Zabardasti Nikah Jayz Nahi

 ❌ Zabardasti Nikah Jayz Nahi....❌ 




🔴 Nikah Ke Waqt Ladki Se ijazaat Lena Zaruri Hai..

Kunwari Ladki Ka Nikah Usse Puche Bagair Uska Baap Ne Kar diya Toh Kya Huqm Hai ? 


"Ek Kunwari Ladki Rasool Allah (ﷺ) Ke Pas Ayi Aur Usne Arz Kiya Ke Us Ke Walid Ne Uska Nikah Uski Marzi Ke Bagair Kar diya Hai...

Nabi e Kareem (ﷺ) ne Use Ikhtiyar Diya,,..

{Ke Chahey Toh Nikah Baki Rakhe Aur Chahey Toh Fusq Karle} 


[Sunan Abu Dawood, Hadees -2096] 


🔴 Aurat se nikah ki ijazat lene ka huqm 👇 


👉"Abu Hurairah Radiallahu anhu se Rivayat hai ki Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya 

”Shadi shuda (Yani talaq shuda ya bewa) aurat se mashwara ke baghair iska nikah nahi kiya jayega aur kunwari aurat ka nikah iski ijazat ke baghair nahi kiya jayega”.

Sahaba ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ) iski ijazat kaisi hogi ? 


Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

”Woh khamosh ho jaye “. 


[ Sahih Bukhari, Hadees - 5136 ] 


🔴 Wali ko Aurat ki marzi ke khilaf nikah karne ke liye zabardasti nahi karni chahiye 👇 


👉 "Abu Hurairah RadiAllahu Anhu kehte hai Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya "Kunwari aurat apne nikah k liye puchi jayegi agar (jawab mein) khamoshi rahe to yahi uski ijazat hai agar inkaar karde to us par zabardasti na ki jaye". 


[Sunan Abu Dawood , Hadees - 2093 ] 


🔴 Aurat chahe to apna zabardasti kiya gaya nikah todwa sakti hai 👇 


👉 Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai k ek kunwari ladki Rasool’Allah (ﷺ) ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya k uske walid ne uska nikah kar diya hai halankey wo use napasand karti hai..

Nabi E Akram (ﷺ) ne use ikhtiyaar de diya (yaani chahey to nikah baaqi rakkho chahey to khatam kar do). 


[Sunan Abu Dawood, Hadees - 2096] 


👉 Khansa Bint khazam ul ansariya Radiallahu anha bayan krti hain ke :

” Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib 

(Talaq Yafta ya bewa) thi, to is ne use napasand kiya aur Rasool’Allah (ﷺ) ke paas aayi to Rasool’Allah (ﷺ) ne is ke nikah ko radd kar diya “ 


[Sahih Bukhari, Hadees - 5138]



__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments