HUM PEERANE-PEER GAUS AZAM KA DAMAN NAHI CHHODENGEY

 🔴 Hum Peerane-Peer GAUS Azam ka daman nahi chhodenge

👉 Aaj Akhirat ke din ko lekar ummat ka haal ye hai ke Ummat gunah par gunah, shirk par shirk, biddat par biddat karte huye apne Peer, Sufi, Murshad aur Imam par apni magfirat ke liye takiya lagakar baithi hui hai, ye sonch kar ke Ham Kuchh bhi karlo hamare Buzrug hamko bacha lenge.


🔴  Lekin in Buzrugo ki baat chhodiye….

👉 Khud Rasoolullah Apne Khandan walo ki madad nahi payenge

Ummul Mumineen Ayesha
(RadhiAllahu Ahna)
se riwayat hai ke:

Jab ye Aayat Nazil hui

“dara tu Apne khandan walo ko”

to Rasoolullah
Sallallahu Alaihe Wasallam
Safa pahadi par khade
huye aur farmaya :

“Aye Fatima !
Muhammad
(SallallahuA’laihiWaSallam)
ki beti
aur
Aye safiyah !
Abdul Muttalib ki beti
(Rasoolullah ki Fufi)
aur
Aye Abdul Muttalib ke beto!
(Rasoolullah ke Chacha)

Mai Allah ke saamne tum ko
nahi bacha sakta.

Albatta mere maal me se tum jo ji chahe maang lo (yaani duniya me jo maal daulat mangna hai manglo)”.

📙Sahih Muslim : 503.


Kyunke …..
مَٰلِكِ يَوْمِ ٱلدِّينِ

“(Sirf Allah hi) badle ke din (yaani) Qayaamat ka Maalik hai”.

📙(Surah 01 Fatiha: Ayat 04)

__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments