Maah - E - Muharram Ke Bid'aat-o-Khurafaat

 Maah - E - Muharram Ke Bid'aat-o-Khurafaat :- 


Jaise Hi Muharram ke Mahine Ki Shuruaat Hoti Hai Ummat Ka Ek Tabqa Ajeeb Wa Ghareeb Bid'aat Wa Rasm'aat Mein Mulawwis Nazar Aata Hai 


Is Mahine Me Bahut Sari Kharabiyan aur jahiliyat ke rasm'aat Dekhne Me Nazar Aati Hai 


Jaise Siyah (Black) Kapde Pehanna, Ta'aziya Ka Juloos Nikalna, Muharram Ke Mahine Me Shaadi Biyah Na Karna, Sharbatein Taqseem Karna, gham manana Waghaira 


Islam Me In Sabka Talluq Door door Tak Bhi Nhi Hai

Balki Ye Bid'aat Wa Khurafaat, Shiya Wa Rawafiz Jaise Gumrah Firqon Ne ejaad Kiya Aur In Rasm'aat Ko Apne Aap Ko Ahle Sunnat Kehalwaane Wale Groh Ne Apna Liya 


Aur Ye Firqa Bhi 10 Muharram Ke Din Sadkon Par Sharbatein Taqseem Karta Hua Nazar Aata Hai 


Halanki Us Din Nabi ļ·ŗ Aur Aapke Pyare Sahaba Kraam (RaziAllahuAnhum) Roza Raha Karte The 


Aur Isi Tarha Kitni Naa Insaafi Ki Baat Hai Jis Muharram Ke Mahine Ko Nabi (ļ·ŗ) ((Ų“Ś¾Ų± Ų§Ł„Ł„Ū)) Ya'ani Allah ka Mahina kahe, usi mahine ko ye jahil log manhoos mahina ya Gham Ka Mahina Kehte Hai 


Allah ke koi mahina manhoos nahi hota, aur rahi baat gham ka mahina to iski nisbath hussain razi'Allahu anhu ki shahadath se ki jaati hai, Halanki Syedna Hussain (RaziAllahuAnhu) Ki Shahadat Se Bahut Pehle Hi Allah Ne Iss mahine ko Ehteraam Wa Adab Wala Banaya Hai 


is mahine me mardo ke saath saath Aurtein bhi siyaah libas pahenkar sough manati hai, iss mahine me shadi biyah karne se ruke rahti hai, halanki syedna hussain bin Ali (razi'Allahuanhuma) ko shaheed hue sadiya beeth gayi, lehaza ab unka sough manana kisi Mominah Aurat ke liye qat'an Jayez Nahi,

gham ke naam par siyaah. libas pahenkar sadko par logo ko us din sharbatein taqseem karna jis din nabi (alaihissalam) roza rahte the, sarasar shiya wo rawafiz ki naqqali hai

Syedna hussain (razi'Allahu anhu) ke alawa osman bin affan, omer bin khattab razi'Allahu anhum aur beshumar sahaba kram shaheed hue, Beshumar sahaba us waqt zinda the, kisi ne bhi Na siyah libas hussain razi'Allahu anhu ki shahadath par pahna aur Na hi kisi aur sahabi ki shahadath par wo tamam kaam kiye jo aaj log deen samajh kar kar rahe hai 


Inhi Jaahiliyat Ke Rasm'aat Me Maatam Wa Noha Karna bhi Hai

Iski Baabat Nabi ļ·ŗ Ne Irshaad Farmaaya:- 


"Woh Shakhs Hum Musalmano Mein Se Nahi Jo Kisi Mayyat Par  Ruqhsaar Peete, Girebaan Phaade Aur Daure Jahiliyat Ke Batein kare."

(Sahih Bukhari Jild No.2 Kitab-ul-Janaez Hadees No.1297) 


Aur Ek Hadees Mein Rasoolullah ļ·ŗ Ne Irshaad Farmaaya:-

"Meri Ummat Mein 4 Kaam Jaahiliyat Waale Honge Jinko (Kuch) Log Nahi Chhodengey:- 


1.Hasb wa Nasb Me Fakhr (Apne mukam pr fakhr)

2.Nasb Me Ta'n Wa Aib (rishtedaro ko tana krne wle)

3.Sitaro Ke Zariye Baarish Talab Karna

4. Noha Karna (Matam karna)


(Sahih Muslim Jild No.2 Kitab-ul-Janaez Hadees No.934 Darussalaam No: 2160) 


Isliye Maatame Hussain Wa Ta'aziya Daari Ka Islaam Se Koi Talluq Nahi

Is Ehteraam Wale Mahine Me Jaahil Log Jitne Bhi Rasm'aat ejaad Karlein In Ki Haisiyat Kuch Bhi Nahi,Balki In Tamaam Jaahilana Rasm'aat Ke Baare Mein Rasoolullah ļ·ŗ Ne Irshaad Farmaaya:

"Khabardaar ! Jaahiliyat Ke Har Kaam Mere Dono Qadmo Ke Neeche Rondhi Hui Hai." 


(Sahih Muslim Jild No.3 Kitab-ul-Hajj Hadees No.1218 Darussalaam No: 2950) 


Aakhir Me Allah Ta'ala Se Dua Hai Ke Allah Hame Taufeeq De Ke Hum in Rasm'aat Se Khud Bhi bache Rahe Aur Apne Ghar Walon aur Deegar Logon Ko Bhi bacha Sake...Aameen šŸ¤²


__________________________________________

šŸ„€To get Reward in Akhirah,šŸ„€

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI


Post a Comment

0 Comments