Agar tujh mein dusron k Aib dhoondne ki Adat na hoti to kitna Accha hota

 🍁 Ek baar Insan ne Koyel se pucha Agar tu kaali na hoti to Kitna Acha hota...

🍁 Phir samundar se pucha Agar tu khara na hota to kitna acha hota...

🍁 Phir gulab se pucha k Agar tujh mein kaante na hote to kitna Acha hota... 


🔴 Tabhi Koyel, Samandar aur Gulab ne Insan se kaha 👉 Agar tujh mein dusron k Aib dhoondne ki Adat na hoti to kitna Accha hota...


👉 aey emaan walo ! naa to mard doosray mardon ka mazaq urayen , hosakta hai kay woh ( jinn ka mazaq urra rahey hain ) khud inn say behtar hon , aur naa doosri aurten doosri aurton ka mazaq urayen , hosakta hai kay woh ( jinn ka mazaq urra rahi hain ) khud inn say behtar hon . aur tum aik doosray ko taana naa diya kero , aur naa aik doosray ko buray alqaab say pukaro . emaan laney kay baad gunah ka naam lagna boht buri baat hai .  aur jo log inn baaton say baaz naa ayen , to woh zalim log hain . 


aey emaan walo ! boht say gumanon say bacho , baaz gumaan gunah hotay hain .   aur kissi ki toh mein naa lago ,   aur aik doosray ki gheebat naa kero .   kiya tum mein say koi yeh pasand keray ga kay woh apney maray huye bhai ka gosht khaye-? iss say to khud tum nafrat kertay ho ! aur Allah say daro . beyshak Allah bara tauba qubool kernay wala , boht meharban hai . 


[Quran Surah Hujraat 49 : Ayat 11 -12]


__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments