NEK LOG AUR FAKE LOG


 Nek Log Or Fake Log


Ek aadmi ghar aya to uski biwi ne kaha - humare bathroom ke pas jo tree hai use katwa do, meri gairat gawara nhi krti ki jab me naha rhi hu to parindo ki nazar mjh pr pade...

Wo biwi ki is bat se bahot impress hua or tree katwa dia...


Waqt guzarta raha...

Ek din wo waqt se phle suddenly ghar aa gya to dekha biwi kisi gair mard ke sath mashgool thi..

Use bahot dukh hua, wo apna ghar-bar chhod kar bagdad chala gya, or waha apna business shuru kar liya


Allah ne business me khoob barkat di or alne tezi se badhte hue business ki badaulat kamyab logo ke shumar hi gya


Yaha tak ki bagdad ke kotwal (police officer) tk uski pehchan ho gyi


Ek din kotwal ke ghar chori ho gyi...police ne mujrim ka pata lgane or pakadne ki bahot koshish ki lekin nakam rhi


Is aadmi ne dekha ki ek sheikh ka kotwal ke ghr bahot aana jana hai or kotwal inki bahot izzat krta hai lekin ek bat iske smjh ni ati thi ki sheikh aadhe panv (feet) pr chalte hai, poora panv zameen pr kyu nhi rkhte...


Usne kisi se iski wajah puchi to use bataya gya - "ye pura pair zameen pr islye ni rkhte ki kahi keede makode (insects) na kuchal jaye"


Wo aadmi fauran kotwal ke pas gya or kotwal se kaha - "jaan ko amaan ho to arz hai, apke yha chori is sheikh ne ki hai"


Jab tehqeeq ki gyi to saara chori ka maal uske yaha se mila


Kotwal ne hairani se kaha - "hmne to kbhi socha bhi nhi tha ke ye sheikh bhi aisa kr skte hai tmhe kaise malum hua ?


Usne kaha- "mere ghr me ek tree tha jisne mjhe naseehat ki thi, jo log zrurt se zyda "nek nazar aane" ki koshish krte hai wo amuman nek nhi Hote"


Sabaq - ye haqeeqat hai ki kuch instagram ki hudood tk hi ba-akhlaq rhte hai haqeeqi zindgi me inke shar se inke neighbors, relatives yaha ki ghr wale bhi panah mangte hai, aise akhlaq or nek nami ka kya fayda jisse sirf whi log fayda uthaye jinka apki practical life se koi waasta nhi, aksar aise logo se Waasta hota hai, ki zara sa jhagda hua to apni asliyat pr aa jte hai, zara sa ikhtelaf kr ke dekh le kisi se apni feed pr kya bane hote hai or haqeeqat me kya hai...


Allah rabbul izzat se dua hai ki hme zahiri or batini taur par aamal e saleha pr chalne ki taufeeq ata farmaye aameen 🤲


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments