BIMAAR KI AYADAT KARNA
Hazrat Abu Musa RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Bhooke ko khaana khilaao, Ghulam ko Aazad karo aur Mareez ki Ayadat karo
[Musand Ahmed #9576]
Hazrat Abu huriara RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : 5 cheezen har Musalman par apne Bhai ke liye waajib hai, Salaam ka jawab dena, dawat qubool karna, Mareez ki Ayadat karna aur Janaaze ke saath jaana
[Sunan Abu Dawood #5030]
Hazrat Abu Huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jisne kisi mareez ki Ayadat ki to Aasman se manadi (Aawaz lagaane wala) Aawaz lagata hai : tum Acche ho! Aur tumhara jaana accha raha! Tum ne jannat mein ek thikana bana liya
[Sunan Ibn Majah #1443]
Hazrat Abu Huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: jisne kisi mareez ki Ayadat ki ya kisi deeni Bhai se mulaqat ki to usko ek Aawaz dene waala Aawaz deta hai : tumhaari duniyawi o ukhrawi zindagi Mubarak ho! Tumhaara chalna Mubarak ho! Tum ne Jannat mein ek ghar haasil kar liya
[Tirmizi #2008]
Hazrat Abu Huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, Allah ta'ala ne farmaya : Mai beemaar ho gaya, lekin ibn Adam ne meri Ayadat nhi ki aur mai piyaasa ho gaya, lekin ibn Adam ne mujhe paani nhi pilaya, Maine kaha : Aye mere Rabb! Kya tu bhi beemaar hota hai ?
Allah ne kaha : zameen mein mere bandon mein se ek Banda beemaar hua, lekin uski timardari nhi ki gayi agar ibn Adam uski Ayadat karta to (wo Ayadat) mere liye hoti , isi tarah ek Aadmi ko piyaas lagi lekin usko paani nhi pilaya gaya , agar usko paani pilaya jata to wo pilaayi hui cheez mere liye hoti
[Musand Ahmed #9473]
Hazrat Ali RadiAllah anhu ne farmaya : Jo shakhs kisi beemaar ki din ke Aakhir hisse mein Ayadat karta hai, uske saath 70 hazaar Farishte nikalte hain aur fajar tak uske liye maghfirat ki dua karte hain , aur uske liye jannat mein ek baagh hota hai, aur jo shakhs din ke ibtedaayi hisse mein Ayadat ke liye nikalta hai, uske saath 70 hazaar Farishte nikalte hain aur shaam tak uske liye maghfirat karte hain , aur uske liye jannat mein ek baagh hota hai
[Sunan Abu Dawood #3098]
Hazrat Umar bin Khattab RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jab tum kisi mareez ke paas jao, to usse apne liye dua ki darkhwaast karo, isliye ke uski dua Farishton ki dua ki tarah hai
[Sunan Ibn Majah #1441]
Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu ne bayan kiya : Nabi (ﷺ) Mareez ki Ayadat uski beemaari ke 3 din guzar jaane ke baad farmaate the
[Sunan Ibn Majah #1437]
Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllah anhu ne bayan kiya : RasoolAllah (ﷺ) ne Aankh ke Dard mein meri Ayadat ki
[Sunan Abu Dawood #3102]
Hazrat Jabir RadiAllah anhu ne bayan kiya: Nabi (ﷺ) baghair kisi khacchar aur ghode par sawaar hue (paidal) meri ayadat ko tashreef Laate the
[Sunan Abu Dawood #3096]
Hazrat Umm Al-Aala' RadiAllah anha bayan karti hain : jab mai beemaar thi to RasoolAllah (ﷺ) ne meri Ayadat ki, Aap (ﷺ) ne farmaya : khush ho jao! Aye Umm Aala' ! Beshak beemaari ke zariya Allah ta'ala musalman bande ke gunaahon ko Aise hi door kar deta hai jaise Aag sone aur chandi ke mail ko door kar deti hai
[Sunan Abu Dawood #3092]
Hazrat Thawban RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Musalman jab apne Musalman Bhai ki Ayadat karta hai to woh baraabar jannat mein phal chunta rehta hai
[Tirmizi #967]
Hazrat Abu saeed khudri RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Jab tum mareez ke paas jao, to usey Lambi umar ki ummid dilaao, isliye ke Aisa kahne se taqdeer nhi palat ti, lekin beemaar ka dil khush hota hai
[Sunan Ibn Majah #1438]
Hazrat ibn Abbas RadiAllah anhu ne bayan kiya : Nabi (ﷺ) ne ek beemaar ki Ayadat ki, to usse poocha : kya khaane ko ji chaahta hai ?
Usne kaha : gehun ki roti khaane ki khawahish hai, to Aap (ﷺ) ne farmaya : jis shakhs ke paas gehun ki roti ho, wo usey apne beemaar Bhai ke paas bhej de , phir Aap (ﷺ) ne farmaya : jab tum me se kisi ka mareez kuch khaane ki khawahish kare to wo usey wahi khilaaye
[Sunan Ibn Majah #1439]
Hazrat Buraida Al-Aslami RadiAllah anhu se riwayat hai, woh khurasaan (Persia) mein the, wahan woh apne ek beemaar Bhai ke Ayadat ke liye gaye , jab ke woh fout hone waala tha aur uski peshaani paseene se bhari thi, yeh dekh kar unho ne kaha : Allahu Akbar! Maine RasoolAllah (ﷺ) ko ye farmaate hue suna hai : Momin ki mout uski peshaani ke paseene ke saath hoti hai
[Musand Ahmed #3011]

__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments