LADKI LADKE KO SHADI KA PAIGHAM BHEJ SAKTI HAI
Ek Muslim Ladki Ek Muslim Ladke Ko Shadi Ke
Liye Propose Kar Sakti Hai
Agar Wo Jaanti Hai Ki Ladka Achche Akhlaaq wa
Deeni Maalumaat Ka Haami Hai
Toh Woh Ek Acha Husband Ho Sakta Hai
Wo Ek Islami Tareeqe Se Shaadi Ka Paigham
Bhej Sakti Hai
Kuch Tahzeeb (cultures) Me Dekha Gaya hai Ki
Log Is muamle Me Galat Tareeqa Akhtiyaar
Karte Hain..
Lekin Wo Tareeqa Unka Apna Banaya Hua Hai..
Islamic Nahin hai !!!
Hum Us Society Mein Rahte Hain Jahan Logon Ke
dimag Me Ye Rahta Hai ki Sirf Ladke Hi Shadi Ka Paigham bhej Sakte Hain
Ye Hamari Society Ka Rule hai Jisme ye Samjha
jata hai Ki Sirf Ladka Hi Shadi Ke Liye Propose
Kar Sakta Hai Aur Agar koi Ladki Aisa Kare Toh
Badi Hi Sharm Ki Baat Samjhi Jati Hai....
Bahut si Ladkiyan Aisi Hoti Hai Jo Intezaar
Karti Hai Ki Wo Ladka Shadi Ka paigham
Bheje Aur Kabhi Kabhi Toh Maheeno Aur Saalon
Guzar Jate Hain....
Agar Wo Ladka Propose Na Kare toh Us Ladki
Ki Zindagi Me Question Mark Lag Jaata Hai
Kuch Cases Me Jab Beti Apne Liye Behtar
Husband Ke Baare me Apne Parents Ko
Batane Ki Himmat Bhi Karti Hai toh uske Is
Amal Ko Jurm Samjha jata Hai Aur Usko Galat Nigah se Dekha Jaata hai...
Aur Ye Samjha Jata Hai Ki Zaroor Uske Us Ladke Ke Saath Galat Rishte Honge Ye Saare Mughaltein Islamic Taleem Ke Khilaaf Hai
Quran aur Sunnat Mein Aisa Kahin Nahin Hai Ki
Ladki Apni Pasand Ke Ladke Ko Shadi Ka Paigham Nahi bhej Sakti.
Humare Liye Sabse Bahtar Role Model Hamre
Nabi Muhammad (ﷺ) hain.
Aur Is masle Ke mutaallik Hamein Ek Khoobsoorat Namoona Mil sakta hai.
Jab Ummul momineen Hazrat Khadija (r.a) Ne Nabi Muhammad (ﷺ) Ko Shadi Ka paigham
Apni Saheli 'Nafisah' Ke saath Bheja.
Nafisah ne Shadi Ka Paigham Nabi Muhammad (ﷺ) ko diya..
Aur Aap Muhammad (ﷺ) Ne Us Paigham Ko Qubool Farmaya
Agar Ye Tareeqa Galat Aur Sharm'naak Hota
Toh Beshaq Allah Ta'ala Is tarah Ke paigham Se
Kabhi Raazi Na hota Jisme Ek Aurat Khud Apni
Shadi Ka paigham Bhejti Ho...
Islam Me Aisa Koi Huqm Nahin Ke Aurat Ke
Mard Ko shadi Ka paigham Nahi Bhej Sakti
Isme koi harj nahin.
Lekin Paigham Bhejne ka Tareeqa Waisa hi
Hona Chahiye Jisme Islamic Shari'at Ki Khilaaf
Warzi Na Ho
Ek Ladki Apne Parents Ko ye Kah sakti hai ke
Us ladke Ke Parents se Shadi ke Liye baat Karein...
Jis Ladke Mein wo Interested Hai Use Apni
Sister, Cousin, Khaala (aunty) Etc ke Zariye
Paigham Bhej Sakti hai Ye Janne Ke liye Ki wo
Bhi Interested Hai Ya Nahi...
Wo Ladki Use Directly Bhi kah Sakti hai Islam
Me koi Mumaaniyat Nahin Hai
Lekin Use Islamic rules Follow Karne
Padenge...
Aur In Cheezon se Bachna Padega Jaise
Nazrein Milaana, Dating Karna, Mobile Par
Chatting , Flirting, sexual Speech....Etc
Ye sab Haram Cheez hain...
Isse koi Farq nahi Padta Ki Propose Kaun kar
raha hai wo Kis Caste ka hai...
Jo Bhi Amal Kiya jaaye ek Achchi Niyat Se Kiya
Jaaye (Istikhara kar le behtar hai)...
Aur Islamic rules ke Daayere Mein hi kiya
jaaye...
Aur Ye Bhi Jayz hai Ki Ladki Ke Ghar Waale
Shadi Ke liye Pahle Paigham bhejen
Hamari society Mein ye Paaya jaata Hai Ki Pahle
Ladke Wale Hi Shadi Ka Paigham Bhejte Hai...
Aur ladki Walon kI Taraf se Rishta Bhejna
Galat Samjha Jata hai..
Aisa Amal Sahih Nahi hai
Hazrat Umar Bin Khattab (r. a) Ne apni
Beti Hazrat Hafsa (r.a) Ke liye Sirf Ek Sahabi (r.a) ko Paigham nahi Bheja
Balki 2 Ko Paigham bheja Tha
1) Hazrat Usman (r.a)
2) Hazrat Abu bakr Siddique (r.a)
Aur Iske Baad Khud Nabi Muhammad (ﷺ) Ne Hazrat Hafsa (r.a) Se Shadi Ke liye Hazrat
umar bin khattab (r.a) Ko Paigham Bheja Tha..
Isi Tarah Jab Allah Ke Nabi Hazrat Shuaib (as) Ne Hazrat Moosa (as) Me Paakeezgi, Sachchayi Aur
Taqwa Ko Dekha Toh Apni Ek Khoobsoorat
Beti Ka Shadi Ka paigham Bheja Tha
Toh Is baat Se Saabit Hota Hai Ki Ladki Ka wali
Ek Achcha Aur Deendaar Aur Suitable Ladke Ko
Apni Beti Ke Liye Shadi Ka paigham Bhej Sakta
Hai Isme koi Galat baat nahi..
Hamein Yaad Rakhna Chahiye Ki Hazrat Khadija (R.a), Nabi Muhammad ﷺ ki Pehli Biwi thi Aur Unhone Nabi Muhammad ﷺ Ka Rishta Khud Bheja Tha..
Jab aisa Us Waqt Ho Sakta Hai To Fir Aaj
Kyu nahi Ho Sakta Ye Aapka Haq hai Isliye Agar Aap Kisi Acche Ladke Ko dekho Ki Wo Aapka Husband Banne ke Layak hai toh Us Ladke Ko Paigham Bhejne Me Sharm Mahsoos Nahin Karni Chahiye.
Agar Aap Me Zyada Haya (shyness) hai Toh
Aap apne Family Member se Kah sakti ho Ya
Aap apne Close Frnd Ke zariye Se paigham
Bhej sakti Ho.
Tab Allah Usme Barkat Daal dega....In'Sha'Allah
Aur Yaad Rakhein Hamara Mazhab Islam Ek
Asaaan Aur suljha hua Aur Peaceful Mazhab
hai Isme Koi Zabardasti Nahin Hai..
Islam Confusion Wala mazhab nahi Hai
Balki Ek Aasaaan Mazhab hai Isliye Aisa Koi
Tareeqa Apni Zindagi Aur Apni Society Me
naafez (apply) Na karein Jisme Confusion Ho
Mushkilon Ko Jaanchiye (check kare) Aur Usko Islamic tareeqe se Solve Karne Ki Koshish Kariye...
JazakAllahu Khairan.
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments