan bithao Baith jaye Aur Jab uthao Uth jaye, Lekin 100 Oonton mein se Ek Oont bhi Bamushkil in Sifaat se Aarasta (Sundar) aur Sawari ke Qabil hota hai, isi Tarah Log bhi Shakal o Surat aur Guftagu mein Ba-zahir Acche Maloom Hote Hai, Magar in mein Ita’at Guzar (Submissive), Narm Dil, Dosti ke Qabil aur Qabil Bharosa Ek Bhi Nahi hota… Lehaza Ba Kamaal Aur Qabile Bharosa Logon ki Qadar Karen ❣🥀
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments