TAWHEED KISE KAHTE HAI ?
Tawheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” kahna. Tawheed Se Muraad Allah Ko Uski Zaat, Sifaat, Uski Ibaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Be-misaal Maan’na.
Quran’Hadees Ki Roshni Me Tawheed Ki Kisme Hai.
Tawheed-E-Ruboo’Biat.
Tawheed Asma ’Wa’ Sifaat.
Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada.
Tawheed-E-Ruboo’Biat Se Muraad Allah ko Qaynat Ki Har Cheez Ka Khaliq, Malik, Raziq Aur Tamaam Umoor ki TadBeer Karne Wala Maan’na.
(Aye Nabi) Aap (In Mushrikeen se) Pucho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun Pahunchata Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta hai, Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai, Wo fauran Kahenge Ke (Ye Sab Kaam Karne Wala) Allah Hai.
To Unse Puho Ke Phir Tum (Allah Se) Darte Kyon Nahi.
[Quran : Surah Younus #10 - Verse #31]
Isse pata chala Mushrikeen e Makka Tawheed-E-Ruboo’Biat Ko mante The.
Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allah Hi Haqeeqi Aur Akela Mabud Hai.
Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe.
Namaz, Roza, Haj, Qurbani, Dua, Nazar Wa Niaz…
Sirf Allah Ke liye Ho.
Aur (Aye Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek Hi Hai,Uske Alawa Koyi Ibaadat Ke Layaq Nahi, Wo Bahut Raham Karne wala Aur Meharbaan Hai.
[Quran : Surah Al-Baqarah #2 - Verse #163]
Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allah Ke Un Sab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi (ﷺ) Ne Ahadees Me Unka Zikar Kiya.
Aur Allah ke Asma aur sifat me kisi ko shareek na kiya jaye.
Jaise 👉 Allah Ne Kaha: Aye Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jise My Ne Apne Haatho Se Paida Kiya.
[Quran : Surah Suaad #38 - Verse #75]
Rehmaan Arsh Par Qayim Hai.
[Quran : Surah Taha #20 - Verse #5]
Allah Ne Musa (a.s) Se Kalam Kiya.
[Quran : Surah Nissa #4 - Verse #164]
Allah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai.
[Muslim #1772]
Us (Allah) Jaisi Koyi Cheez Nahi.
[Quran : Surah Shooaraa #26 - Verse #11]
Allah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.
Dawat-e-Islaami Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke Prachar Se Kiya Jaye.
Logo par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazeh Kiya Jaye.
Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona Chahiye.
Yani Ye Ke Log Allah Hi Ko Ilaah Waahid Maane.
[Sahih Bukhari #1395]
[Sahih Muslim #121]

🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
0 Comments