QABR (AAKHIRAT KI PEHLI MANZIL)

 


QABR (AAKHIRAT KI PEHLI MANZIL)

🔴 Hazrat usman RadiAllah anhu se riwayat hai, jab aap kisi qabr ke paas khade hote to wahan iss qadr rote ke aapki daarhi tar ho jaati ,
Aap se poocha gaya : aap jannat aur jahannum ka tazkarah karte hue nhi rote lekin qabr ka zikr kar ke rote hain!
To aap ne bataya ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : beshak qabr aakhrat ki manzil me se pehli manzil hai, pas agar isse bach gaya to uske baad Jo manaazil hain woh usse aasaan tar hain, aur agar isse nijaat na hui to iske baad Jo manazil hain wo isse zyada sakht hain,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Maine qabr se sakht aur bura manzar kabhi nhi dekha

[Mishkat #132]
                         

🔴 Hazrat zaid bin sabit RadiAllah anhu ne bayan kiya: ek dafa jab nabi (ﷺ) banu najjar ke ek baagh me apne khacchar par (ﷺ)aar the, hum aap ke saath the ke achaanka woh khacchar bidak gaya aur woh aapko giraane laga tha , wahan 6 ya 5 ya 4 qabren thi ,
Aap (ﷺ) ne farmaya : inn qabar waalon ko kon janta hai ?
Ek aadmi ne kaha: mai,
Aap (ﷺ) ne farmaya : ye log kab mere the ?
Usne kaha : Shirk me mare the, Aap ne farmaya: yeh log apni qabron me azaab me mubtela hain, agar yeh khadsha na hota ke tum (apne murdon ko) dafan karna chor doge to mai Allah se dua karta ke qabr ke jis azaab (ki aawaz) ko mai sun raha hun wo tumhe bhi suna de, phir aap ne hamaari taraf apna chehra phera aur farmaya : Aag ke azaab se Allah ki panaah maango! (Hadees badi hai short me likhi hai sirf qabr ke bare me jise puri padhni hai wo niche diye gaye hadees no. ko search kar le)

[Sahih Muslim #7213]


🔴 Hazrat Anas Bin Malik (r.a) se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah (ﷺ) ne farmaya : “ Aadmi ko jab qabar mein dafan kar diya jata hai or dafan karne wale wapas laut te hain , wo bhi unke jutton ke chaap sun raha hota hai ke uske pass do farishte aa jate hain jo usey baitha kar puchte hai ke tu us aadmi , yaani Muhammad (ﷺ) ke bare mein kya ataqaad rakhta tha ?
Momin jawab mein kehta hai : Main gawahi deta hun ke wo Allah ke bande or uske Rasul hain.
Phir usse kaha jata hai : Tu Jahannam mein apna thikana dekh le , Allah ne uske badle tujhe Jannat mein thikana diya hai. Us waqt use dono thikane dikhaye jaynge”.

Hazrat Qatadah ne kaha : Hadees mein yeh bhi zikr hua hai ke iski qabar ko kushadah kar diya jata hai. Phir Qatadah ne Anas (r.a) ki hadees bayan krna shuru ki, farmaya : “Jab kafir or munafiq se (ﷺ)al kiya jata hai ke toh us shaksh ke bare mein kya ataqaad rakhta tha ?
Toh wo kehta hai : Main kuch nahi janta. Jo kuch log kahte hai main bhi wohi kuch keh deta tha.
Phir usse kaha jata hai ke na tune khud samjhne ki koshish ki aur na  samajhane wale ki raye par chala.

Phir usey lohe ke hath kadiyon se itni maar parti hai keh wo chilla uth'ta hai
Jin wa Insan ke alawa wo sab uske aas paas wale uski cheekh pukar sunte hain

[Sahih Bukhari #1374]


🔴 Hazrat Abdullah ibn Umar RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: jab tum me se koi shakhs mar jata hai to uska thikaana usey subah shaam dekhaaya jata hai, agar woh jannati hai to jannat waalon me aur dozakhi hai to dozakh waalon me, phir kaha jata hai : ye tera thikhana hai !
Yahan tak ke qayamat ke din Allah tujhko uthayega

[Sahih Bukhari #1379]

Hazrat Abu saeed khudri RadiAllah anhu se riwayat hai , RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jab janazah taiyyar ho jata hai phir log unhe apni gardano par utha lete hain, phir agar woh murda nek ho to wo kahta hai ke : haan! Aage le chalo mujhe!
Badhaaye chalo!
Aur agar nek nhi hota to kahta hai : haaye re kharaabi!
Mera janazah kahan le ja rhe ho!
iss aawaz ko insaan ke siwa Allah ki tamaam makhlooq sunti hai aur agar insaan sun Le to behosh ho jaaye

[Sahih Bukhari #1380]

🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu ne bayaan kiya : ek sayaah faam khatoon Jo ke masjid ki safaayi kiya karti thi ya koi naujawaan tha , RasoolAllah (ﷺ) ne usey ek din na dekha to uske baare me (ﷺ)al kiya , sahaba ne Arz kiya : woh to wafaat pa chuka!
Aap (ﷺ) ne farmaya: tum ne mujhe khabar kyu na kiya!
Aap ne farmaya: mujhe uski qabr batao!
Unho ne bata diya to aap ne wahan namaz e janazah padhi,
Phir aap ne farmaya: yeh qabrein apne ashaab par anderon se bhari pari hain aur be shak Allah mere namaz e janazah padhne par unhe munawwar farma deta hai

[Mishkat #1659]

🔴 Hazrat ibn Abbas RadiAllah anhu ne bayan kiya : RasoolAllah (ﷺ) ka guzar 2 qabron par se hua to aap ne farmaya : inn dono ko azaab ho rha hai aur kisi badi ghalati ke bina par azaab nhi ho rha balke inn me 1 to chughal khori karta tha aur doosra apne peshaab se bachne ka ahtemaam nhi karta tha, ibn Abbas ne kaha : phir Aap (ﷺ) ne ek taaza khujoor ko chari mangwaayi  aur isko 2 hisson me cheer diya phir 1 hissa 1 qabar par gaad diya aur doosra uss qabar par, phir aap ne farmaya : ummeed hai jab tak yeh 2 tahniya sookhengi nhi unka azaab halka rahega

[Sahih Muslim #677]

🔴 Hazrat Bara bin Aazib RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Momin jab apni qabar mein bithaya jata hai to uske paas farishte aate hain woh shaahadat deta hai ke Allah ke siwa koi mabood nhi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke rasool hain, to ye Allah ke iss farmaan ki taabeer hai Jo Surah Ibrahim me hai : ALLAH imaan waalon ko duniya aur aakhrat ki zindagi me theek baat yani TAWHEED par mazboot rakhta hai

[Sahih Bukhari: #1369]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments