MODERN TECHNOLOGIES KA ISTEMAAL KARNA KYA BIDDAT HAI

 MODERN TECHNOLOGIES KA ISTEMAAL KARNA KYA BIDDAT HAI ❓


Biddat nhi hai...


Jab Deen-e-Islam me bidat krne wle bhaiyo se kaha jata hai ke Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun Nabi na manaya jaaye qki ye Sunnat-e-Rasool nhi hai to aise logo ka jawab hota hai ke aap Morden Technological machines/devices kyun istemaal karte ho jaise Car, Bike, Cycle, Computer, Watch, Aeroplane wagaira ? 


Kya in technologies ka istemaal karna Sunnat-e-Rasool hai ?

Ye bhi to ek tarah ki bidat hai


Aj ham aise meethe meethe pyare pyare islami bhaiyo ke sawaalat ka jawab ek Hadees  ki roshni dena chah rahe hai


Ayesha (R.A) farmati hai ke : 


Rasool-Allah Muhammad ﷺ ne kuchh awaaze suni, to kaha ke ye awaze kaisi hai ?

Logo ne Kaha ke Ae Allah ke Rasool yaha log Khajoor ke nar aur mada ki crossing kar rahe hai

Rasoolullah ne Kaha ke aisa na kare to tab bhi thik rahega (To us saal) un logo ne khajoor ke male-female ki crossing nahi ki (iska natija ye hua ke) us saal puri khajoor ki paidawar barbaad ho gyi

Logo ne aa kr Rasool-Allah se kaha apke kahne par hamne crossing nhi ki thi isliye puri khajoor ki paidawar raddi ho gyi

To Rasool-Allah Muhammad ﷺ ne ek usool bayan kiya : 


Agar mamala tmhri duniya ka hai to tum jo chahe karo jaha tak Islam uski ijazat deta hai

Agar koi mamla Deen (Islam) ka aa jye to (us mamle ko krne ke liye) meri taraf ruju karo (meri taraf laut aao yani meri Sunnat dekho)


(Is Hadees ko Musnad Ahmad me bayan kiya gaya hai)


🔴 IS HADEES SE PATA CHALTA HAI KE….


1) Us daur me khajoor ke darkhto ki “Cross planting”  krna us daur ke hisab se ek agricultural technique thi isliye Rasool-Allah Muhammad ﷺ ne baad me “cross plantation” ki ijazaat de di


2) Is Hadees ko aj ke daur me laagu (apply) karoge to pata chalta hai ke un Modern Technologies ka istemaal karne me koi harz nhi jo Islam ke buniyaadi usoolo se na takrati ho


3) Is Hadeese me Rasool-Allah Muhammad ﷺ ne Sahaba ki shakl me sare Musalmano ko ek nasihat farmayi hai ke Deeni ke mamlo meri Pairawi karo

Isme ummatiyo ki manmani nhi chalegi


4) Ab hm ye dekhenge ke kya Allah aur uske Rasool Muhammad ﷺ ne Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun (dusre digar tamam rasm) ko manane ka hukm diya hai kya, agar hukm diya hai to hm ye sab manayenge warna ruk jayenge qki hm ye sab rasumaat Deen ke naam par kiye jaa rhe hai isliye inke karne ke liye Quran aur Sahih Hadees se daleel chahiye



5) Islam ek lachakdaar (flexible) Deen hai jo har zamane ke liye fit hota hai 


MODERN TECHNOLOGIES  KA ISTEMAAL KARNE KA ISHAARA IS HADEES-E-RASOOL SE MILTA HAI


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments