RIYAKARI

 🔥 Aksar logon ko dekha gya hai wo apne Aap ko bada sabit karne k liye apna Naam banane k liye bahot se aise Comments ya Post karte hai jisse sirf unka Maqsad logon ki Dunyavi khushnudi (satisfaction) hasil karna hota hai, Riyakari (dikhawa) ise hi kaha jata hai aur Phir kuch log Ilm dusre logon par faqar ke liye hasil karte hai aisa Karne se parhaiz kiya jaye qki 👇 


RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: Jis shaksh ne us Ilm ko Jis k sath Allah ki raza Hasil ki jati hai Sirf is Garz se hasil kiya k wo us k zariye Duniyavi maqsad hasil kare, To aisa shaksh Qayamat k din Jannat ki khushbon bhi na pa sakega. 


(Abu Dawood :: 3664) 


🔴 RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: Ilm is liye Hasil na karo k Ulama k samne Faqr karo ya Jahilon se behas aur Takrar karo aur na hi Ilm se (Duniyavi izzat ki) Majalis (conferences) talash karo jo Aisa karega to uske liye Jahannam hai Jahannam. 


(Sunan Ibn Majah :: Hadith 254) 


👉 Yahi wajah hai k Qayamat k Din sab se pehle Aalim e deen ko Azab se do char hona padega Jise uske ilm ne Nafa nahi diya hoga, Uski missal aisi hai k Usne Heera (Yani ilm) Hasil kiya aur Kude k dher par ek Aam patthar samajh kar phenk diya..🔥


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments