📢 TAWEEZ PEHANNA KAISA HAI ?
🔴 Qais Asadi se riwayat hai ke hazrat Abdullah ibn Mas'ood RadiAllah anhu apni biwi ke paas aaye to bukhaar se bachne ke liye unke haath mein dhaaga bandha hua dekha, unho ne sakhti se usey kaat diya, phir kaha: Abdullah ke ghar waale shirk se bari hain! Aur kehne lage: hum ne RasoolAllah (ﷺ) se Jo baat yaad ki hai wo ye hai ke (shirkiya) dum, taweez aur jaadu shirk hai
[Silsilatus Sahiha #996]
🔴 Hazrat uqba bin Aamir RadiAllah anhu ne bayan kiya: RasoolAllah (ﷺ) ke paas(10 logon ka) ek qaafila aaya ,Aap (ﷺ) ne 9 logon se bait li aur 1 ko chor diya, Sahaba ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Aap ne iss shakhs ko chor diya! Aap (ﷺ) ne farmaya: iss ne taweez latkaya hua hai, usne apna hath daal kar USS(taweez ko) tod diya, tab Aap ne usse bait li aur farmaya: jis shakhs ne taweez latakaya usne shirk kiya
[Silsilatus Sahiha #2961]
🔴 Isa bin Abdur rehman se riwayat hai, Mai Abdullah bin ukaim juhani ke yahan unki ayaadat karne gaya, unko humrah ka marz tha, Maine kaha: koi taweez waghaira kyu nhi latka lete hain? Unho ne kaha: maut isse zyada qareeb hai ! Nabi (ﷺ) ne farmaya: jisne koi cheez latkaayi wo usi ke supurd kar diya gaya
[Tirmizi #2072]
🔴 Hazrat Abdullah bin Mas'ood RadiAllah anhu ne bayan kiya: Allah Nabi (ﷺ) 10 khaslaten na pasand farmaate the: Zardi yani khaluq(yellow colouring) ko, Safed baalon ke tabdeel karne ko, tah-band takhno se neeche latkaane ko, sone(gold) ki angoothi pahanne ko, be mauqa wa mahal ajnabiyon ke saamne aurton ke zeb o zeenat ke saath aur ban than kar nikalne ko, shatranj(chess) khelne ko, Muawwidhat ke ilaawa se jhaad phoonk karne ko, taweez aur gande latkaane ko aur na jaiz jagah mani daalne ko aur bacche ke fasaad ko yani usey kamzor karne ko ,iss tarah se ke iyyam e raza'at mein uski maa se sohbat Kare albatta isey haram nhi thahraate the
[Sunan Abu Dawood #4222]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments