🔴 Anas (r.a) se riwayat hai ki Jab bhi sukha padta (barish ki kami hoti) toh Umar r.a Al- Abbas bin Abdul Muttalib r.a. se Allah se baarish ki dua karne ko kahte.
Woh kahte – Aye Allah, hum apne nabi se baarish ki dua krne ko kahte the aur ap barish ki rahmat karte the aur ab (jab RasoolAllah (ﷺ) ki wafat hogai) hum unke chacha se dua karne ko kahte hai.
Aye Allah! Humein baarish ata farma, aur fir barish hoti.
👉[ Sahih Al Bukhari, Hadith No. 1010 ]
Is hadees se sabit hua ki Rasool'Allah ke faut hone k baad Sahaba Rasool ke qabr pe ja kar nhi balki Rasool ke chacha se dua karwaya karte the kyuki jo shaks faut ho jata hai usse madad mangna haram hai aur zindo se madad mangna jaiz hai.
Beshak is Hadith se ye bhi sabit hota hai ke nek or saleh insan ke waseele se dua kr skte hai bs condition hai ki wo nek insan zinda ho...
Is hadith se ye bhi sabit hota ki hme faut shuda se waseela nhi lena chahye chahe wo paighambar hi kyu na ho...ye hadith aap (ﷺ) ke wafat ke baad ki hai aur unke chacha hayat the...
🔴 Jubair bin Mut`im riwayat karte hai : Ek Khatoon aayi RasoolAllah (ﷺ) ke pass aur unhone unke pas wapas ane ka hukm diya tha.
Khatoon ne farmaya agar aap nhi hue to, jese wo kahna chahti ho ki agar ap faut ho gae to ?
“RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki agar tum mujhe na pana to Abu bakr ke pas jana.”
👉 [ SAHIH BUKHARI , Hadith No. 3659 ]
👉 [ SAHIH BUKHARI , Hadith NO. 7220 ]
👉 [ SAHIH BUKHARI , Hadith NO. 7360 ]
Ye ek khubsurat hadees hai Rasool (ﷺ) se madad mangne ke khilaf warna Hadith ke alfaz hone chaiye ki agar mai na hua to meri qabr par aana...
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments