31st NIGHT YA NEW YEAR NIGHT CELEBRATE KARNA KAISA HAI


31st NIGHT YA NEW YEAR NIGHT CELEBRATE KARNA KAISA HAI


Ye Night Celebrate Karna Badkar Aur Ayyash Logo ka kam Hai,
Lihaza Isse Mukammal taur par bachna aur door rehna deeni aur islami fariza hai
Aur saath hi aaj ki raat apne jawan ladke aur ladkiyon aur apne bhai behno ko ghar se bahar nikalne se roko

Aaj ki raat ayyashi aur zina hota hai aur rape bhi hote haj aur sharab pee jati hai
Kahi wo unme mubtala na ho jye.

Quran Me Allah Ne Farmaya Hai
"Aur Khuli Aur Poshida Behayai Mat Karo"

Aur Faramaya
"Zina Ke Kareeb Bhi Mat Jao"

Aur Saaf Lafzo Me Farmaya
"Jo Log Chahte Hai Ki Imaan Lane Walo Ke Giroh Me Behayai Failey, Wo Duniya Aur Akhirat Me Dardnak Saza Ke Haqdar Hai, Allah Janta Hai Aur Tum Nahi Jante"

[Quran Surah Noor - Ayat #19]

Salim Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki ​Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam​ Ne Ek Shaksh Ko Suna Wo Apney Bhai Ko Haya Ki Naseehat Kar Raha Tha To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Haya Bhi Imaan Ka Hissa Hai

[Sahih Bukhari #24]

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Imaan Ki 60 Se Kuch Upar Shaakhain Hain Aur Haya ( Sharam) Bhi Imaan Ki Ek Shaakh Hai

[Sahih Bukhari #9]

Rasoollallah (ﷺ) Ne Farmaya​ :
"Us Zaat Ki Qasam Jiske Qudrat Mein Meri Jaan Hai

Meri Ummat Ke Kuch Log Sakht Tareen Takabbur, Sarkashi Aur Khel Kood Me Raat Guzar Denge,
Jab Subha Hogi To Unki Shaklein Bandaron Aur Khanzeron Ki Shakl Mein Badal Chuki Hogi Kyunki Wo Haram Cheezon Aur Gaane Waliyon Ko Halal Samjhenge, Sharab Piyenge, Spld Khayenge Aur Resham Pahnenege".

[Musnad Ahmed #7897]

Islye Musalmano Sudhar Jao Aur Apne Imaan Ki Hifazat Karo.

KYA KHUSH HONA GUNAAH HAI ?

Is baat ka jawaab seedha seedha Haan ya Na mein nahin dia ja sakta.

Is maslay ko samajhne k liye humein do tarah ki khushi ki taraf tawajjo karni hogi.

1) Halaal Khushi.
2) Haraam Khushi.

👉 Halaal Khushiyan wo hein jin mein ALLAH ki raza shaamil ho, aur wo Nabi Kareem (ﷺ) aur Sahaba (RadiAllahu Anhum) ki Sunnat se saabit hon.

👉 Haraam Khusiyan wo Jin mai ALLAH ki raza shamil na ho, aur na hi wo Nabi kareem (ﷺ) aur Sahaba (RadiAllahu Anhum) ki sunnat se saabit ho.

Is Baat se pta chalta hai ke "NEW YEAR NIGHT" ki Islam mai koi haqiqat nahi aur ye Raat Haraam Kam karne ki taraf uksati hai to is raat mai Khushi manane walon ne to gunaah kia, wo to gunaah-gaar huye, lekin saath mein jis jis ne dekha, aur usey rokney k liye kuch na kia, ya aisi mehfil se uth kar nahin gaya, ya aisi mehfil se dil mein bhi nafrat aur gussa na kia, to wo bhi gunahgar hua.

Dil se kisi cheez ko bura samjhne ko Deen ne Imaan ka sabse kamzor darja qarar dia hai, aur jo dil se bhi bura na samjhe usey chalti phirti Laash se tabeer kia gaya hai.

"Aur jo shakhs apne Rabb ke samne khara honay se dar gaya uske liye 2 jannatein hain"
[Surah Ar Rahman - Ayat #46]

🔴 Abu saeed khudri razi allahu anhu ne bayan kiya ki Nabi kareem (ﷺ) ne farmaya :
Tum Zaroor Apne Se Pehli Ummaton Ki Aadaton Aur Taur-o-Tariqon Me Ek Ek Baalisht Aur Ek Ek Haath Pairwi Karoge.
Yahaan tak Ke Agar Woh Kisi Goh (Chipkali Jaisa Ek Qism Ka Jaanwar) Ke Suraakh Me Daakhil Huye Honge To Tum Bhi Us Me Daakhil Hoge.
Sahaba (R.A) Ne Poocha : Yaa Rasoolallah (ﷺ) Pehli Ummaton Se Aap Ki Muraad Yahoodi Aur Isai Hain ? Aap ﷺ Ne Farmaaya: Phir Aur Kaun.

[Sahih Bukhari #7320]

👉 Is hadees mubaraka ko padh kar hame apna jayza lena hai ke ham kin kin mauqo par kuffar o mushrikeen ke naqsh e qadam par chal rahe hain.. Chahe wo 31st Night celebrated karna ho, Naye saal ki mubarakbaad dena ya jashan manana ho, saalgirah manana, mother's day, Father's day, valentine day manana ya shadi biyah aur deegar taqribaat mein kaafiron ki mushabihat karna, ya libas wagairh mein unki mushabihat ikhtiyar karna ho.

Islam Bahot Simple Hai Qki Ismein Ya To Haraam Hai Ya Halaal Beech Mein Munafiqat K Siwa Kuch Nahi Aata.

Al Quran -
Aye Imaan Walon Islam Mein Sarey Ke Sarey (Achchi Tarh Se) Dakhil Ho Jao Aur Shaitan Ke Qadmo Ki Pairwi Na Karo Kyunki Wo Tumhara Khula Dushman Hai
Aur Phir Agar Tum Khili Khuli Nishaniyan ( Ahkam-E-Roshan) Aaney Ke Baad Bhi Fisal Gaye To Jaan Lo Ki Allah Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.

[Surah Baqarah #2 - Ayat #208-209​]

👉 Jo bhi musalmaan un kaafiron ke naqsh e qadam par chal rahe hain unke liye Aap (ﷺ) ka ye farman hi kaafi hai

«مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ»

Jisne kisi qaum ki mushabihat (copy) ikhtiyar ki to wo unhi mein se hai

[Sunan Abu Dawood #4031]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments