JUMAH KI NAMAZ KI FAZILIYAT

 JUMAH KI NAMAZ KI FAZILIYAT  ✨


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:


"Pancho namazein aur ek jumah se dusrey jumah tak aur ek ramzan se dusre ramzan tak darmiyan me aane wale gunaho ko mitane ka sabab hai jab tak ke koi kabira gunah na kare."


📚 : Sahih Muslim 223


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:


"Jis ne wuzu kiya aur acchi tarah wuzu kiya, phir jumah ki namaz ke liye aaya aur (khamoshi se) khutbah suna, to us ke is jumah aur (agle) jumah ke darmiyan aur us ke alawa teen din ke gunah maaf kar diye jaate hain. Lekin jo (bilawajah) kankariyon ko haath lagata raha (khutbah me rukawat paida ki) to us ne lagu/fuzool kaam kiya."


📚 : Sahih Muslim 857


"Jis ne ghusl kiya, phir jumah ki namaz ke liye aaya, phir us ne muqaddar me jitni namaz thi padhi, phir khamoshi se khutbah sunta raha jab tak ke khateeb apne khutbay se farigh na ho gaya, phir us (imam) ke saath namaz padhi, us ke is jumah se le kar agle jumah tak ke gunah baksh diye jaate hain aur mazeed teen dino ke bhi."


📚 : Sahih Muslim 857


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

Post a Comment

0 Comments