KYA ISLAM MEIN MAZAR BANANA HARAAM HAI ? KYA MAZAR PAR JAANA HARAAM HAI ?
Ahle sunnat wal jamat kay saare firke iss baat par muttafik (sahmat) hain ki islaam mein Quran kay baad sabse Sahih kitabein Sahih bukhari aur Sahih Muslim hain aur iss baat par bhi ittafaq (agree) hain ki jis tarah Quran ki kisi ek Aayat ka inkaar karney wala kaafir hai, usi tarah in dono kitabon ki ek bhi hadith ka inkaar karne wala Murtad hain💯
👉Ab dekhtey hain ki yeh kitabein Mazar kay baare mein kyaa kahti hain ?
Maa Ayesha (r.a) kahti hain ki nabi Muhammad ﷺ kay marzul mout kay waqt umme habiba aur umme salama ne ek church ki khoobsurti ki taarif ki, tab aap (ﷺ) ne farmya - jab yahood o nasara mein koi nek shaksh mar jaata tha to yeh log uski Qabr par masjid yaani ibaadat gaah bana detey the aur uski sajawat karte yeh log qayamat kay din ALLAH Ta'ala ke saamne sabse badtreen makhlooq hongey.
[SAHIH MUSLIM HADEES NUMBER 1181]
Is Hadith ki tashreeh bayan karte huye imaam malik aur imaam Shafai kahte hain ki qabro ko pakka karna aur unn par building aur kubba banana haraam hain aur ek dusri hadees mein
Maa Ayesha (r.a) farmaati hain- Nabi Mohammad (ﷺ) ki bimaari kay waqt aapney farmaya - ALLAH ta’ala laanat kare yahood o nasra par, inn logo ne apne ambiya ki qabron ko ibaadatgaah (masjid) bana diya hain
[SAHIH BUKHARI HADEES NUMBER 5815]
in dono hadees se bilkul wazeh hai ki khud nabi (ﷺ) ne Qabron ko pakka karne yaa mazaar banane ko mana kiya hain lekin phir bhi log is issue ko lekar argument karte hain aur imaam ad dahabi likhtey hain - Nabi Mohammad (ﷺ) ke time mein bhi makka mein nek logon ke mazarat maujood they aur makka ke mushrik butt'on kay saath qabron ki ibaadat karte aur kahte ki yeh murde humari fariyaad sunte hain aur humari fariyaad ko Allah ta’ala tak pahunchate hain
Allah ta'ala ne Aayat nazil ki-zinda aur murde barabar nhi ho sakte hain
Allah ta'ala jise chahta hai suna detaa hai aur aap in logon ko nhi sunaa sakte jo qabron mein hai.
[SURAH FATIR AYAT NUMBER -22]
Aur jin jin ko yeh log Allah ke siwaa pukartey hain woh kisi cheez ko paida nhi kar sakte hain aur woh khud paida kiye huye hain, murde hain zinda nhi hain unhen to yeh bhi shaoor nhi hain ki hum uthaye kab jayenge.
[SURAH NAHAL AYAT - 20-21]
lekin jab nabi Muhammad (ﷺ) ne makka ko fateh kiya toh aapne Ali (r.a) ko Huqm diya
Hazrat Abul Hiyaj al-Assadi (r.a) kahte hain ki mainAli (r.a) ki fauj mein sipahi tha.
Ali (r.a) ne mujhse kaha ki mujhse nabi Mohammad (ﷺ) ne kaha hai ki tum makka mein har butt (statue) ko tod do har tasveer(photo) ko mitaa do aur har qabr ko tod kar zameen kay barabar kar do.
[SAHIH MUSLIM HADEES NUMBER 2243]
Abir Radi allahu anhu se Rivayat hai ki Rasool’Allah (ﷺ) ne Qabron ko pukhta (pakka) karney, aur us par baithne aur us par imarat (building) banane se mana farmaaya hain.
[SAHIH MUSLIM HADEES NUMBER 2245]
Kya in Hadees ke bad bhi koi shak baaki rah jaata hai ki islaam mein Dargaah yaa Mazaar ka koi concept hai ??
Ab zara dekhte hain ki MAZARO par jaane waalo ke liye kya Huqm hai ?
👉 Abu Huraira radi allahu anhu se riwayat hai ki Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaaya agar koi Ek Angare par baithey aur uskey kapde jal jaayen aur uski khaal tak pahunche yeh behatar hain, usse ki Woh Qabr par baithey.
[Sahih Muslim HADEES NUMBER 2248]
Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se riwayat hai ki Rasool’Allah Mohammad (ﷺ) ne Qabron ki ziyaarat karney waali Aurton par lanat farmaayi hai or isi tarah Qabro par masjid bananey waalo or us par chiraag karney waalo par bhi lanat farmayi hai.
[Sunan Abu Dawood Hadees Number 3236]
Ab hum zara un logo ki daleel ka analysis kar lete hain jo Dargaah par jaane ki daleel pesh karte hain
1) Ab jo log khte hai ki Mazaro pr jana chahye wahan jakar dua krna chhye unki pehli dalil ye hadith kuch yun hoti hai
Buraida Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya maine tmhe mana kiya tha Qabro ki Ziyarat karne se lekin ab tum Ziyarat karo unki
[Sahih Muslim Hadees Number 5114]
Fir khte hai ki dekho khud nabi Muhammad ﷺ ka hukm h ki qabro ki ziyarat kiya kro lekin tum log Mazar pr jane ko mana krte ho
Lekin ye hadith mis cott ki gyi hai, Is Hadith ki tashreeh khud imam muslim is trh krte hai ki bureda (r.a) riwayat krte hai ki nabi Muhammad ﷺ ne humse bataya ki mene ALLAH se apne waliden ki ziyarat krne ki ijazat mangi thi jo ki mujhe nhi di gyi, lekin ab mujhe qabro ki ziyarat krne ki ijazat mil gyi isliye mai tumhe hukm deta hun ki tum b qabro ki ziyarat kiya kro taki tumhe (mout) akhirat ki yad aati rahe
Is hadith ko Ibn e Majah ne b riwayat kiya hai
AB ZARA YAHAN HUM KUCH POINTS CLEARIFY KR DEN
1) Hadith me ziqr h Qabro ka yani arabic zuban m qabr k liye lafz qubur aata hai, Isliye hadith me lafz qabur hai lekin kuch log ise mazar se jodte hai jb ki ye bilkul galat hai qki mazar ko arabic zuban m maqbara kaha jata hai, isliye hadith me lafz qubur h na ki makbara isliye pehli bat to ye hui ki ye hadith mazar pr fit hi nahi hoti hai
2) Is Hadith me aam qabro ka zikr h na ki kisi makhsus shakshiyat ka qki nabi Muhammad ﷺ ne apne maa baap ki qabr ka ziqr kiya tha yani nabi Muhammad ﷺ ki murad aam kabristan se thi na ki kisi makhsus bande ki qabr se
3) Nabi Muhammad ﷺ ne qabr ki ziyarat ka mksad kuch yun bayan kiya ki wahan jane se tumhe mout ki yad aayegi or yakinan jb banda kisi ko dafnane kabristan jata hai to wahan ja kar usey khud bhi ehsas hota hai ki aaj ye yahan aaya hai shayad kal me yahan aaun
jisse uske dil m Allah ka dar aata hai or ek ummeed hoti ki wo shayad jo galat kam kr rha hai usse touba kr le jbki mazar ka mamla iske bilkul ulta hai
Meri bat ko na mano or apne dil par hath rakh kr kaho ki kya waqai me kisi mazar pr jane se kbhi kisi ko mout ki yad aayi, wahan ki rounak, wahan qawaliyan hoti hai, tawaif ya hijde nachte hai, mazar ke andhere kone me call girls customer ki intezar me khdi hoti hai, kuch charsi wahan ghum rahe hote h, mela laga hua hota hai, jahan awara ladke ladkiyon ko cher rahe hote hai
haram khori or ayashi k liye mazar ke trust k rooms ki bookings full rhti hai...
Mazaro ko khubsurati se sajaya hua hota hai wahan tarah tarah k perfume chidke hue hote hai dhup batti or pata nahi kya kya jal raha hota hai..
kya waqai me mazar pr jane se kisi b bande ko mout ki yad aati hai ...han ye to ho skta hai ki mazar par jane se tawaif ka dance dekh kar haram khori ki yad aaye lekin mout ki yad impossible...isliye ye dalil bilkul fit hi nahi baith'ti hai...
🔴 kuch log yun bhi khte hai ki agar Mazar islam me haram hota to nabi Muhammad ﷺ ka mazar na hota bht sare logo ne peero fakhiro ki saji hui Mazar ke photo pr ye likh diya ki ye nabi Muhammad ﷺ ka mazar hai, to log ye smjhte hai ki waqai me nabi Muhammad ﷺ ka mazar itna khub surat saja hua hota hai
Ab zara thora sa khulasa bayan karte hai - Nabi Muhammad ﷺ ki qabr ek andhere room me band h or mitti ki qabr hai us pr koi chadar wagairah kuch nahi hain.
Masjid nabwi se laga hua wo room hai jisme nabi Muhammad ﷺ ki qabr hai jo ki Ayesha (r.a) ka hujra tha wahan na koi lighting hai na koi jhumar tange hai kuch bhi nhi or wo kamra locked hai wahan kisi ko jane ki permission bhi nahi hai Dusri bat qabr ke bht duri pr room ki deewar hai or deewar par jali lagi hui hai kuch saal phle tak jali me jhakne ki permission thi lekin ab wo bhi khatm kr di gyi or ek bht lambi angle laga di gyi or wahan kisi ko rukne nhi diya jata hai bs ziyarat karo or chlte raho wahan police hoti hai warna to india or pakistan ke biddati wahan ruk jate the or nabi Muhammad ﷺ k roza mubarak k samne hath faila kar dua mangne lagte the jbki jo log roze ki ziyarat kiye wo jante hai ki nabi Muhammad ﷺ ka roza kaaba se opposite direction m hai yani jb masjid nabwi me namaz hoti hai to nabi Muhammad ﷺ ke roze ki taraf namazi ki kamar hoti hai isliye wahan k poilce wale rukne nahi dete hai yahan tak kare india or pakistan ke biddati ki jali m paper likh likh kr dal diye jiski wajah se wahan har roz safai krni padti isliye ab bht duri par way bana diya hai bs wahan se guzro or ziyarat kro kareeb nahi aa skte hai
Ab ek sawal jo ki bht sare log krte hai ki jb nabi Muhammad ﷺ ki Hadith hai ki qabr ko masjid na banao yani qabr ke upar kubba nahi hona chahye to nabi Muhammad ﷺ ke roze pr kubba q hai iski zara wazahat zaruri hai
Nabi Muhammad ﷺ k wafat pr sahaba me ikhtilaf hua ki nabi Muhammad ﷺ ko kahan dafan kiya jaye Abu baqr siddiq (r.a) ne kaha ki maine nabi Muhammad ﷺ ko ye kahte hue suna tha ki nabi jahan marta hai wahin dafan hota hai
Aur qki nabi ki wafat ayesha (r.a) ke hujre me hui thi isliye unko wahin dafan kr diya gya bad me Abu baqr (r.a) ki mout hui to unko b Nabi Muhammad ﷺ kareeb me hi dafan kr diya gya jb umar (r.a) ko shaheed kiya gya to unhe bhi wahi nabi Muhammad ﷺ k kareeb me hi dafan kr diya gya qki umar (r.a) ne Ayesha (r.a) se ijzat mangi thi
Umar (r.a) ke wahan dafan hone k bad Ayesha (r.a) ne wo hujra chor diya or alag dusri jagah rehne lagi aur ye b sb jante hai ki Ayesha (r.a) ka hujra masjid nabwi k bilkul kareev tha
ab sahaba ne us hujre k darwaze hata kr wahan bhi deewar se band kr diya kahin log shirk na krne lage aur us hujre ki chhat b hata di
Madina ki abadi badhti rahi to masjid ko badhana pada, lekin jitne bhi khalifa the sbne masjid ko is tarah badhaya ki masjid Nabi Muhammad ﷺ k roze door rahe yani right side or aage ko badhaya left side or piche ko aise hi rehne diya
Jitni bhi hukmuran madina me aate rahe unhone masjid nabwi ko isi tarah failaya qki sb jante the ki agar masjid nabwi nabi Muhammad ﷺ ke roze se jaa mili to pichle namaziyo ki namaz nahi hogi, qki sajda ke samne koi qabr hona haram hai
lekin 800 hijri ke bad ek hukmuran aisa aaya jisne masjid ko charo taraf se faila diya jiska naam ibn saleem tha, sabne masjid ko bada kiya or nabi Muhammad ﷺ k roze k upar chhat dali or us par gumbad banaya
Ibn saleem ek biddati tha aur uske akaid me shia akaid mile jule the aur usne is gumbad ko blue colour diya, tb ye gumbad bana aaj iska colour green hai to kuch logo ne apne pagdi ki nisbat gumbd ke color se de di hai
Kal saudi goverment isko white kr degi tb kya krnge ye bewakuf log aur aaj bhi jo log madina aaye hai or masjid nabwi me namaz ada kiye hai unhone wahan pr board lage dekhen honge jahan pr border bane hue hai ki sirf yahan pr namaz padhen aur kuch jagah pr board lage hue hai ki yahan namaz na ada karein ye us qabr ki hi wajah se hai
Ab ek sawal or jo bht sare logo ke zehan me hoga or khud mere zehen me utha tha ki saudi goverment to ahle haq h wo log is gumbad ko q nahi todte is silsile me Meri ek saudi mufti sab se bat hui jb mai madina gya or maine unke samne yahi sawal rakha, to unhone bataya ki jb aal e saud or abdul wahab (r.a) ne mil kar saudi arab ki zameen ko mazar or shirk se pak kiya to duniya ke kai countries hamare dushman ho gye or hamare khilaf tehreek chalayi aur us tym pr saudi arabia aaj ke jesa koi ameer mulq nahi tha bechara bht gareeb mulq tha
Saudi Arabia to oil mil jane k bad se Ameer hua hai or Saudi Arabia me oil 1938 me mila hai bad me Aal e saud ke beto ne chaha ki is gumbad ko bhi tod diya jaye or muftiyon se fatawe mange gye to muftiyon ne ye keh kar rok diya ki tamam duniya shirk me dubi hui hai or tamam logo ne apni nisbat is gumbad se jod rakhi hai agr kahin ise bhi tod diya to kahin aisa na ho ki aas pas ki kai hukumat hamare khilaf ho jaye qki saudi ke kareeb me iran hai or iran me shia hain or shia log kubba sazi ko iman ka rukn mante hai idhar iraq me bhi 60% shia hai or kareeb me syria me 70% shia hai aur dusri bat jin jin mulko me bhi musalman hai wahan ahle haq bhi hai or ahle biddat bhi hai jb ye kubba giraya jayga to ahle haq khush honge or ahle biddat iske khilaf khde honge to kahin aisa na ho ki koi khoon kharaba un mulko me ho jaye isliye kubba kisi insan ki jaan se zyda achcha nahi hai
Yeh maslehat ko dekhte huye iss kubbe ko nahi giraaya aur kuch faisle karne hi padte hain thik usi tarah ki saare Ahle Sunnah ke firke iss baat par ittaefaq rakhtein hai ki shia kaafir hain lekin fir bhi unhen hajj karne ki ijaazat saudi hukumat ne di hui hai.
Isliye ye daleel bilkul galat hai ki nabi Muhammad (ﷺ) ka Mazar hai to baaki peero fakhiro ka bhi hona chahye aur ek baat main yahan yeh bhi arz kar dun ki humara sab musalmano ka akeeda yeh hai ki nabi Mohammad (ﷺ) ki barabari koi nahi kar sakta hai to fir sawal hai ye ki apne peero fakhiro ke mazar bana kr tum log apne peero fakhiro ki barabri nabi Muhammad ﷺ se kyu kr rahe ho humne bht tehqeeq ki or uske bad is post ko dala or paya jitne bhi log mazar k taluk se riwayat bayan krte hai wo riwayten ya to daeef hai ya mansukh ya jhuti riwayten hai
Ek bhi sahih riwayat moujud nahi hai jisse mazar ka banna islam me sabit ho
Aur akhiri baat kuch log bolte hai ki kya tumhre alim hi jante hai
hamare alim bhi to hai hamare ulema b to Quran or hadith ko study krte hai ....
Agar aisa hota to wo hume zarur batate ?
hum unse palat kar sawal krte hai ki shia or qadyani ko tum bhi gumrah firke mante ho to mera sawal ye hai ki kya shia log me ulema nahi hai or kya qadyani me ulema nahi hai...
yakinan unme bhi aalim hote hote or wo bhi Quran or hadith ka ilm lete hai lekin fir bhi woh gumrah hai ...
Isi tarah tumhre ulema bhi yakinan Quran or hadith ka ilm lete hai lekin fir bhi gumrah hai...🔴
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments