❄️ SARDI MEIN WUZU KARNE KI FAZEELAT ❄

 ❄️ SARDI MEIN WUZU KARNE KI FAZEELAT ❄


👉Syedna Abu Hurairah Raziallahu anhu se riwayat hai ke nabi kareem ﷺ ne Farmaya :


👉 Kya mai tumhe aise aamaal na batau jin ke zariye Allah gunah muaf kar deta hai aur darjaat buland kar deta hai..?


👉 Sahaba ne arz kiya : aye Allah ke rasool ﷺ Zaroor btaiye

Farmaya : "sakhti aur takleef mein achi tarah wuzu karna, masaajid ki taraf zyada chalna, aur ek namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karna yahi rabaat (apne aap ko Allah ki ita'at par kaarband rakhna) hai.."


📚 |[Sahih Muslim Raqm, :(251) ]|


👉Imam nawawi Rahimahullah Farmate Hain :


"Takleef mein achi tarah wuzu karne se muraad sakht sardi aur jismaani takleef wagairah ke hote hue wuzu karna hai"


📚 |[ Sharah Sahih muslim : (141/3) ]|


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI



Post a Comment

0 Comments