Shirk Karne Walon Ka Shumar Zalimo Mein Hoga 👇
👉 Aur Allah Ta'ala ko Chhod kar kisi Aise (Mann Ghadat Mabood) Ko Na pukarna Jo Tumhein Na Koi fayda Pahuncha sakta hai, Na koi Nuksan. Fir bhi Agar Tum (bafarz-e-mohal ) Aisa kar baithe to Tumhara Shumaar bhi Zalimo me hoga.
[Surah-Younus 10 - Ayat No. 106]
Shirk Karne Walo Par Jannat Haraam Kar Di Hai, Aur Uska Thikana Jahannam Hai 👇
Allah Ta'ala ne farmaya:-
👉 Wo Log Yaqinan Kafir Ho Chuke hai, jinhone ye kaha hai, ke Allah Maseeh ibn-e-maryam hi hai, halanki Maseeh ne to ye kaha tha, ke Aye bani Israel ! Allah ki ibadat karo jo Mera bhi Rab hai, Aur Tumhara bhi Rab, Yaqeen jano ke jo Shakhs Allah ke sath kisi ko shareek thehraye , Allah ne Uske liye jannat haraam kar di hai, Aur Uska Thikana Jahannam hai, Aur jo Log (ye) Zulm karte hai, Unko kisi Qism ke yaar-o-madadgar Moyassar nahi ayenge.
[Surah-Al-Maidah 5 - Ayat No : 72]
"Shirk" Karne Wale Ke Sare Amal Barbad Hain (Na-Qabil e Qubool) 👇
👉 "Aye nabi (ﷺ) beshak aapki taraf bhi aur aapse pehle (ke tamaam nabiyo) ki taraf bhi wahi ki gayi hai ke agar aapne shirk kiya to beshak apka amal zaaya (bekaar) ho jayega or aap nuksan uthane walo mein se ho jayenge"
[Surah Zumar 39 - Ayat No : 65]
👆 agar aapka aisa aqeeda hai to aaj hi tauba karein aur Allah se maafi maange kyunki is aqeede par Aapki maut ho gayi to woh maut "shirkiya" aqeede pe hogi, Aur Allah shirk ko maaf nahi karega.
Shirk Ki Maafi Nahi 👇
Allah ne farmaya:-
👉 main chahun toh saare gunahon ko maaf kar sakta hoon lekin shirk kabhi maaf nahi karunga
[Quran Surah 4 : Ayat No. 48,116]
Allah Ta’ala ne farmaya:
👉 Aur jab ke luqmaan ne waaz kahte huye aapne ladke se farmaya ke mere pyaare bacche Allah ke saath shareek na karna, beshak shirk bada bhaari zulm hain."
[Surah-Al-Luqmam 31 - Ayat No : 13]
Allah Ta’ala ne farmaya:-
👉 Wo be-jaan hain, Un Mein Zindagi Nhi, Aur Unko is Baat ka bhi Ehsas nhi hai, ke in Logon ko kab Zinda kar ke Uthaya jayega.
[Surah-Al-Nahal 16 - Ayat No : 21]
Allah Ta’ala ne farmaya:-
👉 Aur jab Logon ko Mahshar mein Jama kiya jayega, to wo Inke Dushman ban jayenge, Aur inki ibadat hi se munkir honge,
[Surah-Al-Ehkaaf 46 - Ayat No : 6]
Allah Ta'ala ne farmaya:-
👉 (Haqeeqat to yeh hai ke) jo Log emaan le Aaye hai, Aur Unhone Apne imaan ke Sath kisi Zulm Ka shayeba bhi Aane nahi diya, Aman Aur Chain to bas Unhi ka Haq hai, Aur Wohi hai, Jo Sahi raste par pahunch chukey hai,
[Surah-Al-Anaam 6 - Ayat No : 82]
Shirk Ki Shuruwat 👇
👉 Jo butt Musa (A.S) ki Qaum me pooje jate the baad me wahi Arab me pooje jaane lage, Do Daumat-al-Jandal me bani-kalb ka butt tha, Suwa bani hazil ka, jo yaghus-bin-murad ka Aur murad ki Shakh bin Ghutaif ka jo Al-Jurf mein Qaum Saba ke paas rahte the Yauq bin Hamdan ka butt tha, Nasr Himyr ka butt tha, jo Dhi-al-Kala ki Aal mein se the, ye panchon Nooh (A.S) ki Qaum ke Nek Logon ke Naam the, Jab Unki Maut ho gayi to Shaitan ne unke dil me Dala ke apni Majlison me jahan wo Baithte the, unke liye butt qayam Karein aur Un Buton ke Naam Aapne Nek Logon ke Naam kar rakh lein Chunanche Un logon ne Aisa hi kiya Us Waqt un Buton ki pooja Nahi hoti thi, lekin Jab wo Log Bhi Mar gaye Jinhone butt Qayam kiye the, Aur ilm Logon mein Na Raha to Unki pooja hone lagi.
[Sahih Bukhari Hadees No 4920]
👉 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:- Qayamat Us waqt tak Qayam nahi hogi, yaha tak ke Meri Ummat ke kuch Qabeele mushrikeen Se Mil jayen, Aur button ki parastish karein, Aur Meri Ummat me Anqareeb 30 Jhoote Niklenge, Unme Se har ek ye Dawah karega, ke wo Nabi hai, Halanki me khatamun-Nabiyeen hun, mere Baad koi (Dusra) Nabi Nahi hoga,
[Tirmizi Hadees No 2219]
👉 Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:- Tum Log Pahle Ummaton ke Tareeqon ki Qadam ba-Qadam Pairwi karoge, yahan tak ki Agar wo Log kisi Sahanah ke Surkh me dakhil huye to Tum bhi us mein Dakhil hoge, Humne pucha ya RasoolAllah (ﷺ) ! Kya Aapki Murad pajli Ummaton se Yahood aur Nasara hain?
Aap (ﷺ) ne farmaya:- phir kaun ho sakta hai ?
[Sahih Bukhari Hadees No 3456]
Sabse Bada Gunah Hai 👇
👉 Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "Allah taala qayamat ke din dozakh ke sabse kam azaab paane wale se poochhega! agar tumhe roo-e-zameen ki saari cheeze mayasar hon to kya tum un ko fidiya me (is azaab se nijat paane ke liye) de do ge?", wo kahega ki "haan", Allah taala farmayega ki "main ne tum se is se bhi sahal cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum adam (alayhi salaam( ke peeth me the, ki mere saath kisi ko shareek na karna lekin tum ne (tauheed ka) inkaar kiya aur na mana aakhir shirk hi kiya"
[Sahih Bukhari Hadees No 6557]
Shirk Karne Wale Ko Nabi Kareem ﷺ Ki Shifaat Nahi Milegi👇
👉 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:- har nabi ki (apni ummat ke silsile me) ek dua hoti hai, jo zarur qubool hoti hai, to har nabi ne jaldi se duniya hi me apni dua puri kar li, aur mene apni dua ko chhod kar apni ummat ki shafaat ke liye rakh chhodi hai, to meri shafat har us shakhs ke liye hogi jo us haal me mara ho ki Allah ke sath kisi ko shareek na karta raha.
[Ibn E Majah Hadees No 4307]
Allah Ke Sath Kisi Aur Ko Shareek Karne Wala Jahannam Mein Jata Hai 👇
👉 nabi kareem (ﷺ) ne farmaya:- jo shakhs is haalat me mar jaye ke wo Allah ke siwaa auron ko bhi unka shareek therata raha ho to wo Jahannum me jata hai, aur maine kaha :- ke jo shakhs us halat me mare ke Allah ka kisi ko shareek na therata raha to wo jannat me jata hai,
[Sahih Bukhari Hadees No 4497]
👉 ume habeeba aur um salama (radhi Allahu anha) dono ne ek kaliisaa (girja-ghar) ka zikr kiya jaise unhone habshah me dekha to usme moortein (tasveerain) thi, unhone uska tazkirah nabi-e-kareem (ﷺ) se bhi kiya, aap (ﷺ) ne farmaya ke unka ye qaidah tha ke agar unka koi naikokar (naik shakhs) mar jata to wo log uski qabr par masjid bana dete ps ye log Allah ki dargah me qayamat ke din tamam makhlooq me bure honge.
[Sahih Bukhari Hadees No 427]
Qayamat Aane Se Pehle Log Butt Parasti Karenge.
👉 RasoolAllah (ﷺ) ne kaha- qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak meri ummat ki ek jamaat mushriko se na jaa mile aur meri ummat ke bahut se log boot parasti na kare.
[Tirmizi 2219]
Kamiyabi ye hai ki Aap Sirf Allah ki Ibadat kare Aur Allah ke liye jiyein Aur Usi hi ke liye Marein
Allah Ta'ala ne farmaya:-
👉 "Aap farma dijiye ke bil- yaqeen, meri namaz aur meri sari ibaadat aur mera jeena aur mera marna ye sab khaalis Allah hi ka hai jo sare jahan ka malik hai."
[Surah Anaam 6 - Ayat No.162]

0 Comments