DUA FOR PROTECTION FROM JINN AND DEVILS


 DUA FOR PROTECTION FROM JINN AND DEVILS



RASOOL-ALLAH (ﷺ) NE FARAMAYA - JAB AADMI APNE GHAR SE NIKLE TO KAHE
READ THIS DUA :

بسم الله توكلت على الله لا حول ولا قوة إلا بالله


ALLAH KE NAAM SE NIKAL RAHA HU PURA PURA TAWAKKUL ALLAH PAR HI HAI
TAMAM TAQAT WA KUWAT ALLAH HI KI TARAF SE HAI

TO AAPNE FARAMAYA US WAQT KAHA JAATA HAI ( YAANI FARISHTE KAHTE HAI) -

AB TUJHE HIDAYAT DE DI GAYI HAI, TERI TARAF SE KIFAYAT KAR DI GAYI, AUR TUJHE BACHA LIYA GAYA, YE (SUN KAR) SHAITAN USSE JUDA HO JATA HAI,
TOH USSE DUSRA SHAITAN KEHTA HAI -

TERE HATH SE AADMI KAISE NIKAL GAYA KE USSE HIDAYAT DE DI GAYI, USKI JANIB SE KIFAYAT KAR DI GAYI AUR WO (TERI GIRAFT AUR JUNGLE SE) BACHA LIYA GAYA.

[SUNAN ABU DAWOOD #5095]

Rasool-Allah (ﷺ) Ne Farmaya - Aisa Koi Shaks Nahi Jo Har Roz Subah Wa Sham Ko

DUA - بسم الله الذي لا يضر مع اسمه شيء في الأرض ولا في السماء وهو السميع العليم

TRANSLATION - "MAIN US ALLAH KE NAAM KE ZARIYE SE PANAH MAANGTA HUN JIS KE NAAM KI BARKAT SE ZAMEEN WA AASMAN KI KOI CHEEZ NUKSAN NAHI PAHUNCHA SAKTI, AUR WO SUNNE WALA JANNE WALA HAI"

(TEEN BAAR PADHE) Aur Use Koi Cheez Nuksaan Pahucha De.

[TIRMIZI #3388]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments