KAFIR KE HUQOOQ

KAFIR KE HUQOOQ (RIGHTS)


Jo log kafir ka mtlb nhi jante wo kafir lafz ko gali smjhte hai,

Iski sachchayi ko janne ke liye zruri hai ke hum iske matlb lo jane,


KAFIR LAFZ KUFR SE BANA HAI JISKI MEANING HAI :


"CHHUPANA, INKAR KARNA, Kyunki kafir ya murtad apni aksariyat ko chhupata hai or uska inkar krta hai isliye use kafir kaha jata hai"


Hadees Me Aya Hai,


"HAR SHAKS APNI AKSARIYAT PAR PAIDA KIYA JATA HAI, FIR USKE MAA BAAP USKO ISAI BANA DETE HAI YA YAHOODI BANA DETA HAI YA MAJUSI BANA LETE HAI"


(Bukhari 1359, Muslim 2658)


Yaha aksariyat se murad tauheed (Allah Ko Ek Janna) Hai

Jiski taraf islam bulata hai, balli islam hi wo cheez hai jis par bachcha paida hota hai, fir uske maa baap alag alag dharm ya afkaar ke hote hai waise hi bachcha ban jata hai,


Kafir ya to musalmano ke mulq me hoga ya musalman us mulq me honge jahan zydatr log gair muslim honge, dono halaton me kafir ki jaan uske maal aur uske maal ki Hifazat krna musalmano par zruri hai,


Ek Hadees Me Aata Hai,


"JIS KISI JIMMI (KAFIR JO MUSLIM MULQ ME REH RAHA HO) KO QATL KIYA JANNAT USKE LIYE HARAM HAI"


Balki QURAN me bhi bata diya gya hai


"Allah tumhen iss baat say mana nahi krta ke jinn logon  ney deen kay muamle mein tum se jang nahi ki , aur tumhen tumharay gharon say nahi nikala , unn kay sath tum koi naiki ka ya insaf ka muamla karo , yaqeenan Allah insaf karne walon ko pasand kerta hai"


(QURAN - SURAH MUMTAHINA 60 Ayat 8)


Isliye ki musalman na to kafir ke dushman hai or na sare kafir musalmano ke dushman hai, musalmano ka farz hai ki wo jis mulq me rahe uski tarakki ki taraf pura dhyan de or badh chadkar hissa le or sbse badi baat ye hai ki musalman Allah ke deen islam ke pairokar hai, isliye unko chahye ke apne bartao (Behaviour) se or apni zuban se wo islam shi ilm pesh kare,


QURAN ME HAI,


"tum woh behtareen ummat ho jo logon ke fayde ke liye wajood mein laee gyi hai . tum neki ka huqum dete ho, burayi se rokte ho aur Allah per imaan rakhte ho..agar ehal-e-kitab emaan ley aate  to yeh unn ke haq mein kahin behtar hota..unn mein se kuch to momin hain , magar unn ki aksariyat nafarman hai"


(QURAN SURAH AL-IMRAN 3 AYAT 110)


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments