MERRY CHRISTMAS! KEHNA ALLAH KO GALI DENA HAI


 ❌❌❌❌❌❌❌❌❌

MERRY CHRISTMAS! Kehna ALLAH Ko Gali Dena Hai


Don't Say Merry Christmas


CHRISTMAS manana ya mubarakbad dena shirk hai.


MERRY CHRISTMAS in kalimaat ko kehne se bachein aor dusro ko bhi isse roken merry Christmas ka matlab hota hai ke ALLAH SWT ne beta jana (paida kiya) “ (NawzuBillah).

Isaiyon ka aqeedah yeh hai ka Isa Alaihi salam (nawzubillah billah) Allah taala ke bete hain jis din Isaai log Isa Alaihi salam ki khushi ka din manate hain matlab uss din yeh bhi maante hain k Allah taala ne is din beta paida kiya tha. (NawzuBillah).

to jab hum kisi ko is tehwar ki mubarakbaad dete hain ya unki khushi mein shareek hote hain to is ka matlab yeh huwa ke hum is cheez par agree ho jate  hain ke Allah swt ne beta jana aur Isa Alaihi salam Allah swt ke bete hain. (nawzubillah)


25th December ko Rab e Qaynat ki shaan mein azeem gustaakhi ki jati hai. Christmas manaaney walon ko mubarak bad kehne wale goya yeh tasleem kar rahe hain ke Allah swt ki bhi biwi aur beta hai ( nawzubillah ).


Allah ke liye aisi behooda aor badtareen baat karne walon ke liye Allah ne quran me is tarha farmaya hai:


وَ قَالُوا اتَّخَذَ الرَّحۡمٰنُ وَلَدًا


Un ka qoul yeh hai ke Allah swt ki bhi aulaad hai.


لَقَدۡ جِئۡتُمۡ شَیۡئًا اِدًّا


yaqeenan tum bahut buri aur badi bhaari cheez laaye ho


تَکَادُ السَّمٰوٰتُ یَتَفَطَّرۡنَ مِنۡہُ وَ تَنۡشَقُّ الۡاَرۡضُ وَ تَخِرُّ الۡجِبَالُ ہَدًّا


Qareeb hai ke is baat ki wajah se Aasman phatt jayen aur Zameen shaqq (sukad) ho jaye aur pahaad tukde tukde ho jayen.


اَنۡ دَعَوۡا لِلرَّحۡمٰنِ وَلَدًا


ke woh Rahman ki aulaad saabit karne baithe hai.

وَ مَا یَنۡۢبَغِیۡ لِلرَّحۡمٰنِ اَنۡ یَّتَّخِذَ وَلَدً


Shaan e Rahman ke Layaq nahi ke woh aulaad rakhe.


اِنۡ کُلُّ مَنۡ فِی السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ اِلَّاۤ اٰتِی الرَّحۡمٰنِ عَبۡدًا


Aasman o Zameen mein jo bhi hai sab ke sab Allah ke ghulam ban kar hi ane wale hain.


[Surah Maryam : 88-93]


25th December ko kuffar ka sath dene walon, unko mubarak bad dene walon, unn ki khushion mein rang daalne walon! ! .

zara ek dafa apne Rab ki ayaat ko to parh lo, aur Allah ki qasam tum is ko parh kar bhi nahi samajte to Allah se hadaayat ki bheek mango.


Surah Ikhlaas mein Allah taala farmata hai !


Aap keh dijiye ke Allah taala Ek hi hai. ( aayat-1 )

Allah taala be-niyaz hai. ( aayat-2)

Na us se koi paida huwa na woh kisi se paida huwa. ( aayat-3 )

Aur uske jaisa koi bhi nahi. ( aayat -4 )


Agar Hamen is kitaab ko padh kar bhi aqal nahi aati to hum kabhi bhi raah e raast par nahi asakte. insaan sirf baat samjha sakta hai Hidaayat nahi de sakta kyunki Hidaayat sirf Allah taala ke paas hai.


“Aur aap sab keh dijiye ke aap sirf hukum pehchane walay hain Hidaayat dene wale nahi, Hidaayat dene wala Main (Allah) hun jis ko chahun Hidaayat dun aur jis ko chahun gumraah kar dun” ( Al-Quran )


Allah hm sbko is bure aor behooda teohaar se bachne aor dusro ko bachane ki taufeeq ata farmaye Aaameen!


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments