HAZRAT AISHA (R.A) NE EK DIN NABI (ﷺ) SE PUCHA : AAPKI ZINDAGI KA MUSHKIL TAREEN DIN KONSA THA ?
Hazrat Aisha RadiAllah anha se riwayat hai, unhone RasoolAllah (ﷺ) se Arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Kya Aap par koi Aisa din bhi aaya jo uhad ke din se bhi zyada sakht ho? Aap (ﷺ) ne farmaya: mujhe tumhaari qoum se bahut takleef pahunchi,
jab mai khud ko (taaif me) ibn Abd yalail bin Abd kalaal ke saamne le gaya (yaani usko islam ki dawat di) lekin jo mai chaahta tha, usne meri baat na maani (balke taaif ke logon ne aap par patthar barsaaye jisse aap (ﷺ) lahu luhaab hogaye),
Mai ghamzada ho kar chal para aur qarn sa'alib par pahunch kar hi meri haalat behtar hui (ek riwayat me Aap ﷺ ne farmaya mai woh din kabhi nahi bhool sakta),
Maine sar uthaaya to mujhe ek badal nazar aaya, usne mujh par saaya kiya hua tha,
Maine dekha to usme Jibraeel Alaihissalam the, unhone mujhe aawaaz dekar kaha : jo kuch aap ne apni qoum se kaha aur unhone jo aapko jawab diya, Allah ne wo sab sun liya, Allah ne pahaadon ka farishta aapki taraf bheja hai, taaki aap unn kuffar ke mutalliq jo chaahen hukm den,
Aap (ﷺ) ne farmaya: phir mujhe pahaadon ke farishte ne aawaz di aur salam kiya,
Phir kaha: Aye Muhammad (ﷺ)! Allah ne aapki qoum ki taraf se aapko diya gaya jawab sun liya,
Mai pahaadon ka farishta hun, aur mujhe aapke rabb ne aapki taraf bheja hai k aap mujhe jo chaahen hukm den! Agar aap chaahen to main inn do sanglaakh pahaadon ko utha kar unke upar rakh dun (aur woh halaak ho jaayen) to Nabi (ﷺ) ne farmaya: (nahi!) Balki mai yeh ummid karta hun ke Allah inki pushton se aisey log nikalega jo sirf Allah ki ibadat karenge aur uske saath kisi ko shareek na thaharayenge.
[Sahih Muslim #4653]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments