Riyakari (SHOW OFF) AAMAL KI BARBADI
"Jo Log apna Maal Logon ko dikhaane ke liye kharch karte hain, dar haqeeqat na wo Allah par imaan Rakhte hain, na qayamat ke din par, aur jiska hum nasheen aur saathi shaitaan ho wo bad-tareen saathi hai"
[Surah Nisa #4 - Ayat #38]
Hazrat Mahmood bin Labeed RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Mujhe tum par sabse zyada shirk Asghar ka khouf hai, logon ne kaha : Aye Allah ke Rasool! Shirk Asghar kya hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: Riya-kari
[Silsilatus Sahiha #974]
Hazrat Jundab RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne : Jo Riyakari karega, Allah ta'ala uski Riyakari logon ke saamne Numaaya aur zaahir karega, aur Jo shohrat ke liye koi Amal karega Allah ta'ala usko Ruswa aur zaleel karega
[Sunan Ibn Majah #4207]
Hazrat Abu saeed khudri RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Hamaara Rabb Qayamat ke din apni pindli kholega, uss waqt har Momin Mard aur Momina aurat uske liye sajda mein gir parenge, sirf woh baaqi rah jaayenge Jo duniya mein dikhaawe aur Naamwari ke liye sajda karte the, jab woh sajda karna chaahe ge to unki peeth takhta ho jaayegi aur woh sajda ke liye na mud sakenge
[Sahih Bukhari #4919]
Hazrat Kaab bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Jo shakhs (deen ka) ilm iss maqsad se seekhe ke iske zariya ulema ki baraabri Kare, kam ilm aur be-waqoofon se behas-o-takraar kare ya iss ilm ke zariya logon ko apni taraf garwaida(Attract) kare, to Aise shakhs ko Allah ta'ala Jahannum mein daakhil farmayega
[Tirmizi #2654]
Hazrat Abdullah ibn Umar RadiAllah anhu ne (Nabi (ﷺ) ka qoul qaraar dete hue) farmaya : Jisne Shohrat aur Naamwari ka Libaas pehna , Allah ta'ala qayamat ke din Allah usey usi tarah ka Libaas pehnaaye ga phir uss kapde mein Aag laga di jaayegi
[Sunan Abu Dawood #4029]
Hazrat Ubad bin tamim apne chacha (Abdullah bin zaid bin Aasim) se riwayat karte hain ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Aye Arab ke logon! Aye Arab ke logon! (3 martaba kaha) mujhe tum par sabse zyada khouf Raya aur poshida shahwat (khwaahish) ka hai
[Silsilatus Sahiha #1427]
Hazrat Mahmood bin Labeed RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah ta'ala qayamat ke din logon ko badla dega to Riyakaron se farmayega: duniya mein jin logon ko dikhaya karte the unke paas chale jao! Dekho kya tumhe unke paas kuch badla milega
[Sahih ibn Hibban #148]
Hazrat Muaaz bin jabal RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Mamooli Riyakari bhi Shirk hai
[Sunan Ibn Majah #3989]
Hazrat Abu Huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Jub Al-Huzn (gham ki waadi) se Allah ta'ala ki panaah maango, Sahaba ne Arz kiya : Allah ke Rasool! Jub Al-Huzn kya hai ?
Aap (ﷺ) ne farmaya : Jahannum ki ek waadi hai, jisse Jahannum bhi har Roz 100 martaba Panaah maangti hai ,
Phir sahaba ne Arz kiya : Allah ke Rasool! Usme kon log daakhil honge ?
Aap (ﷺ) ne farmaya: Riya-kaar (isme daakhil honge)
[Tirmizi #2383]

🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments