QURAAN KI UN 24 AAYTON KI HAQIQAT ?

 KYA HAQIQAT HAI QURAAN KI UN 24 AAYTON KI ??


🔴 Aaj ye baat ham achi tarah jante hai ki Qura'n majid sirf ek Mazhabi kitaab nahi balki Duniya me basne vale sabhi jati ke logo ke liye pura Margdarshan (Guidance) hai, Insan ki zindagi me koi pahlu esa nahi hai jisme Islam aur Qura'n madadgar (helpful) na ho.

🔴 Ye koi nayi baat nahi hai ki Islam aur Qura'n ke bare me ese Ilzam lagae gaye jisse Islam aur Qura'n ki Image kharab ho, balki past se hi ye shadyantr (Conspiracy) chalte aa rahe hai aur baar-baar ise badhava diya jata hai

🔴 Haal hi me hamare Mulk me fir se Qura'n ki kuch aayaton par Ilzam laga kar use Qura'n majid se nikalne ki nakaam koshish ki ja rahi hai

🔴 Jab ki Un aayaton ka background, unke bare me tafsil se jankari aur kon se waqt ke liye, kin logo ke liye un aayaton me huqam diya hai.
Ye sabhi tafsil se janege to khud-ba-khud pata chal jayega ki haal me Qura'n ki 24 aayaton ke bare me failayi gayi aayaton ki kya haqiqat hai ?

🔴 Logo me kis tarah se galatfahmi failayi ja rahi hai ?

🔴 Logo ko Qura'n ke bare me kis tarah bevaquf banaya jata hai ?

👉 vo sab khud-ba-khud pata chal jayega.

Ab niche Tafsil se ek-ek kar ke un 24 aayaton ke bare me puri jankari di jari hai taki usse jo galatfahmi paida hui hai vo dur ho jaye.

💌 First Aayat :-
☜ وَدُّوۡا لَوۡ تَکۡفُرُوۡنَ کَمَا کَفَرُوۡا فَتَکُوۡنُوۡنَ سَوَآءً فَلَا تَتَّخِذُوۡا مِنۡہُمۡ اَوۡلِیَآءَ حَتّٰی یُہَاجِرُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ ؕ فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَخُذُوۡہُمۡ وَ اقۡتُلُوۡہُمۡ حَیۡثُ وَجَدۡتُّمُوۡہُمۡ ۪ وَ لَا تَتَّخِذُوۡا مِنۡہُمۡ وَلِیًّا وَّلَا نَصِیۡرًا۔

[Surah Nisa : Aayat - 89]


💫 Tarjuma :- Vo chahte hai ki jese ye log Gair-muslim hai Ese hi tum bhi Gair-muslim ban jao. Taaki tum ek jese ho jao, to tum un mein se kisi ko Dost na banao, jab-tak vo Allah ki raah me Hijrat na kare, agar vo iski khilafvarzi kare, to jahan kahin pao, pakdo aur Qatl karo aur un me se kisi ko dost aur madadgar na banao.

🔴 Vajaahat:- Sabse pehle is aayat ka background kya hai vo jaan lete hai ki Jo log islami history jante hoge Unhe pata hoga ki Jab RasoolAllah ﷺ aur Sahaba (r.a) ko makka mein Gair-muslimo ki taraf se bahot si taklifen dene ke baad Unhone apna haqiqi vatan Makka ko chhod kar Madina ki taraf Hijarat ki, lekin Uske baad bhi unki (Gair-muslim) taraf se baar-baar hamle, sajishe aur taklifen dena shuru hi raha. balki Madina mein bhi Un (musalman) logo ki Zindagi tang karna aur chain sukun chhinne ki koshish lagatar chalu hi rahi, yahan tak ki vo Gair-muslim Esa chahte the ki Musalman bhi Gair-muslim ban jaye

Upar ke back-ground janne ke baad pata chalta hai ki pehle muslaman par kitna zulm kiya gaya, to javab me (defence ke liye) Allah ta'ala ne bhi Muslamano ko Ijazat di ke vo bhi Jo esa karte the unke saath upar ki aayat me bataya gaya amal kare Jisse unki (Gair-muslim) taraf se Zulm kam ho jae aur sukh shanti aur salamati baki rahe.

🔴 Fayda :- Upar ke back-ground se pata chalta hai ki Upar ki aayat me diya gaya huqm sabhi Gair-muslimo ke liye nahi balki Un logo ke liye tha jo muslamano ke saath esa bartav karte the, aur ye huqm bhi Defence ke liye ke diya gaya tha yahi vajah hai ki fauran baad ki aayat me allah ta'ala ne huqm diya ki...

اِلَّا الَّذِیۡنَ یَصِلُوۡنَ..........فَمَا جَعَلَ اللّٰہُ لَکُمۡ عَلَیۡہِمۡ سَبِیۡلًا۔

[Surah Nisa : Aayat-90]


👉 Tarjuma :- siway vo gair-muslim jo un logo ke sath ho jiske saath tumhara shanti ka vada ho, ya vo tumhare paas is tarah aaye ki na vo tumse ladna chahte ho aur na apni kaum se; halanki agar allah ta'ala chahte to unhe tum par musallat kar dete, fir vo tum se jang karte, to bas Jo gair-muslim tumse kinarakash rahe, ladai na kare aur salamti ka paygaam de to allah ne tumhare liye unke khilaf koi rasta nahi rakha hai.
Upar ki aayat ne dudh ka dudh aur pani ka pani kar diya hai ki pehli aayat me qatl ka huqm kin logon ke liye tha, isliye sirf jahiri aayaton se aage-pichhe ki baat batae bagair logon mein galatfehmi paida karke bichare kitne hi Gair-muslimo ko is bare me dhoka diya ja raha hai.

💌 Second Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا النَّبِیُّ حَرِّضِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ عَلَی الۡقِتَالِ ؕ اِنۡ یَّکُنۡ مِّنۡکُمۡ عِشۡرُوۡنَ صٰبِرُوۡنَ یَغۡلِبُوۡا مِائَتَیۡنِ ۚ وَ اِنۡ یَّکُنۡ مِّنۡکُمۡ مِّائَۃٌ یَّغۡلِبُوۡۤا اَلۡفًا مِّنَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا بِاَنَّہُمۡ قَوۡمٌ لَّا یَفۡقَہُوۡنَ۔

[Surah Anfal : Aayat-65]

💫 Tarjuma :- Aye Nabi ! Aap Imaan valo ko Jihad par Aamadah kijiye, agar tum me se 20 log bhi sabit qadam rahenge to 100 par galib aa jayenge. aur agar 100 log sabit qadam rahenge to 1000 par bhari rahenge, Qki ye ese log hai jo samaj nahi rakhte.

🔴 Vajahat:- Is aayat me musalmano ko jihad par aamadah to kiya gaya hai lekin kab aur konsi situation mein kiya gaya hai ?

👉 Ye janenge to pata chalega ki Is aayat ki haqiqat kya hai.

👉 Ye Aayat Jange badr ki ladai ko samne rakh kar utari gayi hai, jo san hijri 2 mein Madina shaher ke qarib badr naami maidan me hui thi, jisme musalman sirf 313 aur Gair-muslim 1000 the, Gair-muslim ginti me bhi Musalmano se teen guna zyada aur saath-saath ladai ka saaman bhi bahot zyada tha, jab ki musalman Ginti me bhi kam the aur ladai ka saaman bhi bahot kam tha.
Aur Gair-muslim jo musalmano par Hamla karne aaye the unhe uksaya gaya tha, aur dusre logon ki baato me aakar vo muslamano ko khatm karne ke irade se nikle the Isliye aakhiri aayat me kaha hai ki vo deen ki samajh nahi rakhte, Qki koi bhi mazhab dusre mazhab ke logo par bina kisi vajah hamla aur zulm karne ka huqm nahi deta, agar Unme thodi bhi samajh hoti to vo yeh qadam na uthate.

🔴 Fayda :- Upar ki vajahat se pata chalta hai ki Upar ki aayat me jihad par aamadah sirf apne bachav (defence) ke liye aur zulm aur fasad ka darwaza band karne ke liye diya gaya tha Isliye Is aayat par esa ilzam lagana ki Islam har waqt aur har situation mein JIHAD ka huqm deta hai to ye bilkul galat Ilzam hai, balki upar ki vajaht Ese logon ke munh par tamache ke barbar hai jo Samaaj mein galatfehmi paida karte hai.

💌 Third Aayat :-

*☜ فَاِذَا انۡسَلَخَ الۡاَشۡہُرُ الۡحُرُمُ فَاقۡتُلُوا الۡمُشۡرِکِیۡنَ حَیۡثُ وَجَدۡتُّمُوۡہُمۡ وَ خُذُوۡہُمۡ وَ احۡصُرُوۡہُمۡ وَ اقۡعُدُوۡا لَہُمۡ کُلَّ مَرۡصَدٍ ۚ فَاِنۡ تَابُوۡا وَ اَقَامُوا الصَّلٰوۃَ وَ اٰتَوُا الزَّکٰوۃَ فَخَلُّوۡا سَبِیۡلَہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ غَفُوۡرٌ رَّحِیۡمٌ۔

[Surah Taubah : Aayat - 5]


💫 Tarjuma:- Jab Aman ka mahina khatm ho jaye tab tum un Gair-muslimon ko Jahan kahin bhi dekho vahan Qatl karo, Unhe pakdo, ghero aur ghat laga kar unpar najar rakho, han agar vo tauba karle, ya namaz, zakat ada kare to unka rasta chhod do, beshak Allah ta'ala maaf karne wala meharban hai.

🔴 Vajahat :- Ye aayat bhi sabhi Gair-muslimon ke liye nahi balki Un khas qism ke Gair-Muslimon ke liye thi jo baar-baar musalmano ko jahan dekhte the vahan Qatl kar dete the, unke bachcho ko qaid karke dusre dushmano ke haath bech dete the, aur saath-saath musalmano ke rishtedaron ko bhi pareshan karte aur musalmano se milne se rokte the.
To upar ki aayat mein jo Gair-muslim esa bartav karte the unko Zulm se rokne aur apne bachav (defence) ke liye unke saath bhi esa hi bartav karne ka huqm diya gaya, yahi vajah hai ki aage dusri aayat me kaha hai ki...
بَدَ

اَلَا تُقَاتِلُوۡنَ قَوۡمًا نَّکَثُوۡۤا اَیۡمَانَہُمۡ وَ ہَمُّوۡا بِاِخۡرَاجِ الرَّسُوۡلِ وَ ہُمۡ ءُوۡکُمۡ اَوَّلَ مَرَّۃٍ۔

[Surah Tauba : Aayat - 13]


👉 Tarjuma:- Kya tum un logon ke saath jang nahi karoge jinhone Aman ke vaade tod diye aur tumhare Paigambar (Rasool) ko apne vatan se nikalne ka pakka iraada kiya tha, aur jinhone tumhare saath ladai ki pahal ki thi.

🔴 Fayda:- Upar ki aayat ne is baat ko jahir kar diya ki Upar ki aayat me diya gaya huqm sabhi logon ke liye nahi balki sirf Un logon ke liye tha Jo musalmano ke saath zulm karte the Jo upar bataya gaya aur ye bhi jahir ho gaya ki ye kisi bhi musalmano ki taraf se pahel nahi thi balki javabi karyavahi ke liye huqm diya tha.
Pata chala ki sirf jahiri aayat ko lekar logon mein Islam ke bare me Sach chhupa kar kis tarah galatfehmi failayi ja rahi rahi hai, aur in aayton ka background janne ke baad ye baat jahir ho chuki hai ki vo sirf baqwas hi faila rahe hai.


