🔴 Beshak Allah “Aalimul Gaib” hai usne apne ilm ki buniyaad par Insan ke paida hone se 50,000 saal pahle hi uski Qadr/Kismat likh chuka hai ke insan Paidaeesh se lekar Maut tak kya-kya kaam karega
👉 Mai jo abhi insta ki post type kar raha hu ye kaam bhi Allah ko mere paidaeesh ke 50,000 saal pahle se usko pata tha aur meri Qadr/kismat phle se likhi hui thi ke mai ye Instagram Post likhunga..
🔴 Isliye Insan ke Qismat me 2 tarah ki baatein likhi gayi hai...
👉 Phli qism ki wo batein hai jo pahle se hi Allah ki taraf se Tay-Shuda hai.
● Jo insaan ke zindagi me har haal me hokar hi rahengi
● Misaal ke taur par insan ki HAYAT aur MAUT ka Waqt, uska Rizq wagairah phle se Allah ke pas tay hai
Insan ki Taqdeer me dusri baat ye hai ke Allah ne insan ko Kuchh kaamo me ikhiyaar de rakha hai ke Insan apne Marzi se un kaamo ko kare
● Jaisa ke Insan chahe to gumrahi ka raasta ikhtiyaar kar sakta hai ya Hidayat ka
● Mai jis tarah abhi ye Instagram Post type kar raha hu iska Ilm Allah ko mere paidaeesh se 50,000 saal phle se tha ke mai aaj is waqt Instagram Post type karunga
Instagram hamare liye naya hai lekin Allah ke liye purana hai
Lekin meri ye Instagram Post ko Typing karne ka Amal Allah ne apni taraf se mere liye isko pahle se tay-shuda nhi kiya tha
Uske ilm me ye kaam tha lekin iska Ikhtiyaar Allah ne mjhe diya hai ke Mai chaahe kisi bhi tarah ki Post type karu
● Usi tarah Mere Shadi ka mamla hai
Ye Shadi wala kaam Qadr/kismat ki 2nd category me ata hai
🔴 Allah ko phle se malum hai ke mai kis ladki se Shadi karunga lekin usne mujhe “fala ladki” se hi Shadi kar aisa jabr nahi kiya
Usne mujhe ikhtiyaar diya hai ke mai jis ladki se Shadi karu ya naa karu aur mere ikhtiyaar (choice) ka natija (result) Allah ko pahle se malum hai
Isiliye aap kis ladki se Shadi karoge wo usko apke paidaeesh ke 50,000 saal pahle se hi malum tha isliye wo apke kismat me likh chuka hai ke aap “fala ladki” se Shadi karoge
● Warna apko ye kahena padega ke jo “ek kafir” “dusre kafir” se shadi karta hai wo to aisa kahega ke mere Kismat me Allah ne pahle se “Kafir” hona likha tha isliye mai ne “ek kafir” se shadi ki hai
● Fir to ek Chor bhi kahega ke mai Chor isliye bana hu ke mere Kismat me phle se Chor banna likha hua tha
● Allah agar apni taraf se Insan ke liye har achhi-buri chiz phle se tay ki hoti to Allah ne Insan ke Amaal likhne ke liye 2 Farishte muqarrar kyun kiye?
● Fir Allah ne Shadi ke Ahekaam kyun nazil kiye ?
● Aur Rasoolullah (Muhammad ﷺ) ne apne Ummatiyo ko Shadi ke bare me kyun Rahenumaai ki ?
🔴 Khulasa:
👉 Jis ladka-ladki se aap Shadi kar rahe ho iske zimmedar aap khud hai
Allah ko iska ilm apke paidaeesh se 50,000 pahle tha ke aap kis ladka/ladki se shadi karoge isliye usne apni ilm ki buniyad par likh dala ke aap “fala” ladka-ladki se shadi karoge lekin iska Zimmedar Allah nahi hai
👉 Ye bhi baat yaad rakhe ke Allah ki marzi se hi apki Shadi ka kaam hua qki darakht ka patta bhi zameen par Allah ki marzi ke bagair nahi girta
👉 Allah ki marzi to Apki Shadi hone me shamil thi aur rahegi lekin Allah apki Shadi se tab hi khush hoga jab aapne apni Shadi uske bheje huye Shariyat ke mutabik ki ho
👉 Agar apke shadi ke liye HIDAYAT-YAFTA Rishta hai to aap sirf Qismat par takiya lagakar usko halka na lijiye aur ye Na kahe ke Qismat me hoga to zarur shadi hogi warna nahi
Aap achhe rishto ke liye PAHEL KIJIYE
● Usi tarah Shadi ke liye Gumrah Rishto se dur rahiye
● Aap apni Qismat ko dhaal bana kar GUMRAH/MUSHRIK/KAFIR ladka-ladki se Shadi na kijiye qki Allah GUMRAHI/SHIRK/KUFR ko pasand nahi karta Jab Allah apne liye GUMRAHI/SHIRK/KUFR pasand nahi karta to bhala apne bande ke liye in gumraahiyo ko kaise pasand karega 🥀
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments