ALLAH KO KISNE PAIDA KIYA ? KISI KO APNE IMAAN ME SHAK HO JAYE TO KYA KARE ?


ALLAH KO KISNE PAIDA KIYA ?

KISI KO APNE IMAAN ME SHAK HO JAYE TO KYA KARE ?


🔴 Rasool-Allah (ﷺ) Ne Farmaya: Tum Me Se Kisi Ke Paas Shaitan Aata Hai Aur Tumhare Dil Me Pahle To Ye Sawala Paida Karta Hai Ke Fala Cheez Kisne Paida Ki, Falah Cheez Kisne Paida Ki ?

Aur Akhir Me Baat Yahan Tak Pahunchata Hai Ke Khud Tumhare Rab Ko Kisne Paida Kiya ?

Jab Kisi Shaks Ko Aisa Waswasa Daale To Allah Se Panah Maangni Chahye, Shaitani Khayal Ko Chhod Dein.

[Sahih Bukhari #3276]


🔴 Rasool-Allah (ﷺ) Ne Farmaya - "Log Humesha Ek Dusre Se (Fuzool) Sawalat Karte Rahenge Yahan Tak Ke Ye Sawal Bhi Hoga Ke Allah Ne Sab Makhlooq Ko Paida Kiya Gai to Phir Allah Ko Kisne Paida Kiya Hai ?

Jo Shaks Aisi Koi Cheez Dil Me Paaye To Kahe :

آمَنْتُ بِاللهِ

Translation - "MAIN ALLAH PAR IMAAN LAYA HUN"

[Sahih Muslim #343]


🔴 Abu Zumayl Kahte Hai Maine Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Se Pucha: Mere Dil Me Kaisi Khatak Ho Rahi Hai ?
Unhone Kaha: Kya Hua ?
Maine Kaha : Kasam Allah Ki!! Main Uske Mutallik Kuch Na Kahunga,
To Unhone Mujhse Kaha : Kya Koi Shak Ki Cheez Hai, Ye Keh Kar Hanse Aur Bolein : Isse To Koi Nahi Bacha Hai, Yahan Tak Ke Allah Azzawajal Ne Ye Ayat Nazil Farmayi -

فَاِنۡ کُنۡتَ فِیۡ شَکٍّ مِّمَّاۤ  اَنۡزَلۡنَاۤ  اِلَیۡکَ فَسۡئَلِ الَّذِیۡنَ یَقۡرَءُوۡنَ الۡکِتٰبَ


Agar Tujhe Us Kalam Me Shak Hai Jo Humne Tujh Par Utara Hai To Un Logob Se Puch Le Jo Yum Se Pahle Utari Hui Kitab (Taurat Wa Injeel) Padhte Hai

[ Surah  : Yunus (10) : Ayat (94) ]

Phir Unhone Mujhse Kaha Jab Tum Apne Dil Me Is Qism Ka Waswasa Pao Toh :

ھُوَ الْاَوَّلُ وَالْاٰخِرُ وَالظَّاھِرُ وَالْبَاطِنُ وَھُوَ بِکُلِّ شَیْءٍ عَلِیْمٌ


Wahi Awwal Hai Aur Wahi Akhir Wahi Zahir Hai Aur Wahi Baatin Aur Wo Har Cheez Ko Bakhubi Janne Wala Hai.
Padh Liya Karo

[Sunnan Abu Dawood #5110]


__________________________________________ 

🥀To get Reward in Akhirah,🥀 

Share this with your families and friends 

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI


Post a Comment

0 Comments