KHAWATEEN RAASTE KE KINARE PAR CHALEIN


KHAWATEEN RAASTE KE KINARE PAR CHALEIN 🚸 

Abu Usayd al-Ansari se riwayat hai ke unhone RasoolAllah (ﷺ) ko us waqt farmate hue suna jab aap Masjid se bahar nikal rahe the ke aur log Raaste mein Aurton me mil jul gaye the, To RasoolAllah (ﷺ) ne Aurton se farmaya : Tum piche hatt jao, Tumhare liye Raaste ke darmiyan se chalna theek nahi, tumhare liye raaste ke kinare kinare chalna munasib hai fir to aisa ho gya ke Aurtein diwaar se chipak kar chalne lagi, yahan tak ke unke kapde (Dupatte wagairah) Deewar me phans jate the, 

[Sunan Abu Dawood #5272] 

🔴 Khwateen ke liye Aise tang raston aur bazaron mein jana Jayez nahi jahan mardon ki bheed ho aur Jism takrane aur Ikhtilat (mail jol) ka shak ho, Agar aisi Surat-E-Haal pesh bhi aa jaye to Aurat khud Rash se piche hate aur kisi Mahfzooz kinare mein panah le.

_______________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀 

Share this with your families and friends 

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

 

Post a Comment

0 Comments