RIZQ ME BARKAT BADHANE KE TAREEQE


RIZQ ME BARKAT BADHANE KE TAREEQE


1) KASRAT SE ISTAGHFAAR KARNA 💐


Allah ne Qur'an me kaha hai ke: "Aur kaha ke apne Rabb se maafi maango ke wo bada maaf karne wala hai. Wo tumpar aasman se lagatar barish barsaega. Aur maal aur beto se tumhari madad farmaega aur tumhein bagh ataa karega aur unme tumhare liye nehre bahadegaa."


💫 Quran [71:10-12]


2) TAQWA RAKHNA (Allah se darna) 💐


Allah ne Qur'an me kaha hai ke: "Aur jo koi Allah se darega wo uske liye (ranj o mahn se) chutkarey (ki surat) paida kareyga. Aur usko aesi jaga se rizq dega jaha se (wahm o) gumaan bhi na ho. Aur jo shaqs Allah par tawakkul karega Allah usey kaafi hoga."


💫 Quran [65:2-3]


3) ALLAH PAR TAWAKKUL (bharosa) KARNA 💐


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:


"Agar tum log Allah par tawakkul (bharosa) karo jesa ke uspar tawakkul (bharosa) karne ka haqq hai to tumhein usi tarah rizq milega jesa ke parindo ko milta hai ke subah ko wo bhoonke nikalte hain aur shaam ko khush haal wapas aate hain."


[Tirmizi - 2344]


4) RISHTEDAARO KE SAATH ACCHE TALUQAAT RAKHNA 💐


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:


"Jo chahta ho ke uske rizq mai faragi (khush haali) ho aur uski umar daraaz ho to wo sila rehmi (apne khareebi rishtedaaro ke saath ache aur behtar taluqaat qaem karna) kiya kare."


[Sahih Bukhari - 5986]


5) SADQA DENA 💐


Allah ne Qur'an mai kaha hai ke: "Aur tum jo cheez kharch karoge wo uska (tumhe) badla dega. Aur wo sab se behtar rizq dene wala hai."


💫 Quran [34:39]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends


BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments