Acche Dost ki Pechan Kya Hai ?


💖 Acche Dost ki Pechan Kya Hai ❓ 

👉 Jo tujhe burayi se roke aur Neki ki taraf raagib kare (khinche) to Jaan le k wo Ek Accha dost hai...🥰 

Aur Ache Dost me Chaar khubiya hoti hai..👇 

🍁 Zaheen hota hai.
🍁 Mukhlis hota hai.
🍁 Hamdard hota hai.
🍁 Neki ki talqeen karta hai burayi se Mana karta hai. 

👉 Jis me ye chaaro khubiya ho wo Ek Behtareen dost hai, Agar Aap me koi Khami ho to wo Aap ko Alaahedgi (akele) me Aagah karde ta k Aap ko sab k saamne Sharminda na hona pade. 

aur momin mard aur momin aurten aapas mein aik doosray kay madadgaar hain . woh naiki ki talqeen kertay hain , aur burai say roktay hain , aur namaz qaeem kertay hain , aur zakat ada kertay hain , aur Allah aur  uss  kay Rasool ki farmanbardaari kertay hain . yeh aesay log hain jinn ko Allah apni rehmat say nawazay ga . yaqeenan Allah iqtidar ka bhi malik hai , hikmat ka bhi malik ! 
Allah ney momin mardon aur momin aurton say wada kiya hai unn baaghaat ka jinn kay neechay nehren behti hon gi , jinn mein woh hamesha rahen gay , aur unn pakeezah makanaat ka jo sada bahar baaghaat mein hon gay . aur Allah ki taraf say khushnoodi to sabb say bari cheez hai ( jo jannat walon ko naseeb hogi ) yehi to zabardast kamiyabi hai . 

[Quran 9 : 71-72]

__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
 

Post a Comment

0 Comments