💌 Fourth Aayat :-

☜ قَاتِلُوۡہُمۡ یُعَذِّبۡہُمُ اللّٰہُ بِاَیۡدِیۡکُمۡ وَ یُخۡزِہِمۡ وَ یَنۡصُرۡکُمۡ عَلَیۡہِمۡ وَ یَشۡفِ صُدُوۡرَ قَوۡمٍ مُّؤۡمِنِیۡنَ۔

[Surah Tauba : Aayat : 14]

💫 Tarjuma :- Tum unhe maro, Allah ta'ala unhe tumhare hathon se saza dega, unhe Zaleel karega, Tumhari unke muqable mein madad karega aur Musalmanon ke dilon ko thanda karega.

🔴 Vajahat :- Upar ki aayat ka huqm bhi sabhi Gair-muslimon ke saath is tarike ka suluk karne ke bare mein nahi hai, balki ek khas qism ke Gair-muslim Jinhone pehle Musalmanon se Aman ke vaade kiye aur baad mein mukar gaye, aur Musalmanon ke saath gaddari ki aur Musalmanon ka madadgar qabila "banu khuza'a" tha un par hamla kiya, to unki sajishe aur fitno se bachne ke liye is aayat mein jawabi action ke roop mein unke saath is tarah ka suluk karne ka huqm diya.

🔴 Fayda :- Upar ki aayaton ko padhne se yeh baat Zahir ho gayi ki ye Aayat sabhi ke liye nahi balki us zamane ke khas qism ke Zalim aur Fasadi logon ke liye thi , lekin jin logon ka maqsad hi Islam ko badnam karna ho wo Q un sabhi aayaton ko Zahir kare...?

Balki aage-pichhe ki aayaton ko chhupa kar Islam ko badnam karne ki puri koshish karte hai.

Sach ko dabaya ja sakta hai lekin Dafnaya nahi ja sakta, Ese hi Islam aur Qur'an ko wo chahe jaise bhi badnam kare lekin Sach logon ke samne Zahir hokar hi rehta hai.

💌 Fifth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا قَاتِلُوا الَّذِیۡنَ یَلُوۡنَکُمۡ مِّنَ الۡکُفَّارِ وَلۡیَجِدُوۡا فِیۡکُمۡ غِلۡظَۃً ؕ وَ اعۡلَمُوۡۤا اَنَّ اللّٰہَ مَعَ الۡمُتَّقِیۡنَ۔

💫 Tarjuma :- Aye Imaan walon ! Tumhare Aas-pas jo Gair-muslim hai unse Jang karo aur wo tumhare andar sakhti (mazbooti) mehsus kare , aur Jaan lo ki beshak Allah ta'ala Taqwa walon (darne walo) ke saath hai.

🔴 Vajahat :- Is aayat mein ek baat ye samjhni hai ki Aayat mein saaf alfaz mein ye kaha hai ki

"Tumhare aas-pas ke logon se Jang karo"


Ye baat se hi pata chalta hai ki ye huqm sabhi ke liye nahi, agar sabhi ke liye hota to yun kaha jata ki sabhi se saath Jang karo, pata chala ki upar ki aayat ka huqm ek khas qism me logon ke liye tha.
Aur wo khas qizm ke wo log the Jo baar-baar jhuthe Aman ke vaade karke mauka dekh kar musalmano par hamle karke unhe maar dalte the aur unka maal-saaman loot lete the, yahi vajah hai ki Allah ta'ala ne usi aayat me yeh bhi farmaya ki

"wo tumhare andar sakhti (mazbooti) mehsus kare"


Jisse unhe tumhara darr lagega to wo dusri baar tumhe baar-baar pareshan nahi karenge.

🔴 Fayda :- pata chala ki upar ka huqm bhi apne upar aane wali taklifen aur pareshani se bachne ke liye tha , jise jawabi action bhi keh sakte hai Isliye upar ki aayat ke bare me galat samjh paida karni aur usse nafrat failani Qanooni taur par bilkul Galat hai.

💌 Sixth Aayat :-

☜ اِنَّ اللّٰہَ اشۡتَرٰی مِنَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اَنۡفُسَہُمۡ وَاَمۡوَالَہُمۡ بِاَنَّ لَہُمُ الۡجَنَّۃَ ؕ یُقَاتِلُوۡنَ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ فَیَقۡتُلُوۡنَ وَ یُقۡتَلُوۡنَ۔

[Suarh Tauba : Aayat : 111]


💫 Tarjuma :- Beshak Allah ta'ala ne musalmano ki jaan aur maal ko kharid liye hai Jannat ke badle mein , wo Allah ke raste mein Jang kartey hai, to wo qatl karte bhi hai aur khud qatl bhi hote hai.

🔴 Vajahat :- Insaaf ki nazar me dekha jaye to is aayat mein Allah ta'ala un musalmano ko khush-khabari suna rahe hai jo apne Imaan aur deen ki hifazat ke khatir apni Jaan ki bhi parvah nahi kartey aur Qurbani dene ke liye tayyar ho jate hai to ese logon ke liye Jannat hai.

To upar ki aayat mein esa kya hai jo bhai-chare mein rukawat bane...?

Yeh to esa hi hai jese desh ki sarhad ki suraksha karne wala ek sipahi agar apne desh ki hifazat ke khatir ladta hai, agar wo kamyab hota hai to use sarkari inaam diya jata hai aur promotion milta hai aur agar wo ladayi ke darmiyan Shaheed ho jata hai to use rashtriya shraddhanjali aur uske gharwalo ko sarkari sahayata bhi di jati hai.

🔴 Fayda :- Upar ki aayat ke baad fauran hi Allah ta'ala ka Farman saaf alfazon mein maujood hai ki yeh ek esa waada hai jise Allah ta'ala hi pura Karega.

وَعۡدًا عَلَیۡہِ حَقًّا..........وَ مَنۡ اَوۡفٰی بِعَہۡدِہٖ مِنَ اللّٰہِ-


Isliye Aayat ka galat matlab batakar logon mein galat samajh paida karke Qur'an ke liye nafrat failani bilkul anyay ka kaam hai.

🔴 Seventh Aayat :-

☜ مَّلۡعُوۡنِیۡنَ ۚ ۛ اَیۡنَمَا ثُقِفُوۡۤا اُخِذُوۡا وَقُتِّلُوۡا تَقۡتِیۡلًا۔

[Surah Ahzab : Aayat : 61]

💫 Tarjuma :- Fatkaare hue, Jahan kahin paye jayenge pakad liye jayenge aur Qatl kar diye jayenge.

🔴 Vajahat:- Ye Aayat un munafiq logon ke liye thi jo madina aur uski aas-pas rehte aur jahir mein khud ko musalman batate aur andar se dushman the, wo baar-baar musalmano ko nuksan pohchane ki firak mein rehte, muslim aurton ke sath Chhedti aur madine mein afwaah faila kar logon mein fitne paida kartey the Aur ye baat khud Allah ta'ala ne bhi Qur'an mein saaf alfaz mein farmayi hai , jo upar ki aayat se pehle ki aayat hai

لَئِنۡ لَّمۡ یَنۡتَہِ الۡمُنٰفِقُوۡنَ وَ الَّذِیۡنَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمۡ مَّرَضٌ وَّالۡمُرۡجِفُوۡنَ فِی الۡمَدِیۡنَۃِ لَنُغۡرِیَنَّکَ بِہِمۡ۔

[Surah Ahzab : Aayat : 61]

Tarjuma:- Munafiqon aur jin logon ke dilon mein bimari hai, aur jo log madina mein afwaah failate hai, agar wo nahi sudhre to ham unke khilaf action karne ke liye tumhe (musalmano) ko uthayenge.

🔴 Fayda:- Upar ki aayat mein jinke liye aadesh diya gaya hai unka saaf ullekh hai to un aayat ko chhupakar sirf "Qatl karne ki" Aayat logon ke samne rakhkar nafrat failani kya ye anyay nahi...?

Isliye pura matlab samjhe bina ya uska Shuddhikaran kiye bina sirf samne wale vyakti (person) ke kehne par Islam aur Qur'an ke liye galat samajh aur nafrat dilon mein rakhni sabse badi bevaqufi hai.

💌 Eighth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا النَّبِیُّ جَاہِدِ الۡکُفَّارَ وَالۡمُنٰفِقِیۡنَ وَاغۡلُظۡ عَلَیۡہِمۡ ؕ وَمَاۡوٰىہُمۡ جَہَنَّمُ ؕ وَبِئۡسَ الۡمَصِیۡرُ۔

[Surah Tahrim : Aayat : 9]

💫 Tarjuma :- Aye nabi ! Gair-muslim aur Munafiqon se Jang kijiye, aur unpar sakhti kijiye, unka thikana Jahannam hai , aur wo bahot hi bad-tareen thikana hai.

🔴 Vajahat :- Sabse pehle ye baat samajh leni chahiye ki Gair-muslimon ke teen prakar hai.

Jo Ye Hai Ki

➊ Wo Gair-Muslim jo Muslim deshon mein rehte hai,
➋ Wo Gair-muslim jo Musalmanon ke saath aman ke vaade ke saath rehte hai
➌ Wo Gair-Muslim jo har waqt musalmanon ke sath Jang ke liye taiyar rehte hai aur mauka milte hi hamle karte rehte hai

Pehle do kism ke Gair-Muslimon ko kisi bhi qism ka jaan, maal ka nuksan pahunchana haraam aur sakht gunah ka kaam hai, aur teesre kism ke Gajr-muslimon ke saath apne jaan, maal aur deen aur imaan ki hifazat ke liye defence hamla, jawabi action karne ka huqm hai aur upar ki aayat mein jo huqm diya gaya hai wo teesre qism ke Gair-muslimon ke liye hai , sabhi ke liye nahi.

🔴 Fayda :- Ye huqm sirf Islam mazhab hi nahi balki sabhi mazhabi kitabon mein maujood hai, jise koi bhi nafrat ki nazar se nahi dekhta, pata nahi sirf Islam mazhab mein hi Q logon ko dikhayi deta hai isliye sirf Islam ko nishana bana kar use badnam karne ki puri koshish karni sirf nafrat failane ke liye hi ho sakta hai.

💌 Ninth & Tenth Aayat :-

☜ فَکُلُوۡا مِمَّا غَنِمۡتُمۡ حَلٰلًا طَیِّبًا۔

[Surah Anfal :- Aayat :69]

💫 Tarjuma:- Tum maale ganimat mein se khao jo saaf halal hai.

☜ وَعَدَکُمُ اللّٰہُ مَغَانِمَ کَثِیۡرَۃً تَاۡخُذُوۡنَہَا۔

💫 Tarjuma :- Allah ta'ala ne tum se bahot sare maale ganimat ke vaade kiye hai jise tum hasil karoge.

🔴 Vajahat :- Upar ki aayat Maale ganimat ke bare mein hai, aur ye us maal ko kaha jata hai jo Gair-muslimon se Jang karne ke baad unhe haraane ke baad unke paas se jo maal hasil hota hai use maale ganimat kaha jata hai.
Lekin yahan bhi dhoke se kaam lekar is aayat mein maale ganimat ko "loont-paat" se galat tarjuma karke logon mein ye galat fehmi dali jati hai ki dekho Qur'an mein musalmanon ko loont-paat se maal hasil kar ke khane ka huqm hai.
Jab ki sabse pehle to Maale ganimat ka Tarjuma loont-paat se karna hi galat hai, Qki loont-paat karna Islam mein haraam hai, doosri baat ki yeh sabhi ke liye nahi balki un Gair-muslimon ke bare mein hai jo har waqt musalmanon se Jang ki taiyyari mein rehte the aur hamle karte the to us waqt musalman jo javabi action mein unhe hara kar unse jo maal hasil karte the unhe maale ganimat kaha jata hai aur upar ki aayat mein bhi usi maale ganimat ka ullekh hai.

🔴 Fayda :- Upar Maale ganimat ko hasil karne ka jo kayda hai wo sirf islam mein hi nahi balki Isai mazhabi kitabon mein aur hindu mazhabi kitabon mein bhi hai.

Jo niche hawale ke taur par dekh sakte hai

(Baibal, istishna : 20/12-14),
(Yajurved: 8/44, Samved, Atharvaveda vagair mein bhi hai)


Isliye sirf Islam ko nishana banakar aayaton ka matlab galat karke galat samajh failani sahih nahi.

💌 Eleventh Aayat :-

☜ قَاتِلُوا الَّذِیۡنَ لَا یُؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَلَا بِالۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ وَلَا یُحَرِّمُوۡنَ مَا حَرَّمَ اللّٰہُ وَرَسُوۡلُہٗ وَ لَا یَدِیۡنُوۡنَ دِیۡنَ الۡحَقِّ مِنَ الَّذِیۡنَ اُوۡتُوا الۡکِتٰبَ حَتّٰی یُعۡطُوا الۡجِزۡیَۃَ عَنۡ ‌یَّدٍ وَّہُمۡ صٰغِرُوۡنَ۔

💫 Tarjuma :- Wo kitaab wale jo Allah aur Aakhirat par imaan nahi rakhte, Allah aur uske Rasool ne jin chizon ko haraam kaha hai use haraam nahi samajhte, aur Deen-e-haq ko qabul nahi karte , unke saath Jang karo , yahan tak ki wo tumhare haath ke niche aa jaye aur janta hone ki Haisiyat se Tax dena qabul kare.

🔴 Vajahat :- Upar ki aayat mein kuchh log Qur'an ki aayat (sagirun) ka tarjuma Zaleel se karte hai aur is tarah nafrat failate hai ki dekho Islam zaleel karke Tax vasool karne ki taleem deta hai.
Jab ki (sagirun) ka matlab "fateh logon ki janta ban kar qabul karna" hota hai, ki wo jab apne mazhab par reh kar Muslim huqumat ki janta ban kar rehte hai to unki Jaan aur Maal ki hifazat un Muslim huqumat ki zimmedari mein aa jati hai jiske badle mein unke paas se Tax vasool kiya jata hai.

🔴 Fayda:- Kuchh log samjhte hai ki wo Tax Gair-muslim hone ke nate liya jata hai, jab ki ye baat bilkul galat hai, agar esa hi hota to bachche aur Auraton ka bhi Tax liya jata jab ki shariyat me sirf mardo ke liye hi Tax ka huqm hai isliye Aayaton ke matlab ke saath chhed-chhad karke nafrat failakar Anyay ka kaam hai.

💌 Twelveth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِنَّمَا الۡمُشۡرِکُوۡنَ نَجَسٌ فَلَا یَقۡرَبُوا الۡمَسۡجِدَ الۡحَرَامَ بَعۡدَ عَامِہِمۡ ہٰذَا۔

💫 Tarjuma :- Aye Imaan walon! Jo Allah ke saath (ibadat) mein dusro ko shareek kartey hai wo (aqide ke taur par) napak hai, wo haram (Makka) ke najdik bhi na aane paye.

🔴 Vajahat:- Upar ki aayat mein Gair-muslimon ko jo napak kaha gaya hai usse wo napaki Murad nahi jise hamari bhasha mein gandagi kaha jata hai Balki aayat mein aqide ke taur par napak hona Murad hai. Jiska matlab ye hai ki wo esi khushushiyat (विशिष्टताएं) jo sirf Allah ta'ala ke saath khas hai usme dusre logon ko shareek karte hai, to unke liye is aqide ko napak kaha hai.

Yahi vajah hai ki RasoolAllah ﷺ Gair-muslimon ki mehman nawazi bhi karte the, apne ghar khana bhi khilate the, agar wo napak hote to Rasoollallah ﷺ unke saath is tarah ka bartaw na karte.

🔴 Fayda :- Aayat mein Allah ke sath shirk karne walo se Murad sirf murti puja karne wale nahi , balki wo sabhi log jo Allah aur uski khas khushushiyat (विशिष्टताएं) mein dusro ko sharik karte hai isliye Aayat ka pura matlab samjhe aur jane bagair sirf Afwaaho par yaqin karke dilon mein nafrat rakhni nahi chahiye.

💌 Thirteenth Aayat :-

☜ وَاِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِی الۡاَرۡضِ فَلَیۡسَ عَلَیۡکُمۡ جُنَاحٌ اَنۡ تَقۡصُرُوۡا مِنَ الصَّلٰوۃِ ٭ۖ اِنۡ خِفۡتُمۡ اَنۡ یَّفۡتِنَکُمُ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ؕ اِنَّ الۡکٰفِرِیۡنَ کَانُوۡا لَکُمۡ عَدُوًّا مُّبِیۡنًا۔

💫 Tarjuma :- Jab tum zamin par safar karo tab namaz mukhtasar (kasar) karne mein koi harj nahin agar tumhe Darr ho ki Gair-muslim tumhe satayenge, beshak wo tumhare dushman hai.

🔴 Vajahat :- Is aayat mein muslamano ko jo huqm diya hai ki wo tumhare khule dushman hai usse Murad sabhi Gair-muslim nahi balki wo log Murad hai jo us zamane me nabi ﷺ , aur sahaba (r.a) ke sath har waqt Jang ke liye taiyaar rehte the, aur achanak hamle ki talash me rehte the Isliye kaha gaya ki wo tumhare upar achanak hamla kar de, aur tum namaz me shamil ho, isliye namaz ko mukhtasar padho jisse unhe achanak hamle ka mauka na mile Isliye pura matlab samjhe bagair iske prati nafrat nahi failani chahiye.

🔴 Fayda :- Namaz mein kasar yani ki mukhtasar karne ke masaeel aur uska tarika vagairah masaeel ki kitabon se janne ki darkhast.

💌 Fourteenth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡیَہُوۡدَ وَالنَّصٰرٰۤی اَوۡلِیَآءَ ۘ ؔ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ وَمَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّہٗ مِنۡہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الظّٰلِمِیۡنَ۔

[Surah Maeedah : Aayat : 51]

💫 Tarjuma :- Aye Musalmano ! Tum yahudi aur Isai ko Tumhare dost na banao , wo aapas mein ek dusre ke dost hai, tum mein se jo koi unhe dost banaega wo un mein se hoga. Beshak Allah ta'ala Zalimon ko hidayat nahi dete hai.

🔴 Vajahat :- Upar ki aayat mein jin logon ke sath dosti ki manayi farmayi hai uski Haqiqat ye thi ki RasoolAllah ﷺ ke zamane mein madina ke Aas-paas unki basti thi, sabse pehle Musalmanon ne Aman ke khatir unke sath dosti ke liye haath badhaya aur Aman ke wade bhi hue , lekin ye log chhup kar sajisho se musalmano ki barbadi ke mansube karte the, fir bhi musalman dosti ka hath badhate rahe Yahan tak ki unhone had paar karke Makka walon ke sath mil kar musalmano ko bilkul jad se khatm karne ki koshish ki thi , aur musalmano ko charo or se gher liya , jise itihas mein "Jang-e-Khandak" ke naam se jana jata hai, lekin is Jang mein bhi muslaman unki sajisho se Allah ta'ala ki madad se bach gaye.
Aakhir mein Allah ta'ala ne musalmano ko unki Haqiqat batane ke liye upar ki aayat mein bayan kiya ki wo tumhare dushman hi hai isliye baar-baar dosti ka hath na badhao.

🔴 Fayda :- Itihas is baat ki bhi gawahi deta hai ki unhone hamesha is tarah sajishe karke bahot se logon par zulm kiya hai, is desh ka itihas bhi yahi baat ka saboot deta hai.
Haqiqat janne ke baad Aayat mein koi esi baat nahi hai ki un par ungli uthai jaye.

💌 Fifteenth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا دِیۡنَکُمۡ ہُزُوًا وَّ لَعِبًا مِّنَ الَّذِیۡنَ اُوۡتُوا الۡکِتٰبَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ وَ الۡکُفَّارَ اَوۡلِیَآءَ۔

[Suarh Maeedah : aayat : 57]

💫 Tarjuma :- Aye Musalmano ! Jin logon ko tum se pehle aasmani kitaab mil chuki hai , unhone tumhare deen ko hansi khel bana rakha hai to unko aur Gair-muslimon ko dost na banao.

🔴 Vajahat :- Upar ki aayat mein saaf alfaz mein kaha hai ki kis qism ke Gair-Muslimon ko apne dost banane ki manayi farmayi hai ki jo deen ko mazak banate ho , sabhi Gair-muslim Murad nahi hai Aur upar ki aayat mein dost na banane ka matlab apne aur deen ke muaamle mein khufiya na banane ka Murad hai, lekin bhai-chara to sabhi ke sath rakhne ka huqm hai , iske liye koi manayi nahi hai.

🔴 Fayda:- Hamare mulk ka itihas bhi gawah hai ki muslim badshahon ne sadiyo huqumat ki lekin koi bhi esa ek waqia nahi hai ki jisme koi bhed-bhaav kiya ho...agar esa hota to aaj naqsha hi badla hua nazar aata Isliye galat tarike se matlab badal kar logon me galat fehmi failani nahi chahiye.

💌 Sixteenth Aayat :-

☜ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الظّٰلِمُوۡنَ۔

💫 Tarjuma:- Aye Muslamano ! Apne baap aur bhaiyon ko apna dost na banao agar wo imaan ke muqable mein qufr ko pasand kare, aur tum mein se jo koi unse dosti karega to wo bhi zalim kaha jayega.

🔴 Vajahat:- Is aayat ka sahi aur saaf matlab ye hai ki rishtedari ke muqable mein deen ka mua'amla zyada aham hai, balki ye baat koi bhi inkar nahi kar sakta ki jab ek taraf sach ho aur ek taraf rishtedari ho to har insaan ek aawaz mein yahi kahega ki sach ko ehmiyat deni chahiye.

Upar ki aayat mein bhi yeh baat kahi gayi hai ki apne Imaan aur deen ki ehmiyat tumhare Gair-muslim baap ya bhaiyon ki vajah se kam na ho jaye, jiska matlab ye nahi hota ki unse nafrat karo aur unse achchha bartaw na karo.

🔴 Fayda :- Dosti se Murad esi dosti jo soch, amal vagairah ko asar karti ho Isliye puri aayat samjhe bagair logon mein galat samajh paida karne se bachna chahiye.

💌 Seventeenth Aayat :-

☜ وَاللّٰہُ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الۡکٰفِرِیۡنَ۔

[Suarh Taubah : Aayat :37]

🔴 Tarjuma :- Allah ta'ala Qufr karne walon ko sidha (sahih) rasta nahi dikhate.

🔴 Vajahat :- Is aayat ka upyog bhi sajish ke taur par kiya jata hai aur kaha jata hai ki dekho Islam kaisa najriya (vichaar dhara) rakhta hai, jab ki ye to aayat ka ek tukda hai agar puri aayat ka ullekh kiya jaye to khud-ba-khud samajh jaoge ki wo aayat ka ek tukda logon ke samne rakh kar kis tarah gair samaaj aur nafrat faila rahe hain, puri aayat niche di hui hai.

اِنَّمَا النَّسِیۡٓءُ زِیَادَۃٌ فِی الۡکُفۡرِ یُضَلُّ بِہِ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا یُحِلُّوۡنَہٗ عَامًا وَّ یُحَرِّمُوۡنَہٗ عَامًا لِّیُوَاطِئُوۡا عِدَّۃَ مَا حَرَّمَ اللّٰہُ۔

💫 Tarjuma :- Beshak mahino ka badalna qufr mein uchhal hai, usse logon ko gumrah kiya jata hai , wo kisi saal haram mahine ko halal kar dete hai, aur kisi saal ko haram samjhte hai jisme wo mahine jise Allah ta'ala ne haram kahe hai uski ginti puri ho jae.
Ye puri aayat hai , sabse pehle Allah ta'ala ne unka gunah kya hai use bayan kiya, wo log un mahino mein jisme Allah ta'ala ne Jang vagairah se mna farmaya tha to vo mahine aate hi wo log apni manmaani se mahine badal dete the, isliye Allah ta'ala ne farmaya ki unhe Allah ta'ala sidha rasta nahi dikhayenge.

🔴 Fayda:- Ye Aayat bhi sabhi ke liye nahi balki us zamane ke khas logon ke liye thi.

Wo char mahine ye the.

1. Rajab , 2. Zil Qadah (dhul Qadha) , 3. Zil hijjah (dhul hijjah) , 4. Muharram. (Is char mahine ke liye pehle ke zamane mein huqm tha jo ab nahi raha)

Isliye sirf ek hi Tukda pesh karke dusri puri aayat chhupa kar esa kaam karna ye batata hai ki unka maqsad sirf logon mein galat samajh paida karni hai.

💌 Eighteenth Aayat :-

☜ فَاَغۡرَیۡنَا بَیۡنَہُمُ الۡعَدَاوَۃَ وَ الۡبَغۡضَآءَ اِلٰی یَوۡمِ الۡقِیٰمَۃِ ؕ وَ سَوۡفَ یُنَبِّئُہُمُ اللّٰہُ بِمَا کَانُوۡا یَصۡنَعُوۡنَ۔

[Surah Maeedah : Aayat : 14]

💫 Tarjuma :- Fir hamne (Allah ne) unke darmiyan Qayamat tak ke liye dushmani aur nafrat daal di hai , aur Allah jald hi unhe batayega jo kuchh wo karte rahe hai.

🔴 Vajahat :- Ye bhi aayat ka ek tukda hai , puri aayat hai ki...

وَ مِنَ الَّذِیۡنَ قَالُوۡۤا اِنَّا نَصٰرٰۤی اَخَذۡنَا مِیۡثَاقَہُمۡ فَنَسُوۡا حَظًّا مِّمَّا ذُکِّرُوۡا بِہٖ۔

💫 Tarjuma:- Aur jo log kehte the ki ham Isai hai, unse hamen ahad (wada) liya tha. Aur hamne jo kuchh unhe nasihat ki gayi thi wo bhula baithe. (Fir upar ki aayat...)

Upar ki puri aayat ka zikr karne ke baad pata chalta hai ki ye Aayat sabhi Gair-muslimon ke liye nahi hai , balki khas Isaiyon ke liye hai ki jo baibal (Injeel) par imaan lane ke baad bhi aakhri Rasool Muhammad ﷺ par imaan nahi laye. Balki yahi baat ki taraf baibal mein iske bare me ishara kiya gaya tha.

🔴 Fayda:- Upar ki aayat ke mutabik Aaj unke darmiyan aapas mein esa mat-bhed dekhne milta hai ki esa bhedbhaw dusre kisi dharm mein dekhne nahi milta Isliye kisi bhi aayat ka background jane bagair uske liye nafrat failani durust nahi hai.


🔥 AAYAT NUMBER 19 TO 24 :-

Ab baki jo 6 aayate hai un mein nafarmani karne walon ko saza dene ka ullekh kiya hai , jisse kuchh log Islam aur Qur'an ke saath zulm ka aarop laga kar use failane ka kaam karte hai. Sabse pehle 6 aayato ka tarjuma likha jata hai , baad mein sabhi ka ek saath jawab diya jaega.

☜ اِنَّ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا بِاٰیٰتِنَا سَوۡفَ نُصۡلِیۡہِمۡ نَارًا ؕ کُلَّمَا نَضِجَتۡ جُلُوۡدُہُمۡ بَدَّلۡنٰہُمۡ جُلُوۡدًا غَیۡرَہَا لِیَذُوۡقُوا الۡعَذَابَ ؕ اِنَّ اللّٰہَ کَانَ عَزِیۡزًا حَکِیۡمًا۔

[Surah neesa : Aayat : 56]

💫 Tarjuma :- beshak jin logon ne hamare huqmo ka inkar kiya, ham unhe dozakh mein dakhil karenge, jab-jab unki khale aag se jal jaegi to ham unhe dusri nayi khalo se badal denge, taki wo azab chakhte rahe , beshak Allah ta'ala taqat wala aur hiqmat wala hai.

☜ وَعَدَ اللّٰہُ الۡمُنٰفِقِیۡنَ وَ الۡمُنٰفِقٰتِ وَ الۡکُفَّارَ نَارَ جَہَنَّمَ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَا ؕ ہِیَ حَسۡبُہُمۡ ۚ وَ لَعَنَہُمُ اللّٰہُ ۚ وَ لَہُمۡ عَذَابٌ مُّقِیۡمٌ۔

[Surah Tauba : Aayat : 68]

💫 Tarjuma :- Munafiq mardo aur aurton aur kafiro se Allah ka wada hai ki wo hamesha jahannam mein rahenge , yahi unka thikana hai, unpar Allah ki laanat hai, unke liye hamesha rehne wala azab hai.

☜ اِنَّکُمۡ وَ مَا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ حَصَبُ جَہَنَّمَ ؕ اَنۡتُمۡ لَہَا وٰرِدُوۡنَ۔

[Surah Ambiya : Aayat : 98]

💫 Tarjuma :- beshak tum aur Allah ke siwa jinhe tum pujte ho , wo dozakh ka indhan hai, aur tum us mein utroge.

☜ فَلَنُذِیۡقَنَّ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا عَذَابًا شَدِیۡدًا ۙ وَّ لَنَجۡزِیَنَّہُمۡ اَسۡوَاَ الَّذِیۡ کَانُوۡا یَعۡمَلُوۡنَ۔

[Surah Ha-Meem Sajdah : Aayat :27]

💫 Tarjuma :- Ham zarur kufr karne walon ko sakht azab chakhaenge. Aur unko unke bure kaamo ka badla denge.

☜ ذٰلِکَ جَزَآءُ اَعۡدَآءِ اللّٰہِ النَّارُ ۚ لَہُمۡ فِیۡہَا دَارُ الۡخُلۡدِ ؕ جَزَآءًۢ بِمَا کَانُوۡا بِاٰیٰتِنَا یَجۡحَدُوۡنَ۔

[Surah Ha-Meem Sajdah : Aayat :27]

💫 Tarjuma :- Ye badla hai Allah ta'ala ke dushmano ka jo hamesha ki dozakh unka ghar hai, isliye ke wo hamare huqmo ka inkar karte the.

☜ وَ مَنۡ اَظۡلَمُ مِمَّنۡ ذُکِّرَ بِاٰیٰتِ رَبِّہٖ ثُمَّ اَعۡرَضَ عَنۡہَا ؕ اِنَّا مِنَ الۡمُجۡرِمِیۡنَ مُنۡتَقِمُوۡنَ

[Surah Alif Laam Meem Sajdah : Aayat : 27]

💫 Tarjuma :- Us insan se badhkar zalim kon hoga jiske samne hamare huqmo ka bayan ho aur wo usse munh fer le, beshak ham ese mujrimo se badla lenge.

🔴 Vajahat :- Upar ki 6 aayaton mein Na-farman logon ke liye saza ka huqm hai, jise kuchh logon ne anyay aur zulm kaha hai , jab ki duniya ka koi bhi mulk balki koi bhi mazhab esa nahi jinhone apne desh ya dharm ke khilaf kaam karne wale mujrimo aur Kanun ka palan na karne walon ke liye saza fix na ki ho, to fir is bare mein sirf Islam hi ko Q nishana banaya jata hai...?

Zahir baat hai ki jab ek Aashiq apni mashuqa ke bare mein yeh baat bardasht nahi kar sakta ki uski mashuqa ka dusre kisi shaksh ke saath sambandh ho to fir Allah jo puri duniya balki Jahan ka banane wala hai to wo ye baat kaise bardasht kar sakta hai ki usne paida kiya hua banda use chhod kar ya uske saath dusre kisi ko sharik karke uski prathna aur ibaadat kare, aur uski zamin par reh kar uski nafarmani kare , Zahir hai ki wo esa shaksh zarur saza ka haqdar hoga aur unki kya saza hai usi ka huqm in aayato me kiya gaya hai.

🔴 Fayda:- Ye wo 24 aayate hai jisko lekar logon mein galat samajh paida ki ja rahi hai aur Islam aur Qur'an se nafrat faialee ja rahi hai.
Upar ki sabhi aayaton mein unka background , wo aayatein kin logo ke bare mein hai , kin logon ke bare me thi, tafseel ke saath padhne se khud-ba-khud pata chalta hai ki esa karne walo ka maqsad sirf dushmani failane ke alawa or kuchh nahi.
Insaaf ke najriye se padhne wale bahot se hindu dharm guru ese hai jinhone Qur'an ki na sirf tarif ki balki sabhi ke liye Qur'an ko rehnuma bhi bataya hai. Jinke Qur'an ke bare me mantvy niche diye gaye hai.

🔥 HINDU DHARM GURUO KA QUR'AN KE BARE MEIN MANTVY

Baba Bhupendra Sinh basu kehte hai ki Teraaso (1300) saal ke baad bhi Qur'an ki taleem ka asar ye hai ki bilkul nichle darje ka Insaan bhi musalman banne ke baad bade Khandan ke musalmano ke saath Samanta ka dawa kar sakta hai.

Babu Bipin Chandra paal kehte hai ki Qur'an ki taleem me dusre dharm jaisa unch-nich, jaat-paat ka fark maujood nahi , na kisi ko sirf Khandani aur na maal ke liye bada samjha jata hai.

Misses Sarojini Naidu kehti hai ki Qur'an Gair-muslimon ke liye narmi aur bhai-chara sikhata hai, duniya aaj bhi uske huqmo ke palan se khush reh sakti hai.

Rashtriya pita Mahatma Gandhi ji kehte hai ki mujhe Qur'an ko aasmani kitaab hone mein thoda bhi shak nahi.

[Hawala : teen Roz ki dawat : safa...76]


Iske alawa bhi bahot se hindu Dharmguruo ke mantvy hai , aur bahot se hindu ese bhi hai jinhone hindi ya dusri apni matra bhasha mein Qur'an ka bhashantar karke Qur'an ka prachar bhi kiya hai.
Pata chala ki jo sachche dil se pura Qur'an padhe chahe wo kisi bhi dharm ka ho , Qur'an ki taleem se mutassir hue bina nahi reh sakta.
Qki Qur'an mein esi koi taleem hi nahi hai ki jo manavta ke khilaf ho, aur jiske dilon mein Qur'an ke liye nagative vichar hai , unhe dhokhe aur andhere mein rakh kar Qur'an ki aayat ke alag-alag tukde aage-pichhe ki Vajahat kie bagair unke samne rakh kar unke dilon mein galat samajh paida ki gayi hai, Varna mahan hindu Dharmguruo ki Qur'an ke bare mein upar batayi gayi vichardhara na ho.

Aakhir mein dua karta hu ki Allah ta'ala sabhi ko Qur'an sahih samjhne ki taufiq ata farmaye, aur unme bataye gaye huqm ka sabhi ko amal karne ki himmat aur taufiq ata farmaye... (Aameen)

JAZAKALLAHU KHAIRAN 💐

__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments