🔥 Kya Murde Sunte Hai, Murdon Ke
Waseele Se Mangna Haraam Kyu Hai?🔥
Sawal : - Kya Faut Shuda (Dead) Sunte Hain ?
Jawab :- Bilkul Nahi , Kyuki
Allah Ka Farmaan Hai
Beshak Aap Murdon Ko Nahi Suna Sakte Hain Aur Na Behron Ko Apni Pukar Suna Sakte Hain
[ Qur'an 27: Aayet 80 📗 ]
Aur Zinde Aur Murde Baraabar Nahi Ho Sakte, Allah Jisko Chahta Hai Suna Deta Hai Aur Aap Un Logo Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabron Mein Hain
[Qur'an 35:Aayet 22 📗]
In Ayaat Se Yahan Ek Aam Usool Maloom Hua Ki Murde Nahi Sun Sakte, Lekin Sath Hi Sath Iske 2 Exceptions Bhi Milte Hain,
Jaise
1) Dafnaane Ke Bad Jab Log Wapas Jate Hain To Murde Ka Unke Qadmo Ki Awaz Sunna
[ Sahih Bukhari - 1338 ]
2) Ya Jung E Badr Mai Jin Dushmano Ko Kuwe (Well) Mai Dafna Diya Gaya Tha, Nabi Sallahu Alaih Wa Sallam Ka Unko Mukhatib Karna.
[Sahih Bukhari - 3976 ]
[ Sahih Muslim - 7222 ]
To Yahan Hume Aam Aur Khas Dono Usool Milte Hain, Aam Usool Ke Tahat Murde Nahin Sun Sakte, Lekin Khas Usool Ke Tahat Murde Qadmo Ki Ahat Sunte Hain Ya Jung Ke Mauqe Par Qatl Hue Dushmano Ko Mukhatib Karke Nabi Sallahu Alaih Wa Sallam Ye Ailan Kar Sakte Hain Ki Allaah Ka Wada Poora Hua Aur Iski Tasdeeq Ke Liye Pooch Bhi Sakte Hain (Bina Murdo Ke Jawab Ka Intizar Kiye)
Theek Waise Hi Jaise Aam Usool Ke Tahat Murdaar (Dead) Ka Gosht Haraam Hai
[Qur'an 5:3]
lekin Khas Usool Ke Tahat Machhli (Fish) Aur Tidda (locust) Isse Mustasna (exempted) Hain
[Ibn E Majah - 3314 ]
Ab Gour Karne Wali Baat Ye Hai Ki In Khas Dalaail Ki Bina Par Kisi ek Sahabi Ne Bhi Faut Shuda Se Ya Unke Waseele Se Kuch Bhi Mangne Ka Jawaaz Nahin Nikala. Halanki Aise Kai Sahaba The Jinke Jannati Hone Ki Bashaarat Nabi Sallahu Alaih Wa Sallam Ne Naam Le Kar Ki Thi Aur Jinse Badh Kar Koi Aur Auliya Allah Nahin Ho Sakta
Balki Jung E Badr Wale Waqiye Ko Bayan Karne Wale Ek Sahabi Umar ( R.A ) The Aur Wo Apni Daur e khilafat Mai Qahat, Sookhe Ke Waqt Nabi Sallahu Alaih Wa Sallam Ya Abu Bakr ( R.A ) Ki Qabr Par Ja Kar Ya Unka Waseela Le Kar Dua Mangne Ki Jagah Abbas ( R.A ) Ke Ghar Jate Aur Unse Dua Ke Liye Kahte
[ Sahih Bukhari - 1010 ]
Han Ye Bhi Sach Hai Ki Faut Shuda Ke Zariye Allaah Se Mangne Ka Amal Nabi Sallahu Alaih Wa Sallam Ke Zamane Mai Hota Tha, Lekin Ye Amal Mushrikeen-e-Makkah Karte The
Allah Ne Farmaaya
Aur Wo Kehte Hain Ki Yeh Allah Ke Yahan Hamaare Sifarishi Hain
[ Qur'an 10:18📗 ]
Aur Inme Se Aksar Butt (Idols) Apne Waqt Ke Nek Log Hua Karte The
[ Sahih Bukhari - 4920 ]
Lekin Iske Bawajood Allaah Ne Is Tarah Ke Aqeede Aur Amal Ki Sakht Pakad Ki,
Ek Bat Ye Bhi Dhyan Rahe Ki Faut Shuda Ka Kuch Awaze Sunna, Ek Bat Hai Aur Is Bina Par Unse, Ya Unke Waseele Se Dua Mangna Bilkul Alag Bat Hai, Jiska Koi Suboot Kitab-o-Sunnat Mai Nahi Hai,
Unke Liye Dua Kar Sakte Hai Jo Qabro Mai Hai Unko Dua Nahi Kar Sakte 🚫
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments