♦️Logon ki di hui taqalluf par sabr karna..
Ek musalman dusre musalman ka bhai hai, aur wo uske liye wahi cheez pasand karta hai, jo wo apne liye pasand kata hai,
Isme koi shaq nahi ke hum mein se aisa koi nahi jo galtiyan nahi karta ya jisse kisi maamle mein chook nahi hoti ya phir jo kisi na kisi aitbar se logon ke sath galat nahi karta ya logon ko hmare zariye taqleef nahi pahunchti aisa to hum mein koi nahi.. Hum sab pasand karte hain ke agar hum kisi ke sath kuch galat kar baithen ya uska dil dukha baithen to wo hume maaf karde taake hamare khilaf uski koi shikayat Allah ke samne aakhirat mein pesh na ho, aur hume apni nekiyaan usey na deni pade,,
👉Allah ta'ala bhi apni kitab mein farmata hai :
"gussa peeney wale aur logon se darguzar karne wale hain, Allah in nekokaron ko dost rakhta hai"
📜[Surah aal e imran - 134]
👉"Aur agar badla bhi len to utna hi jitna sadma tumhe pohchaya gaya ho aur agar sabr karlo to beshak saabiron ke liye yahi behtar hai"
📜 [Surah nahl - 16:126]
👉Aur jo shakhs sabr kar le aur maaf karde, yaqeenan ye badi himmat ke kaamon mein se (ek kam) hai
📜 [Surah shoora - 42:43]
👉"Aye imaan walo tumahri baaz biwiyaan aur baaz bache tumhare dushman hain, pas inse hoshiyar raho, aur agar tum maaf kardo aur darguzar kar jao aur bakhsh do to Allah bakhshne wala meherban hai"
📜 [Surah taghabun - 64:14]
👉Ye kuch aisa hi hai jaise ke ek hadees mein bhi zikr ayaa hai muslim (4689)
Abu Huraira radiallahu anhu se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya "sadqa maal ko kabhi kam nahi karta, aur jo koi kisi ko maaf karta hai to Allah usey izzat mein badhata hi hai aur jo tawaazo ikhtiyar karta hai Allah uske darje buland karta hai"
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments