EK MUSLIM HONE KE LIYE ZARURI BAATEIN
Sabse zaruri baat Kalma hai, matlab dil or zubaan se yeh manna kay Allah kay siwaa koi dusra puja (ibadat) karne ke layak nhi hain or hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke (messenger) Rasool hain.
Is baat ko manna or fir usko follow bhi karna,
Islaam mein basic baat sirf "Ek Allah" kay hone ki hai or yeh yaqeen Rakhna kay Allah akela hai usko naa kisi ne paida kiya aur naa uski koi aulaad hai Uske baad yeh yaqeen karna kay Allah ke Farishtein hote hain, jinko Allah ne alag-alag kaamo mein laga rakha hai, aur yeh yaqeen hona chahiye kay Allah ne ab tak 4 aasmani kitabein duniya mein bheji hain wo sab sahi thi jisme se quran ek hai aur woh aaj bhi maujood hai aur Sahih hai aur Qayamat tak sahi hi rahega kyunki Allah ne uski hifaazat ki zimmedari khud li hai (baki pahle ki kitabo ki zimmedari Allah ne nahi li thi to insaano ne badal diya hai)
Aur Is baat ka yaqeen karna kay ek din humko marna hai aur fir Allah kay samne apni zindagi kaa hisaab dene ke liye khada hona hai, yeh yaqeen karna kay jannat dozakh hoti hai Aur Iske baad insaan ko yeh bhi pata hona chahiye ke na-paak kab ho jate hain aur fir paak kaise hotey hain, kyunki paaki ko aadha Emaan kaha gya hai aur Allah paak rahne waale logon ko pasand karta hai.
Insaan ko haraam aur halaal ki jankari (knowledge) hona chahiye aur haraam se bachna chahye Aur phir namaz padhna, roza rakhna, zakaat dena aur hajj karna.
Yeh bhi muslim ke liye zaruri hai namaz aur roza toh kalme ki tarah sab par farz hai phir zakaat toh yeh unpe farz hai jinke pas zakaat ki rakam yaa sona chandi yaa taamba ho itna jis mein zakaat lazim hoti ho aur agar nahi hai to zakaat maaf ho jayegi aur hajj bhi unke liye farz hai jinke paas itni rakam ho kay woh hajj kar sakein gareeb jo hajj par nahi jaa sakta usko maaf hai, lekin jab bhi future mein uske pass paisa aaye to usko hajj par jana chahiye.
Ek muslim ko khud ko gunaahon se bachana chahiye, hum zindagi mein chalte Phirte bahut se gunaah kar dete hain lekin humko pata nahi hota kyunki wo humari habbit mein aa chuke hain.
Ek muslim ko khud ko gunaahon se bachana chahiye, hum zindagi mein chalte Phirte bahut se gunaah kar dete hain lekin humko pata nahi hota kyunki wo humari habbit mein aa chuke hain.
Jaise hum ghar par hote hain aur kisi ka mobile aata hai to hum keh dete hain, abhi kahin dusri jagah hun, yeh bhi jhoot hai aur gunaah hai.
Isi tarah hum kisi ki peeth ke piche buraayi kar dete hain woh bhi gunaah hai, bhale hi jiss buraayi ke baare mein baat chal rahi ho woh us insaan mein ho lekin phir bhi uske peeth ke piche uski buraayi nahi karna chahiye.
Juan, chori, satta, interest (byaaz), sharaab, rishwat, dhokha, jhagda, zulm, jhoot, burayi, music, adultery, show-off karna, ghamand, kisi dusre se jalna, parai (ghair, unknown) ladke yaa ladki ko dekhna (ladka ladki ko na dekhe aur ladki ladke ko na dekhein) Yeh sab gunaah hain.
Ek muslim ko in sab gunaho se bachna chahiye.
Islaam mein aisa hai kay ache kaam khud akele hi na karte rahein balke apne dost, relative yaa dusre ko bhi ye samjhate rahein ke insaan ko ache kaam karna chahiye, kyunki insaan ko ek din marna hai aur apne ache bure kaamon ka hisaab Allah ko dena hai, jiske ache kaam zyada hongey woh jannat mein jayega aur jiske bure kaam zyada hongey woh dozakh mein jayega, Lekin is sabke alawa bhi Allah hi har cheez ka malik hoga, ho sakta hai kisi bure aadmi ki ek choti si baat se hi khush ho kar usko jannat mein bhej de (Matlab usko maaf kar de).
Allah har tarah ke gunaah ko maaf kar sakta hai siwaye shirk karna nahi maaf karega❌
Shirk = Bahut se log aise hote hain jo Allah ko to mante hain lekin Allah ke sath-sath dusre gods (bhagwan) ko bhi mante hain ya phir qabr, dargaah yaa mazaar pe jaa kay haath failaate yaa sajda karte unse maangte toh Ye shirk kahlata hai Isko Allah kabhi maaf nhi karega Baki jiss gunaah ko chahega maaf kar dega.
Insaan ko duniya mein Allah sirf ek baar hi bhejta hai aur yahi ek chance hota hai, isi ek life mein insaan ko Allah ko mante huye acche kaam karna hai aur isi ke base par Allah jannat ya dozakh dega.
Jab ke bura aadmi mar jayega aur Qayamat ke din jab Allah sabko samne khada karega to woh insaan kahega ke Allah mujhse galti ho gayi, maine tujhe nahi mana ya teri baat nahi mani, bas ab ek bar mujhe duniya mein bhej de aur ek mauka de de, duniya mein jaa kar mein 1 minute ke liye bhi teri baat ke khilaf kuch kaam nahi karunga Lekin Allah Farmaayega ke har kisi ko bas ek hi mauka mila hai aur tumko bhi diya gaya tha,ab duniya mein kisi ko wapas nahi bheja jaega, aur isi ek life ke base par tumhara result saamne ayega (Allah bahut reham karne wala hai, jisko chahega maaf kar dega,lekin har kisi ko maaf nahi karega) yeh sochna ki gunaah karte raho Allah humein maaf kar dega yeh bhi galat hai Isliye is zindagi ki keemat ko samajhiye aur Allah ko mante huye, uske huqm ke hisab se zindagi guzariye, isi mein duniya aur duniya ke baad ki kamyabi hai.❤
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments