Hazrat Abdullah RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Musalman Aadmi par Ameer ki baat manna aur sunna Laazim hai, chaahe wo pasand kare ya na pasand, jab tak ke usey kisi na farmaani ka hukm diya jaaye (jo kitab o sunnat ke khilaaf ho) to na sunna hai aur manna hai
[Sunan Abu Dawood #2626]
Hazrat Adi bin Hatim RadiAllah anhu se riwayat hai, Nabi (ﷺ) ne Surah Tauba Ayat : 31 ki tilaawat farmaayi aur farmaya : Woh (Yahood o nasaara) logon ke ulema jab kisi cheez ko halaal kah dete the to woh log usey halaal jaan lete the aur jab woh unke liye kisi cheez ko haram thahra dete to wo log usey haraam Jaan lete the (yahi unki ibadat thi)
[Tirmizi #3095]
Hazrat Abdur Rehman bin Abd Rabbul kaaba se riwayat hai, Mai masjid mein gaya wahan Abdullah ibn Amr' bin Aas RadiAllah anhu kaaba ke saaya mein baithe the, aur log unke paas jama the, mai bhi gaya aur baitha, unhone kaha: hum ek safar mein RasoolAllah (ﷺ) ke saath the to ek jagah utrey, koi apna dera durust karne laga, koi teer maarne laga, koi apne jaanwaron mein tha, itne mein RasoolAllah (ﷺ) ke pukaarne waale ne Aawaz di, namaz ke liye ekhatta ho jao, hum sab Aap ke paas jama hue,
Aap (ﷺ) ne farmaya: mujhse pehle koi Nabi Aisa nhi guzra jis par zaroori na ho apni ummat ko jo behtar baat usko maloom ho batana aur jo buri baat ho usse daraana aur tumhaari ye ummat iske pehle hisse mein salaamti hai aur aakhir hisse mein bala hai aur woh baaten hai jo tumhe buri lagengi aur aisey fitne aayenge ke ek fitna doosre ko halka aur patla kar dega, aur ek fitna aayega to momin kahega, isme meri tabaahi hai fir wo chla jayega dusra aayega to momin kahega isme meri tabahi hai fir jo koi chahe jahannum se bache aur jannat me jaye to usko chahye mere Allah aur pichle din par yaqin rakh kar aur logo se wo sulook kare jaisa wo chahta ho log usse karein...
Aur jo shakhs kisi imaam se bait kare aur usko apna haath de de aur dil se niyyat kare...
Ye sun kar mai Hazrat Abdullah ke paas gaya aur unse kaha: mai aapko qasam deta hun Allah ki, Aap ne ye RasoolAllah (ﷺ) se suna hai ?
Unhone apne kaano aur dil ki taraf ishaara kiya haath se aur kaha : mere kaano ne suna aur dil ne yaad rakkha,
Maine kaha : tumhaare chacha ke bete Muawiya RadiAllah anhu hamen hukm karte hain ek doosre ka maal na haqq khaane ke liye aur apni jaano ko tabaah karne (qatal karne) ke liye, aur Allah farmaata hai : Aye imaan waalon! Mat khao apne maal na haqq aur mat maaro apni jaano ko beshak Allah ta'ala tum par meharbaan hai, ye sun kar hazrat Abdullah ibn Amr' thodi der tak chup rahe, phir kaha : Muawiya ki ita'at karo uss kaam mein jo Allah ke hukm ke mawaaqif ho aur jo kaam Allah ta'ala ke hukm ke khilaaf ho usme Muawiya ka kahna na maano
[Sahih Muslim #4776]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments