🔴 Maa ya khala ke sath husn e sulook tauba ki qubooliyat aur magfirat ka ehem sabab hai
👉 Syedna Abdullah bin Umar radiallahu anhuma kehte hain ke ek aadmi ne nabi kareem ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar arz kiya : Allah ke rasool! Mujh se bohot bada gunah sarzad ho gaya hai, kya mere liye tauba ki gunjaish hai?
Aapne poochha : "kya tumhari maa zinda hai?"
Usne kaha : "nahi"
Aapne poochha : "tumhari koi khala hai?"
Usne kaha : "haan!"
Aap ne farmaya : "us (khala) ke sath husn e sulook karo (is ki wajah se tumhari tauba qubool ho jayegi)."
📚 [Sunan Tirmizi : 1904, is hadees ko shaykh al baani ne sahih kaha hai]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
ARMAAN ANSARI
0 Comments