🥀💫 Hazrat Abuzar Radi Allahu Anhu se riwayat hai RasoolAllah (ﷺ) se Arz kiya gaya Aap kya farmate hai us shaks ke bare me jo Acche Aa'mal karta hai aur log us ki Tareef karte hai Aap (ﷺ) ne Farmaya ye Momin ki Fori Khushkhabri hai (Yani Aakhirat mein jo sawab aur Ajr hai wo to alag hai ye Dunya hi me Khushi hai uske liye ke log uski Tareef karte hai).
[Sahih Muslim :: Hadith No. 6721]
👉 Ye baat alag hai ke Har Nek Aml sirf Allah ke liye ho kisi ko impress krne....Riyakari (Dikhawa) na ho Warna sara kiya dhara mitti me Mil jayega Aur Takabbru mein na pad jana, Allah Tala takabbur karne walon aur shaikhi khoron (itrane wale) ko pasand nahi farmata.
[Qur'an - Surah Nissa (4) , Ayat : 36]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments