QABR MEIN 3 NAHI 4 SAWAL HONGE



QABR MEIN 3 NAHI 4 SAWAL HONGE


Pehla (1) Sawal :-

مَنْ رَبُّكَ ؟
Tumhaara Rabb Kon Hai ?

Doosra (2) Sawal :-

وَمَا دِينُكَ؟
Tumhaara Deen Kya Hai ?

Teesra (3) Sawal :-

وَمَنْ نَبِيُّكَ ؟
Tumhaara Nabi Kon Hai ?

Chautha (4) Sawal:-

Tumhe Ye Jawab Kaise Maloom ? (Momin se)

Tumhe Ye Jawab Kyu Nhi Maloom ? (Munafiq ya kafir se)

                    
                    
Hazrat Bara' bin Aazib RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Qabr ki Azaab se Allah ki panaah talb karo, isey 2 baar ya 3 baar farmaya , aur farmaya: aur woh (Maiyyat) unke jooton ki chaanp sun raha hota hai, jab woh Peeth pher kar laut te hain, usi waqt (farishte) usse poochte hain : Tumhaara Rabb kon hai ?
Tumhaara deen kya hai ?
Aur tumhaara Nabi kon hai ? (Hannad Rawi ke riwayat ke mutabiq)
Aap (ﷺ) ne farmaya : phir uske paas 2 farishte aate hain , usey baithaate hain aur usse poochte hain : tumhaara Rabb kon hai ?
To woh kahta hai : mera Rabb Allah hai,
phir wo dono usse poochte hain : tumhaara deen kya hai ?
Wo kahta hai : mera deen Islam hai,
phir poochte hain : yeh kon hai jo tum me (Nabi bana kar) bheja gaya tha ?
Woh kahta hai : woh Allah ke Rasool (ﷺ) hain,
phir woh dono usse kahte hain : tumhe yeh (jawab) kahan se maloom hua ?
Wo kahta hai : Maine Allah ki kitab padhi aur uspar imaan laaya aur usko sach samjha (jarir ki riwayat ke mutabiq) Allah ta'ala ke qoul "Imaan waalon ko Allah Ta'ala pakki baat ke saath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi"

(Surah Ibrahim- Ayat #27) se yahi muraad hai, Aap (ﷺ) ne farmaya : phir pukaarne waala Aasmaan se pukaarta hai : mere bande ne sach kaha, lihaza iske liye jannat ka bichona bicha do aur iske liye jannat ki taraf ka ek darwaaza khol do

[Sunan Abu Dawood #4753]


Hazrat Bara' bin Aazib RadiAllah anhu se riwayat hai ,RasoolAllah (ﷺ) ne (Kafir ke saath qabr mein sawal-o-jawab ke mutalliq) farmaya : uski Rooh uske jism mein Lauta di jaati hai, uske paas 2 farishte aate hain, usey uthaate hain aur poochte hain : Tumhaara Rabb kon hai ?
Wo kahta hai : haaye mujhe nhi maloom!
Wo dono usse poochte hain : ye aadmi kon hai jo tum me (Nabi bana kar) bheja gaya tha ?
Wo kahta hai: haaye mujhe nahi maloom!
Phir wo dono usse poochte hain : tumhaara deen kya hai ?
Wo kahta hai : haaye mujhe nahi maloom!
To pukaarne wala Aasman se pukaarta hai : usne jhoot kaha! Uske liye Jahannum ka bichona bicha do aur Jahannum ka Libaas pehna do! Aur uske liye Jahannum ki taraf darwaaza khol do

[Sunan Abu Dawood #4753]
[Musand Ahmed #18733]


Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Munafiq o kafir se jab kaha jaayega ke uss shakhs ke baare me to kya kahta tha to woh jawab dega : mujhe kuch nahi maloom! Mai to (duniya mein) wahi kahta tha jo doosre log kahte the!
Phir usse kaha jaayega ke : tune na (Haqq) jaanne ki koshish ki aur na samajhne waalon ki raaye par chala, phir usey lohe ki garzon se badi zor se maara jaayega ke wo cheekh karega aur uski cheekh ko jinn aur insaano ke siwa uske aas paas ki tamaam makhlooq sune gi.

[Sahih Bukhari #1374]



__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments