NUZOOL-E-MASEEH (RETURNING OF JESUS)


 NUZOOL-E-MASEEH (RETURNING OF JESUS)

                     

Aur yun kehne ke baa'is ke hum ne Allah ke Rasool Maseeh Isa ibn Mariym alaihissalam ko qatal kar diya halankay na to unhon ne usey qatal kiya na sooli charhaya balke unke liye (kisi ko isa a.s) ka hum shakal bana diya gaya tha, Yaqeen jaano ke hazrat Isa ( a.s ) ke baare mein ikhtelaaf karne waale unn ke (qatal ke) baare mein shak mein hain, unhe iss ka koi yaqeen nahi wo sirf gumaan ki pairwi kar rahe hain, aur unho ne Isa (a.s) ko qatal nhi kiya, Balke Allah Ta'ala ne unhe apni taraf utha liya aur Allah bara zabardast aur poori hikmaton waala hai, (Qayamat ke Qareeb jab Isa (a.s) dobara naazil honge to) Ahl-e-kitab (Christians) mein Ek bhi aisa na bachega jo hazrat Isa ki maut se pahle unn par (sahi tareeqe se) imaan na La chuka hoga aur qayamat ke din Isa (a.s) unn par gawaah honge.

[Surah Nisa : Ayat 157-159]


Hazrat Jabir bin Abdullah Radi Allah anhu bayan karte hain, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko farmatey hue suna : Meri ummat ka ek groh (group) musalsal haqq par (qaayam rahte hue) ladta rahega , woh qayamat ke din (har jihad mein) ghaalib rahenge, Phir Isa ibn mariyam Alaihissalam utrenge to uss taaifa (group) ka Ameer kahega : Aaiye hamen Namaz padhaaiye! is par Isa (a.s) jawab denge : nhi!
Allah ki taraf se iss ummat ko bakhshi gayi izzat-o-sharf ki bina par tum hi ek dusre par Ameer ho

[Sahih Muslim : 395]

Hazrat Abu huraira Radi Allah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Uss zaat ki Qasam jiske haath mein meri jaan hai! Wo zamaana aane waala hai jab Ibn mariyam Alaihissalam tum me ek Aadil aur munassif haakim ki haysiat se utrenge , woh saleeb (cross) ko tod daalenge , suwaron (pigs) ko maar daalenge aur jaziya (tax) ko khatam kar denge , uss waqt maal ki itni zyadati hogi ke koi lene wala na rahega.

[Sahih Bukhari : 2222]

Hazrat Abu huraira Radi Allah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Hazrat Isa Alaihissalam ke baad ki zindagi Mubarak ho! Aasmaan ko barish barsaane ki ijaazat de di jaayegi, aur zameen ko sabza ugaane ki, agar tum apna daana safa' patthar par bhi daalo ge to wahan bhi sabza ugg aayega, na mufaad parasti hogi, na hasad aur na bughz, yahan tak ke Aadmi Sher ke paas se guzrega to usey nuqsaan nhi dega aur agar saanp ke upar pair aajayega to wo bhi usey nuqsaan na dega.

[Silsilatus Sahiha : 2623]

Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Isa Alaihissalam aur mere darmiyan koi Nabi nhi, woh Aasmaan se utrenge , jab tum unhe dekhoge to unhe pehchaan Lena , woh darmiyaan e qadd ke honge ,unka rang surkh safedi maail hai, 2 zardi maail chadar pehne honge, goya ke unke sar se paani tapak raha hoga, agarcha unke sar mein paani nhi hoga, woh logon se Islam par qittal karenge , Allah ta'ala uss zamaane mein Islam ke ilaawa tamaam mazhabon ko khatam kar dega, Isa (a.s) zameen mein 40 saal rahenge , phir fout ho jaayenge aur musalman unka janaazah parhenge.

[Silsilatus Sahiha : 3140]

Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Qayamat qaayam nhi hogi, yahan tak ke Romi (Romans) Aimaaq ya daabiq (Syria ka ek ilaaqa) mein utrenge ,unke saath muqaable ke liye (damishq) shahar se (ya Madina se) uss waqt zameen ke behtareen logon ek Lashkar rawaana hoga, jab woh dushman ke saamne saff aara' honge to Romi (Isaayi) kahenge, tum hamaare aur unn logon ke darmiyan se hat jao jinho ne hamaare logon ko qaidi banaya hua hai, hum unse ladenge! To musalman kahenge , Allah ki qasam! Nhi! Hum tumhaare aur apne bhaiyon ke darmiyan se nhi hatenge , lihaza wo unn(isaaiyon ) se Jung karenge , unn (musalmano) me se ek tehaayi shikast tasleem kar lenge ,Allah unki tauba kabhi qubool nhi farmaayega aur ek tehaayi qatal kar diye jaayenge, woh Allah ke nazdeek afzal tareen shohda honge aur ek tehaayi Fatah haasil karenge , woh kabhi fitne mein mubtela nhi honge ,aur Qustuntuniya (Constantinople) ko dobara Fatah karenge , phir jab woh maal ghaneemat taqseem kar rahe honge aur apne hathiyaar unho ne zaitoon ke darakhton par latkaaye hue honge to shaitaan unke darmiyan cheekh kar ilaan karega, Maseeh (dajjal) tumhaare peeche tumhaare ghar waalon tak pahunch chuka hai, woh nikal parenge, magar yeh jhoot hoga, jab woh shaam (Syria) pahunchenge, to woh namudaar ho jaayega ,uss dauraan mein jab woh Jung ki taiyyari kar rahe honge safen seedhi kar rahe honge to Namaz ke liye iqamat kahi jaayegi, uss waqt Hazrat Isa ibn mariyam Alaihissalam utrenge to unka rukh karenge , phir jab Allah ka dushman (dajjal) unko dekhega to iss tarah pighlega jis tarah namak paani mein pighalta hai, agar woh Isa (a.s) usey chor bhi den to woh pighal kar halaak ho jaayega lekin Allah taala usey unke Isa (a.s) ke haath se qatal karaayega aur Logon ko unke hathiyaar par uska khoon dikhayega

[Sahih Muslim : 7278]

__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments