KYA NABI MUHAMMAD (ﷺ) NOOR THE ?

 


KYA NABI MUHAMMAD [ﷺ] NOOR THE ?
                     
Aap kah dijiye kay main toh tum jaisa hi Ek insan hun (han) meri janib wah'ee ki jaati hai Kay sabka mabood Ek hi mabood hai toh jisey bhi apney parwardigaar se milne ki Aaroo ho usey chahiye Ke nek amaal karey or apne parwardigaar ki ibadat me kisi ko bhi shareek na karey

[Surah Kahaf - Ayat Number 110] 

aap se pehle jitne bhi paighambar hum ne bheje, sabhi bashar (insaan) the, jinki taraf hum wahee' utaarte the, pas tum Ahle zikr se pooch lo agar khud tumhen ilm na ho 

[Surah Ambiya - Ayat #07] 


Ummul momineen Hazrat umm salama RadiAllah anha se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Mai Ek insaan hun, aur mere paas jhagda karne waale aate hain, ho sakta hai ke unn me se koi doosre se zyada zabaan aawar ho, main samjhun ke wo saccha hai aur Mai uske haqq mein faisla kar dun, Mai jis shakhs k haqq mein kisi [doosre] Musalman ke haqq ka faisla kar dun to wo Aag ka Ek tukda hai, wo chaahe to usey utha le ya chaahe to Chor de 

[Sahih Muslim #4475] 

Hazrat Abdullah RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Mai Ek insaan hun, jis tarah tum bhoolte ho Mai bhi bhool jata hun, isliye jab Mai bhool jaaun to mujhe yaad dila diya karo 

[Sahih Muslim #1274] 

Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Aye Allah! beshak Muhammad saw bashar hain, isko ghussa aajata hai, jis tarah ek bashar ko gussa aajata hai 

[Sahih Muslim #2601] 

Ummul momineen Hazrat Aisha RadiAllah anha ne Nabi (ﷺ) ke amoor e khana (ghar ke kaam) ke baare me pucha gaya to unho ne kaha : Aap (ﷺ) bashron me se ek bashar (insaan) the, apne kapdon se juwein talaash karte, apni bakriyon ka doodh doh te aur apne kaam khud karte the 

[Shamail E Tirmizi #363]



__________________________________________

🥀To get Reward in Akhirah,🥀

Share this with your families and friends

BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI

Post a Comment

0 Comments