New Year Manana Ya Uski Mubarakbad Dena Kaisa Hai


❌❌❌ New Year Manana Ya Uski Mubarakbad Dena Islam Me Mana Hai ❌❌❌


New Year (Jan-Dec) Ki Aamad Aur Qabil e Tawajjuh Kuch Umoor
New Year Ki Aamad Aur Qabil e Tawajjuh Kuch Umoor


Har qaum apney calendar ke hisaab se naye saal ke pehle din ko badi ahmiyat deti hai aur is din ko badi dhoom dhaam se manati hai. Halanki ye naya aur pehla din bhi dusrey dino se kuch alag nahi hota. Aisa nahi hai ke naye saal ke pehle din me sirf khushi hi khushi hoti hai. Dekha jaata hai ki gham mein doobey log us din bhi ghamgeen hi hotey hain. Naye saal par bhi logon ko maut aati hai, accidents hotey hain museebat aur mushkilaat paish aati hain, phir naye saal ke din ko khushi ke taur par mananey ki wajah kiya hai ?
Is ke jawaab se alag naye is'wee saal ke aaney par barre sagheer (yaani Hindustan, Pakistan aur Bangladesh wagera) mein ajeeb qism ka mahol paaya jaata hai. Is mahol ko Islami nazariye mein dekhtey hain:

1) Naya Saal Aur Happy New Year :
Pehli (1st) January ke aaney se kai din pehley se messages, cards aur zubaani taur par Happy New Year ke kalimaat jaari wa saari ho jatey hain (means log ek doosrey ko mubarakbad dena shuru kar detey hain)
Alhumdulillah is'wee saal se hat kar musalmanon ka apna Arbi calendar paya jaata hai, aur ye qamri/hijri calendar Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ke zamaney se hi paya jaata hai, unki zindagi mein bhi naya hijri saal aaya magar unhoney ek dusrey ko iski mubarakbaad nahi di jo is baat ki daleel hai ke ye naye saal ki mubarakbaad dena sunnat ke khilaaf hai.
Isliye kisi musalman ke liye ye jaayez nahi ke kisi ko Happy New Year ka card bheje ya message likh kar Happy New Year ki mubarakbaad dey, ya zubaan se kisi ko Happy New Year kahey.

2) Naya Saal Aur Picnic :
Pehli (1st) January ko log gaon / shahar se bahar nikal kar sehra aur jungle mein jaa kar mil jul kar dawat ka ehtemam kartey hain (doosrey lafzon mein wo log mil kar party kartey hain) Ismein khaaney peeney ke saath sharaab-noshi (sharaab peena), aatish-bazi, aur raqs (dancing) wagera ki mehfil qayem ki jaati hai. Nez Magribi Tehzeeb ki naqal kartey huwe kai mard ke sath naujawan ladkiyan bhi is picnic mein shamil hoti hain.
Picnic dar'asal (actually) mauj-masti ka doosra naam hai
Ismein paye jaaney waley umoor Islam ke khilaf hain.
Is mauqey se main tamam musalman mard o khawateen ko naseehat karta hun ki is qism ki dawat aur picnic se bacha karein.
Khaas taur se ghar ke zimmedaaron se guzarish karta hun ke apni aulaad ko picnic mein shirkat ki ijazat na dein.

3) Naya Saal Aur Aatish-Baazi :
Naye saal ke aaney par aatish-bazi ka bada haulnaak manzar dekhney ko milta hai.
Ghar par, gali mein, chauharon par, mehfilon mein aur aam gurney waley raaston par is qadar aatish-bazi ki jaati hai ke issey kai bar aur kai jagah haadisaat (accidents) hotey hain.
Is aatish-bazi mein musalmanon ko dekh kar bohot dukh hota hai ke Deen-e-Mohammadi ke naam leney waley kuffar ki naqqali mein unkey saath kyun ?
Aatish-bazi mein fuzool kharchi, jaan aur maal ke nuqsaan ka pehlu aur kuffar ki mushabihat paayi jaati hai jo naye saal ki munasibat se hi nahi balkey har munasibat se Haram hai.

4) Naya Saal Aur Tawahhumaat :
Naye saal ke talluq se bohot saari tawahhumaat payi jaati hain.
Kuch ka talluq to rasam o riwaaj se hai, magar kuch tawahhumaat seedhey Aqaaid se takratey hain Aur taqreeban har mulk (country) mein ajeeb o gareeb qism ki riwayaat payi jaati hain.
India to waisey bhi ajaibaat ke liye duniya bhar mein mashoor aur ma’roof hai.
Kahin naye saal ke aaney par ghar ke puraaney furniture ko nikaal kar naye furniture lagaye jaatey hain to kahi puraaney samaan se Bad-Faali li jaati hai aur usey phenk kar naya samaan laya jqata hai. Kahi kachra ghar se bahar nikalna bad-qismati nikalney ke barabar samjha jaata hai to kahi par coin uchal ka qismaton ka faisla kiya jata hai.
Islam mein is qism ki riwayaat aur tawahhumaat aur bad-faali ki koi gunjaish nahi hai.

Ye sare kam gair muslims ke hai or unki naqal krne wala unhi ke dharam ka mana jayega jaisa ke Allah ke nabi ki hadees hai
Jis ne kisi qaum ki mushabihat (copy) ikhtiyaar ki toh woh unhin mein se hai

[Abu Dawood  #4031]

🔴 Naye Saal Par Hum Kya Karein ?

Yahan ek sawal ye paida hota hai ke agar hum naye saal ki amad (aaney) par upar zikr kiye gaye umoor anjaam nahi den, to phir humein naye saal ke aaney par kya karna chahiye?
Is sawal ke talluq se main sabsey pehley ye batana chahta hun ke hum log musalman hain aur musalmanon ka naya saal is'wee nahi hijri hai. Goya humein pehli January se koi matlab nahi. Agar matlab hai to Islami saal se hai.
Islam me naye saal ki amad Moharram-ul-Haram se hoti hai Aur Moharram 4 hurmat waaley mahino mein se ek mahina hai.
Humein Moharram ke aaney par sabsey pehley ye fikr karni hai ke ye duniya faani (khatam hone wali) hai, yahan ki har chiz faani hai.
Humein bhi ek na ek din yahan se jaana hai Is fikr aur khayaal se hamarey andar ye ehsaas hoga ke hum ne zindagi ka ek qeemti saal kho diya.
Saath saath ye muhasiba bhi karna hai ke guzrey huwe mahino mein humsey kya galati hue kya gunah huwe, aur kaunsa neik kaam humney saocha aur nahi kar sakey.
Is muhasibey ki saqth aaney waley saal ke liye neki ki raah chalney ke liye mukammal planning karein. Agar humney neki ki raah chalney ke liye koi thoos schedule tayyar na kiya to ek-ek saal hamari umar se yunhi kam hota chala jayega aur hamarey daman mein burayi ke siwa kuch na hoga. Aur jab umar tamam kar ke Khaliq e Haqeeqi se milenge to afsoos se haathon ko malna padega.

Is se pehley ki afsoos karna padey apna daman nekiyon se bhar letey hain.



__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

 

Post a Comment

0 Comments