👉 Rasool Allah (ﷺ) ne farmaaya :
"Allah ta'ala Qayamat ke din bandey se sawaal karega yahaan tak ke ye bhi farmayega : Jab tune Munkar (Buraayi) dekhi thi toh usse mana kyun nahin kiya tha ?
Phir jab (woh jawaab na dey sakega toh) Allah ta'ala apne bandey ko Apni hujjat zehen nasheen karayega (Ya'ni jawaab sikhaa dega),
woh (banda) kahega : Aye Allah! Mujhe tujhse (Rehmat ki) ummeed thi aur logon se darr lagta tha."
[Sunan Ibn E Majah #4017]
🔴 Wazahat : Maloom hua ke Qayamat ke roz buraayi se mana na karne ke baare mein bhi pucha jayega.
👉 Allah ta'ala ba'z auqaat kisi Neki ki wajah se gunaah muaaf farma deta hai.
👉 Jisey Allah ta'ala muaaf farmaana chahega, uske dil mein sahih jawaab daal dega.
👉 Allah ki Rehmat bohat Wasee' hai lekin usi par bharosa karke gunahon mein mubtila ho jaana aur Nekiyon ke baare mein be-parwah ho jaana saraasar gumrahi hai.
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments