QURAN PADHNE KA SAWAAB
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jis ne Quran ka ek harf padha usey us ke badley ek neki milegi, aur ek neki 10 guna badha di jayegi. Mai nahi kehta «Alif-Laam-Meem» ek harf hai, balke «Alif» ek harf hai, «Laam» ek harf hai aur «Meem» ek harf hai."
[Tirmizi - 2910]
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Qur'an padho is liye ke wo qayamat ke din apne padhne walo ka sifarishi ban kar aayega."
[ Sahih Muslim - 804]
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo Quran ko padhne me maharat rakhta hai wo Allah ta'ala ke farmabardaar farishto ke saath hoga aur jo Qur'an padhta hai aur us me atakta hai aur us ko zehmat hoti hai to usko dugna sawaab hai."
[Sahih Muslim - 798]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments