Sawal:- Kya "Daleel" ki Baat Karna Tafarka Faialana hai?
----------------------------------------------
👉 Kuch logo se jab "Hadees" ki baat ki jaye, "Daleel" ki bat ki jaye to wo kahte hain ki Tum log "Tafarka" failate ho
-------------------------
Jawab Quran or Hadees ki Roshni me 👇👇👇
--------------------------------------
Allah ne kaha:-
👈 قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
👆 Daleel pesh karo Agar tum sachee ho.
📚[Sura Al-Baqarah, Ayah 111]
👉Rasoolullah ﷺ ne farmaya " kisi shakhs ke JHOOTHA hone ke liye yahi kafi hai ke wo har suni Hui bat agay bayan kar de."
📚( Sahih Muslim Hadees # 7- 9)
👉 Rasoolullah ﷺ ne farmaya (mafhoom) " Jisne meri taraf jhooth mansoob kiya, wo jahannam me dakhil hoga."
📚 (Sahih Muslim Hadees # 1- 6 )
👆 In Sab "Quran o Hadees" ki bato se hme Yahi janne ko milta hai ki kisi bhi baat ko "Aankh band" kr ke nhi maan leni chahiye balke "Tahqeeq" krni chahiye ki Aakhir jo btaya ja raha hai wo Sahi bhi hai ki nhi, Esi liye koi kuch btaye to usse Daleel mangna Zaroori hai taki "Tahqeeq" kiya ja Ske.
📖 Quran:-
👈 يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ.
👉 Allah ki baat mano or Allah ke ke Rasool ﷺ ki baat mano
📚 [Surah An-Nisa', Ayah 59]
👆 Ye baat QURAN me 20 se zayada baar kahi gayi hai
👆 Es Aayaat se ye Saaf waze hai ki Allah ne Hme kisi imam ko manne ke liye nahi kaha blke
👉 Rasoolallah ﷺ ki Pairwi karne ko kaha gya hai. matlab Ebaat ko Nabi ﷺ ke Amal be Dekhne ko kaha, Na ki Imamo ke Amal se.
-------------------------
Jo log Imam ko manne ki baat karte hain wo ye zaroor jaan le ki 4 Imamo ne kabhi nahi kaha ki aap meri baat mano, blke yhi kaha ki hadees ko mano jab meri baat Hadees se Takraye to. 👇
📚a):-ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा रह.)
📚b):-अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
📚c):- जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
📚d):-ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)
☝ Ham 1 imam ko manne ki baat karte hai yani Imamo ke Imam Rasoolallah ﷺ ko.
👉 Or jub Tak ham log 1 imam yani Rasoolallah ﷺ ki baat nahi manenge tab tak Ittehad (unity) nhi ho Sakti.
👉 To kya Rasoolallah ﷺ ke peeche chalne ki baat krna Tafarka failana hai?
👉 To hme bhi chhahiye ki suni Sunayi baato pe na chal kar tahqeeqat Kre
👉 Deen ki sari bate Daleel ke sath Honi chahiye, Hawa me nahi.
👉 To kya daleel ke sath baat karna Tafarka Failana hai?
👉 Asal me jo log Sahi deen ko nahi samjhna chahte hain wo log Bus ilzam lagane ka kam karte hain taki logo tak Sachaaii na pahuch sake.
👉 Hme Afwah me na rah kar, Sahi deen ki Talash karni chaiye.
kyuki
👉 Apki Ebadat agar Rasoolallah ﷺ ki Tarah na hui to wo qubool hi nhi hogi to kya fayda aisi ebadat ka jo qubool hi na ho.
👆 Ummid hai baat Samjh me aaye
( Har Baat Daleel Ke Saath)
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments